Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Dhib’he ‘Azeem Ka Mafhoom

Hazrat Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Hayate Muqaddasa Me Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Qurbaani Ka Waaqia Aik Aisa Waaqia Hai Jis Kee Wajah Se Unhein Baargaahe Khudawandi Se Sharfe Imaamat Bhi Ata Kiya Gaya. Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Allah Kee Raah Me Apne Bete Ko Qurbaan Karne Ke Liye Khud Bhi Tayyar Ho Gaye They Aur Sa’adat Mand Bete Ne Bhi Hukme Khudawandi Ke Aage Sar Taslime Kham Kar Diya Tha. Baap Bete Ne Taslime Jaa’n Ka Yeh Izhaar Zubaani Kalaami Nahin Kiya Balki Amalan Hukm Kee Baja Aawri Ke Liye Bete Kee Qurbaani Kee Gharaz Se Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Apne Haath Me Chhuri Bhi Le Lee Thi. Is Ka Tafseeli Zikr Guzishta Safhaat Me Ho Chuka Hai, Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Zindagi Mahfooz Rahi Ki Un Kee Nasle Paak Se Nabi Aakhir-uz-Zama’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Wiladate Baa Sa’adat Hona Thi, Khuda-E-Burzurg-o-Bartar Ne وَفَدَيْنَاهُ بِذِبْحٍ عَظِيمٍ Keh Kar Isama’il Ke Dhib’h Ko Dhib’he ‘Azeem Ka Fidya Qaraar Diya. Farzande Paighambar Kee Qurbaani Hona Be’thate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Khaatir Mauqoof Huwi. Hikmate Khudawandi Yeh Thi Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Baa’d Chunki Koi Nabi Nahin Aayega Is Liye Shahaadat Ke Liye Us Ke Lakhte Jigar Ka Intekhaab Amal Me Aayega Aur Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Ko Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Lakhte Jigar Sayyidina Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Dhib’he ‘Azeem Bana Denge.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/20_21.]