Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Patthar Kee Azmat

Riwayat Me Hai Ki Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Jis Patthar Par Khade Ho Kar Apni Nasl Me Taajdaare Kaa’enaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Wialdate Ba-Sa’adat Kee Du’aa Maangi Thi Yeh Wahi Patthar Tha Jis Par Khade Ho Kar Ta’meere Ka’ba Ka Kaam Sar Anjaam Diya Tha. Us Muqaddas Patthar Kee Azmat Par Jaan-o-Dil Nisaar Jis Par Khade Ho Kar Apni Aulaad Me Nabi Aakhir-uz-Zama’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Mab’ooth Hone Kee Du’aa Maangi Jaa Rahi Hai. Rabb Ne Kaha Aye Be Jaan Patthar Tujhe Khabar Hai Tujh Par Khade Ho Kar Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Hum Se Kyaa Maang Liya Hai Is Lamhe Ko Apne Seene Me Mehfooz Kar Le Yeh Lamha Qubooliyyat Ka Lamha Hai. Is Lamhe Hamaare Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Aamad Ka Zikr Ho Raha Hai. Is Waqt Rasoole Kaa’enaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Tazkaare Jalila Se Roohe Ka’enaat Mu’attar Hai, Qudrate Khudawandi Se Patthar Mom Ho Gaya Aur Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Qadmo’n Ke Nishaan Qiyaamat Tak Ke Liye Us Me Paiwast Ho Gaye.

 

Us Patthar Ka I’zaaz Yeh Tha Ki Us Par Khade Ho Kar Allah Ke Aik Jalil-ul-Qadr Paighmabar Ne Us Ke Mahboob Ka Tazkirah Chhed Diya Tha. Allah Ke Nabi Kee Nisbat Se Woh Patthar Bhi Muhtaram Ho Gaya. Be Shumaar Pattharo’n Par Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Qadmo’n Ke Nishaan Lage Honge, An Ginat Pattharo’n Ne Kafe Paae Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ko Bosa Dene Ka I’zaaz Haasil Kiya Hoga Lekin Imtidaad Zamane Ke Saath Woh Nuqoosh Mit’te Gaye, Maah-o-Saal Kee Gird Unhein Apne Daaman Me Chhupaati Rahi Magar Jis Patthar Par Khade Ho Kar Sayyidina Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Tuloo’e Sub’h Milaad Kee Du’aa Maangi Thi, Allah Se Us Ke Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Maanga Tha. Kawnayn Kee Daulat Ko Apne Daaman Me Simetne Kee Aarzu Kee Thi Woh Patthar Harame Aqdas Me Maqame Ibrahim Par Qiyamat Tak Ke Liye Mahfooz Kar Diya Gaya.

 

Hum Ne Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Du’aa Qubooliyyat Kee Khil’ate Faakhirah Ata Kee, Aur Jo Patthar Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Du’aa Ka Nishaan Tha Use Sahne Ka’ba Me Qiyamat Tak Ke Liye Mahfooz Kar Diya Aur Baaqi Tamam Patthar Hadoode Ka’ba Se Hata Diye Kyun Ki Ka’ba Meri Sajdahgah Hai. Yeh Meri Tawheed Ka Markaz Hai, Is Ke Samt Munh Kar Ke Ibaadat Kee Jaati Hai Yeh Mehware Haque Hai. Khalqat Ka Mamba’-o-Markaz Hai, Mashriq Se Maghrib Tak Log Mere Ka’be Me Hajj Wa Ibaadat Ke Liye Aaeinge, Haram Kee Zameen Ko Apne Sajdo’n Se Basaaeinge. Yeh Fiza’ Un Ke Naala-E-Neem Shabi Se Ma’moor Hogi. Mein Unhein Yeh Patthar Dikhaunga Jo Du’a-E-Khalil ‘Alayh-is-Salam Kee Yaadgaar Hai Jis Par Khade Ho Kar Us Ne Nabi Aakhir-uz-Zama’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Apni Nasl Me Mab’ooth Hone Kee Du’aa Maangi Thi. Aye Harame Ka’ba Tak Aane Waalo! Aye Mere Ghar Kee Ziyaarat Kee Sa’adat Haasil Karne Waalo! Yeh Sadqah Hai Is Patthar Ka Jin Par Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Qadmo’n Ke Nishaan Hain Kyun Ki Yeh Du’a-E-Mustafa Ka Naqsh Hai.

 

Hukm Huwa وَاتَّخِذُوا مِنْ مَقَامِ إِبْرَاهِيمَ مُصَلًّى Sawaal Huwa Ki Baari Ta’ala Us Patthar Ko Kaise Mahfooz Karein. Farmaya Is Patthar Ko Ka’be Ke Saamne Gaad Do, Us Waqt Tak Mere Ghar Ka Tawaaf Mukammal Nahin Hoga Jab Tak Tawaaf Karne Waale Us Patthar Ke Saamne Mere Huzoor Sajdah Rez Na Honge Taa Ki Dunya Ko Ma’loom Ho Jaaye Ki Yeh Tamaam In’aamaat Wa Ikraaamaat Sadaqa Hai Is Patthar Ka.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/17_18.]