Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Husayn Kee Mahabbat Allah Kee Mahabbat

9.

عن يعلي بن مره قال قال رسول اصلى الله تعالى عليه وآله وسلم حسين مني و انا من حسين احب امن احب حسيناً

“Hazrat Ya’la Bin Murrah Se Riwayat Hai Woh Kehte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Husayn Mujh Se Hai Aur Mein Husayn Se Hoo’n Allah Us Shakhs Se Mahabbat Karta Hai Jo Husayn Se Mahabbat Karta Hai.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/219]

 

Woh Husayn Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Jin Ke Baare Me Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farma Rahe Hain Ki Husayn Mujh Se Aur Mein Husayn Se Hoo’n Aur Yeh Ki Allah Us Shakhs Se Mahabbat Karta Hai Jo Husayn ‘Alayh-is-Salam Se Mahabbat Karta Hai. Ab Jis Se Allah Mahabbat Karat Hai Us Se Adaawat Rakhna Aur Us Ka Khoon Naahaque Bahaana Kitna Bada Jurm Hai? Istiqaamat Ke Kohe Garaa’n Se Yeh Tawaqqo’ Rakhna Ki Woh Aik Faasiq Aur Faajir Ke Daste Paleed Par Bay’at Kar Lega Bilkul Fuzool See Baat Hai. Ahle Haque Raahe Hayaat Me Apni Jaano’n Ka Nadhraana To Pesh Kar Dete Hain Lekin Usoolo’n Par Kisi Samjhaute Ke Rawaadaar Nahin Hote Agar Karbala Ke Maidaan Me Haque Bhi Baatil Ke Saath Samjhauta Kar Leta To Phir Qiyamat Tak Haque Ka Parcham Buland Karne Kee Koi Jur’at Na Karta, Koi Harfe Haque Zubaan Par Na Laata, Darindagi Wehshat Aur Barbariyyat Phir Insaani Mu’aashro’n Par Muheet Ho Jaati Aur Qiyamat Tak Ke Liye Jur’at-o-Bebaaki Ka Parcham Sar Nigoo’n Ho Jaata Aur Naana Ka Deen Zaagho’n Ke Tasarruf Me Aa Kar Apni Iqdaar Aur Arwaah Dono’n Se Mehroom Ho Jaata.

 

 

  1. Isi Tarah Aik Aur Riwaayat Hai :

عن ابی هريرة رضي اعنه قال رأيت رسول اصلى الله تعالى عليه وآله وسلم و هو حامل الحسين بن علي و هو يقول اللهم اني احبه فاحبه

“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Dekha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Husayn ‘Alayh-is-Salam Ko Uthaaya Huwa Tha Aur Yeh Farma Rahe They Aye Allah Mein Is(Husayn) Se Mahabbat Karta Hoo’n Too Bhi Is Se Mahabbat Kar.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/177.]

 

Agar Hum Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Ghulaami Ka Dam Bharte Hain, Agar Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Mahabbat Ko Apna Oudhna Bichhauna Qaraar Dete Hain, Agar Ishqe Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Apna Tashakkhus Gardaante Hain To Phir Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Jis Se Mahabbat Karte Hain Aur Bargahe Khudawandi Me Arz Karte Hain Ki Baari Ta’ala Mein Husayn Se Mahabbat Karta Hoo’n Too Bhi Is Se Mahabbat Kar, Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Is Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Bughz-o-Adaawat Ka Tasawwur Bhi Hamaare Zehn Me Nahin Aana Chaahiye Balki Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Us Mahboob Se Waalihana Mahabbat Ka Izhaar Kar Ke Apne Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Gehri Waabastagi Ko Mazeed Mustahkam Banaana Chaahiye Ki Qasre Imaan Kee Bunyaad Ko Mazboot Banaane Ka Yeh Aik Mu’atthir Zari’a Hai.

 

Ahl-E-Bayt Kee Mahabbat Aur As’hab-E-Rasol Kee Mahabbat Dar Asl Aik Hee Mahabbat Kaa Naam Hai. In Muhabbato’n Ko Khaano’n Me Taqseem Karna, Ummate Muslima Ke Ittihaad Ko Paarah Paarah Karna Hai, Is Millate Islamiya Ko Doo’iy Ke Har Tasawwur Ke Mita Kar Ukhuwwat-o-Mahabbat Aur Yagaanagat Ke Un Sar Chashmo’n Se Apna Naata Jod Lena Chaahiye Jo Quroone Oola Ke Musalmano’n Ka Turra-E-Imtiyaaz Aur Shaukat-o-Azmat Islam Ka Mazhar Tha. Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Husayn ‘Alayh-is-Salam Kee Muhababt Ko Apni Mahabbat Qaraar Diya Goya Husayn Se Nafrat Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Mahabbat Kee Amalan Nafi Hai Aur Koi Musalman Us Ka Tasawwur Bhi Nahin Kar Sakta.

 

 

11.

عن علی رضی اتعالی عنه قال قال رسول اصلی الله عليه وآله وسلم للحسين بن علي ’’من احب هذا فقد أحبني

“Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Husayn Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Baare Me Farmaya “Jis Ne Is(Husayn) Se Mahabbat Kee Us Ne Mujh Se Mahabbat Kee.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03, Hadith-2643,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/88 Ta 90.]