Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Dhib’he ‘Azeem Ke Liye Nawasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Intekhaab Kyun?

Ab Sawaal Paida Hota Hai Ki Dhib’he ‘Azeem Ka Misdaaq Agar Imam Husayn Hai To Aap Ka Ta’alluq Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Woh Nahin Jo Sayyidina Isma’il ‘Alayh-is-Salam Ko Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Saath Tha. Ya’ni Woh Baap Beta They Aur Yaha’n Beta Nahin Balki Nawaasa-E-Rasool Ka Intekhaab Ho Raha Hai. Chaahiye To Yeh Tha Ki Dhib’he ‘Azeem Ka I’zaaz Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Haqiqi Ke Bete Ke Hisse Me Aata. Is Mumkina Sawaal Ke Kai Jawaabaat Ho Sakte Hain Sab Se Pehla Jawaab To Yeh Hai Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Koi Beta Jawaani Ya Bulooghat Kee Umr Ko Pahuncha Hi Nahin Aisa Kyun Huwa? Yeh Allah Ta’ala Kee Hikmat Thi Jis Kee Taraf Qur’an Ne Yoo’n Rehnumayi Farmaayi :

مَا كَانَ مُحَمَّدٌ أَبَا أَحَدٍ مِنْ رِجَالِكُمْ وَلَكِنْ رَسُولَ اللَّهِ وَخَاتَمَ النَّبِيِّينَ وَكَانَ اللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمًا۝

[
ألأحزاب، ٣٣ :٤٠]

“Muhammad (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Tumhaare Mardo’n Me Se Kisi Ke Baap Nahin Hai Balki Allah Ke Rasool Aur Khaatama-‘n-Nabiyyin Hain (Ya’ni Silsila-E-Nubuwwat Ko Khatm Karne Waale) Aur Allah Ta’ala Sab Chizo’n Ko Jaan’ne Waala Hai (Use Ilm Hai Ki Khatme Risaalat Aur Khatme Nubuwwat Ka Waqt Aa Gaya Hai.)”
Ya’ni Ab Wah’iy-E-Ilaahi Ka Darwazah Band Hota Hai, Huzoor Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Baa’d Ab Qiyamat Tak Koi Nabi Nahin. Qur’an Aasmaani Hidaayat Par Mushtamil Aakhiri Sahifa Hai Jo Qiyaamat Tak Allah Ke Bando’n Kee Rehnumaayi Ke Liye Kaafi Hai.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/22 Ta 23.]