Agar Shahaadate Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Ta’alluq Dhib’he Isma’il Se Joda Na Jaaye To Baat Mukammal Nahin Hoti, Shahaadat Ka Amal Adhoora Rah Jaata Hai Aur Baat Mukammal Taur Par Samajh Me Nahin Aati. Hazrat Isma’il Kee Qurbaani Ko Sirf “Dhib’h” Ke Lafz Se Zikr Kiya Gaya. Un Kee Jagah Maindhe Kee Qurbaani Huwi To Use “Dhib’he ‘Azeem” Kaha Gaya. Ab Yeh Baat Samajh Me Nahin Aati Ki Maindhe Kee Qurbaani Ko Azeem Aur Paighambar Ke Bete Kee Qurbaani Ko Mahaz Dhib’h Kaha Jaae. Ab Sawaal Paida Hota Hai Ki Is Dhib’he ‘Azeem Se Muraad Kounsi Qurbaani Hai? Dhib’he ‘Azeem Yaqinan Wahi Qurbaani Hogi Jo Dhib’he Isma’il Se Badi Qurbaani Kee Soorat Me Ada Hogi.
Isma’il ‘Alayh-is-Salam Hazrat Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Farzand They Jab Ki Sayyidina Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Sarware Kawnayn SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Lakhte Jigar Aur Noore Nazar They. Qat’a Nazar Is Ke Liye Nabi Aur Sahaabi Ke Martabe Me Bohat Farq Hota Hai Lekin Nisbate Ibrahimi Se Nisbate Mustafawi Yaqinan Arf’a Wa A’la Hai Ilaawah Azi’n Sayyidina Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Sibte Paighambar Aur Pisare Batool-o-Haydar Hone Ke Saath Saath Nisbate Ibrahimi Bhi Haasil Hai. Neez Shahaadate Imame Husayn Chunki Sirate Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Hee Baab Hai Is Liye Kaa’enaat Kee Isi Munfarid Aur Yakta Qurbaani Ko Hee Dhib’he ‘Azeem Hone Ka Sharaf Haasil Hai. Lihaaza Badi Sadaaqat Ke Saath Yeh Baat Paaya-E-Suboot Ko Pahunch Gayi Ki Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Qurbaani Ke Zimn Me Jis Dhib’he ‘Azeem Ka Fidya Diya Gaya Woh Aik Maindha Na Tha Balki Lakhte Jigare Musatafa Husayn Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Qurbaani Thi. Hakim-ul-Ummat Allama Iqbal Ne Is Haqiqat Ko Badi Khoobsoorat She’ri Qaalib Me Dhaala Hai :
Allah Allah Baa-E-Bismi Allah Pidar
Ma’na-E-Dhib’he ‘Azeem Aamad Pisar
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/21_22.]