Aayate Mazkoorah Me Allah Ta’ala Ne Farmaya Muhammad Tumhaare Mardo’n Me Se Kisi Ke Baap Nahin, Yeh Nukta Qaabile Ghaur Hai Woh Allah Ke Rasool Hain Aur Silsila-E-Ambiya’ Kee Aakhiri Kadi Hain. Allah Rabb-ul-Izzat Ne Is Baat Par Kyoo’n Zor Diya Ki Mera Rasol Tum Me Se Kisi Mard Ka Baap Nahin Ya’ni Woh Kisi Jawaan Bete Ke Baap Nahin? Sawaal Paida Hota Hai Ki Kya Kisi Jawaan Bete Ka Baap Ya Mukhaatabin Me Se Kisi Mard Ka Baap Hone Waala Shakhs Allah Ka Rasool Nahin Ho Sakta Masalan :
Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Allah Ke Rasool They Aur Jawaan Beto’n Ke Baap Bhi Hain. Hazrat Is’haq Allah Ke Jalil-ul-Qadr Paighambar Hain Aur Ya’qoob ‘Alayh-is-Salam Ke Waalide Giraami Bhi Hain. Is Tarah Hazrat Ya’qoob ‘Alayh-is-Salam Khud Nabi Hain Aur Hazrat Yoosuf ‘Alayh-is-Salam Ke Waalid Bhi Hain. Hazrat Dawud ‘Alayh-is-Salam Allah Ke Paighambar Aur Hazrat Sulayman ‘Alayh-is-Salam Aap Ke Farzande Arjmand.
Bani Isra’il Me Nasl Dar Nasl Nubuwwat Ka Silsila Jaari Raha, Paighambaro’n Kee Aulaad (Bete) Bhi Paighambar Huwi. To Phir Allah Rabb-ul-Izzat Ne Kyun Farmaya Ki Mera Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Tum Mardo’n Me Se Kisi Ka Baap Nahin, Ya Kisi Jawaan Mard Ke Baap Nahin. Aakhir Is Me Kya Hikmat Kaarfarma Hai? Rasool Hona Kisi Mard Ke Baap Hone Kee Raah Me Rukaawat Nahin Banta.
Is Sawaal Ka Jawaab Yeh Hai Ki Khuda-E-‘Aleem-o-Khabeer Ne Is Nukte Par Is Liye Zor Diya Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Khaatam-un-Nabiyyin Hain. Woh Mere Aakhiri Nabi Hain Magar Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kisi Mard Ke Baap Hote Ya’ni Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Koi Beta Hota Aur Woh Jawaan Hota To Do Sooratein Mumkin Hotin :
- Aik Yeh Ki Woh Beta Bhi Allah Ka Rasool Ya Nabi Hota Jaisa Ki Saabiqa Ambiya’ Ke Baab Me Hum Ne Dekha Ki Agar Baap Nabi Hai To Bete Ko Bhi Khuda Ne Nubuwwat Ata Kee.
- Dusri Soorat Yeh Thi Ki Beta Nabi Na Hota Ya’ni Do Hee Imkaanaat Mumkin Thet Pehli Soorat Me Huzoor Khaatam-un-Nabiyyin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Na Rehte, Beta Bhi Jawaan Ho Kar Nabi Banta To Silsila-E-Khatme Nubuwwat Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Khatm Na Hota Aur Yeh Baat Khuda Ke Faisle Ke Khilaaf Hoti Is Liye To Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Khatme Nubuwwat Kee Sifat Se Sarfaraaz Kiya Hai.
Dusri Soorat Me Agar Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Koi Beta Jawaan Hota Aur Nabi Na Banta To Dusre Nabiyo’n Kee Ummatein Ta’na Dete’n Ki Hamaare Nabi Ka To Beta Bhi Nabi Tha, Hamaare Paighambar Ka To Pauta Bhi Paighambari Sifate Faakhirah Se Nawaaza Gaya, Hamaare Paighambar SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Poori Nasl Me Nubuwwat Thi. Koi I’tiraaz Kar Sakta Tha Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Pairokaaro’n! Tumhaare Paighambar Ka To Beta Bhi Huwa Lekin Use Nubuwwat Se Sarfaraaz Na Kiya Gaya. Is I’tiraaz Me Ba-Zaahir Dusre Ambiya’ Ke Muqabale Me Shaane Risaalat Ma’ab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Me Aik Tarah Kee Kami Aa Jaati Aur Use Jihat Se Digar Ambiya’ Fazilat Le Jaate Lekin Allah Rabb-ul-Izzat Ko Yeh Baat Manzoor Na Thi Jis Tarah Use Yeh Manzoor Na Tha Ki Aaminah Ke Laal Ke Sare Aqdas Par Khatme Nubuwwat Ka Taaj Na Sajaaya Jaaye Usi Tarah Use Yeh Bhi Gawaara Na Tha Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Koi Jawaan Beta Ho Aur Nubuwwat Kee Sa’adat Se Mahroom Rahe, Zaahiran Hee Sahi Khuda Ko Kisi Hawaale Se Bhi Yeh Baat Manzoor Na Thi Ki Koi Paighambar Fazilat Me Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Badh Jaaye Is Kee Misaal Yoo’n Hai Ki Qur’an Majeed Furqaane Hameed Me Allah Rabb-ul-Izzat Ne Farmaya Ki Aye Mahboob Farma De’n Un Kaafiro’n Aur Mushriko’n Ko Jo Kabhi Isa Ko Mera Beta Samajhte Hain Aur Kuchh Uzayr Ko Mera Farzand Qaraar Dete Hain :
قُلْ إِنْ كَانَ لِلرَّحْمَنِ وَلَدٌ فَأَنَا أَوَّلُ الْعَابِدِينَ
–
[الزخرف، ٤٣ : ٨١]
“Aap (Un Ahmaqo’n Se) Kahiye Ki Agar (Khuda-E-)Rahmaan Ka Beta Hota To Mein Sab Se Pehle Us Kee Ibaadat Karne Waala Hoo’n”
Mudda’a Yeh Hai Ki Agar Koi Allah Ka Beta Hota To Mein Us Kee Ibaadat Na Karta? Allah Kee Shaan Ka Taqaaza Hota Ki Us Ka Beta Bhi Uloohiyat Kaa Haamil Hota. Agar Rabb Ka Beta Ho Kar Rabb Na Banta To Us Kee Fazilat Me Kami Aa Jaati. Log Ta’na Dete Ki Khuda Ka Beta Ho Kar Khuda Na Ban Saka. Isi Tarah Agar (Nauzubillah) Koi Khuda Ka Beta Hota Aur Woh Bhi Uloohiyat Ke Mansab Me Allah Ta’ala Ka Shareek Hota To Zaahir Hai Baap Ke Saath Khuda’i Me Shiraakat Daar Hota, Aur Yoo’n Tasawwure Tawheed Khatam Ho Jaata. Is Liye Farmaya :
قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ
–
[الأخلاص، ١١٢]
“(Aye Nabiyye Mukarram) Aap Farma Dijiye Woh Allah Hai Jo Kehta Hai. Allah Sab Se Be Niyaaz Hai, Sab Kee Panaah Aur Sab Faa’iq Hai. Na Us Se Se Koi Paida Huwa Hai Aur Na Hee Woh Paida Kiya Gaya Hai Aur Na Hee Us Ka Koi Hamsar Hai.”
Allah Jalla Shaanuhu Ne Is Mukhtasar Soora-E-Paak Me Aqida-E-Tawheed Kee Tamaam Juz’iyyaat Aur Shirk Kee Mumkina Shaklo’n Ko Baatil Qaraar Diya, Aqa’ide Islamiya Ba Soorat Khulaasa Apne I’jaaz-o-Ikhtisaar Ke Baa Wajood Itna Jaandaar Hai Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Soorah Ikhlaas Ko Qur’an Ka Teesra Juzw Qaraar Dete Huwe Farmaya Jis Ne Teene Martaba Us Soorat Ko Padha Goya Us Ne Poora Qur’an Padh Liya. (Muttafaque Alayh)
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/23 Ta 26.]