Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Quboole Islam Me Awwal Aur Namaaz Padhne Me Awwal

(١) بَابٌ فِيْ کَوْنِهِ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ أَوَّلَ مَنْ أَسْلَمَ وَ صَلَّي

Baab-01 :

Quboole Islam Me Awwal Aur Namaaz Padhne Me Awwal

 

01:             “Aik Ansaari Shakhs Aboo Hamzah Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Sab Se Pehle Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Imaan Laa’e.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/642, Al-Hadith Raqam-3735,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/406, Al-Hadith Raqam-12151,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/102,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/09, Al-Hadith Raqam-01.]

 

 

02:             “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Hee Marwi Aik Riwaayat Me Yeh Alfaaz Hain :

“Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Pas Sab Se Pehle Islaam Laane Waale Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Riwaayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/367,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/447, Al-Hadith Raqam-4663,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/371, Al-Hadith Raqam-32106,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/452, Al-Hadith Raqam-1102,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/09, 10, Al-Hadith Raqam-02.]

 

 

03:              “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Peer Ke Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Be’that Hu’i Aur Mangal Ke Din Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Namaz Padhi.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/640, Al-Hadith Raqam-3728,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/121, Al-Hadith Raqam-4587,

Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 04/355,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/10, Al-Hadith Raqam-03.]

 

 

04:             “Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Sab Se Pehle Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Namaz Padhi.”

Ise Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Hai Ki Is Baare Me Ahle Ilm Ka Ikhtilaaf Hai. Ba’z Ne Kaha : Sab Se Pehle Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Islam Laa’e Aur Ba’z Ne Kaha : Sab Se Pehle Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Islam Laa’e Jab Ki Ba’z Muhaddithin Ka Kahna Hai Ki Mardo’n Me Sab Se Pehle Islam Laane Waale Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hain Aur Bachcho’n Me Sab Se Pehle Islam Laane Waale Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain Kyoo’n Ki Woh Aath Baras Kee Umr Me Islam Laa’e Aur Aurto’n Me Sab Se Pehle Musharraf Ba Islam Hone Waali Hazrat Khadijat-ul-Kubra RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Hain.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/642, Al-Hadith Raqam-3734,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/10, 11, Al-Hadith Raqam-04.]

 

 

05:              “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Unhone Farmaya : Hazrat Khadijah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ba’d Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Logo’n Me Sab Se Pehle Islam Laa’e.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Al-Hadith Raqam-3062,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/603,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/119,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra,  03/21,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/11, Al-Hadith Raqam-05.]

 

 

06:             “Hazrat Abd Allah Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayaan Karte Hain Ki Sab Se Pehle Hazrat Khadijah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ba’d Jis Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Namaaz Ada Kee Woh Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain Aur Aik Daf’a Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya Ki Hazrat Khadijah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ba’d Sab Se Pehle Jo Shakhs Islaam Laaya Woh Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/373, Al-Hadith Raqam-3542,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/360, Al-Hadith Raqam-2753,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/11, 12, Al-Hadith Raqam-06.]

 

 

07:             “Hazrat Isma’il Bin Iyas Bin Afif Kindi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Aur Woh Apne Waalid Se Riwaayat Karte Hain Ki Mein Aik Taajir Tha, Mein Hajj Kee Gharaz Se Makkah Aaya To Hazrat Abbas Bin Abd-ul-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Milne Gaya Taa Ki Aap Se Kuchh Maal Tijaarat Khareed Loo’n Aur Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Aik Taajir They. Bakhuda Mein Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Mina Me Tha Ki Achaanak Aik Aadami Apne Qareebi Khaima Se Nikla Us Ne Sooraj Kee Taraf Dekha, Pas Jab Us Ne Sooraj Ko Dhalte Hu’e Dekha To Khade Ho Kar Namaaz Ada Kar Ne Laga. Raawi Bayaan Karte Hain : Phir Usi Khaima Se Jis Se Woh Aadami Nikla Tha Aik Aurat Nikli Aur Us Ke Peechhe Namaaz Padhne Ke Liye Khadi Ho Gayi Phir Usi Khaima Me Se Aik Ladka Jo Qareeb-ul-Buloogh Tha Nikla Aur Us Shakhs Ke Saath Khada Ho Kar Namaaz Padhne Laga. Raawi Bayaan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Kaha Aye Abbas! Yeh Kaun Hai? To Unhone Kaha : Yeh Mera Bhateeja Muhammad Bin Abd Allah Bin Abd-ul-Muttalib Hai. Mein Ne Poochha : Yeh Aurat Kaun Hai? Unhone Kaha : Yeh Un Kee Biwi Khadijah Bint Khuwaylad Hai. Mein Ne Poochha : Yeh Nau Jawaan Kaun Hai? To Unhone Kaha : Yeh Un Ka Chacha Ka Beta Ali Bin Abi Talib Hai. Raawi Kehte Hain : Phir Mein Ne Poochha Yeh Kya Kaam Kar Rahe Hain? To Unhone Kaha Yeh Namaaz Padh Rahe Hain. Un Ka Khayaal Hai Ki Yeh Nabi Hain Haala’n Ki Un Kee Itteba’ Siwaa’e Un Kee Biwi Aur Chachaa Zaad Us Nau Jawaan Ke Koi Nahin Karta Aur Woh Yeh Bhi Gumaan Karte Hain Ki Anqareeb Qaysar-o-Kisra Ke Khazaane Un Ke Liye Khol Diye Jaa’enge. Raawi Bayaan Karte Hain : Afif Jo Ki Ash’ath Bin Qays Ke Bete Hain Woh Kehte Hain Ki Woh Us Ke Ba’d Islam Laa’e, Pas Us Ka Islaam Laana Acchha Hai Magar Kaash Allah Tabaarak Wa Ta’ala Us Din Mujhe Islaam Kee Daulat Ata Farma Deta To Mein Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Teesra Islam Qubool Kar Ne Waala Shakhs Ho Jaata.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/209, Al-Hadith Raqam-1787,

Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab Fi Ma’rifat Al-As’hab, 03/1096,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 08/388, Al-Hadith Raqam-6479,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/12, 13, Al-Hadith Raqam-07.]

 

 

08:             “Hazrat Habbah Urani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai, Woh Kehte Hain Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Farmaate Hu’e Suna : Mein Woh Pehla Shakhs Hoo’n Jis Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Namaaz Padhi.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/141, Al-Hadith Raqam-1191,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/368, Al-Hadith Raqam-32085,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 01/149, Al-Hadith Raqam-179,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/14, Al-Hadith Raqam-08.]

 

 

09:             “Hazrat Habba Urani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Mimbar Par Hanste Hu’e Dekha Aur Mein Ne Kabhi Bhi Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Us Se Ziyaada Hanste Hu’e Nahin Dekha. Yaha’n Tak Ki Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Daant Nazar Aane Lage. Phir Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mujhe Apne Waalid Aboo Talib Ka Qaul Yaad Aa Gaya Tha. Aik Din Woh Hamare Paas Aa’e Jab Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Tha Aur Hum Waadi-E-Nakhlah Me Namaz Ada Kar Rahe They, Pas Unhone Kaha : Aye Mere Bhatije! Aap Kya Kar Rahe Hain? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aap Ko Islam Kee Da’wat Dee To Unhone Kaha : Jo Kuchh Aap Kar Rahe Hain Ya Keh Rahe Hain Us Me Koi Harj Nahin Lekin Aap Kabhi Bhi (Tajrebe Me) Meri Umr Se Ziyaada Nahin Ho Sakte. Pas Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Apne Waalid Kee Us Baat Par Hans Deeye Phir Farmaya : Aye Allah! Mein Nahin Jaanta Ki Mujhe Se Pehle Is Ummat Ke Kisi Aur Fard Ne Teri Ibadat Kee Ho Siwaa’e Tere Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke, Yeh Teen Martaba Dohraaya Phir Farmaya : Tahqiq Mein Ne Aammat-un-Naas Ke Namaz Padhne Se Saat Saal Pehle Namaz Ada Kee.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/99, Al-Hadith Raqam-776,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/102,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/36, Al-Hadith Raqam-188,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/14, 15, Al-Hadith Raqam-09.]

 

 

10:             “Hazrat Salman Farsi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai : Woh Bayan Karte Hain Ki Ummat Me Sab Se Pehle Hauze Kawthar Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hone Waale Islaam Laane Me Sab Se Awwal Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Aur Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/267, Al-Hadith Raqam-35954,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/265, Al-Hadith Raqam-6174,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/102,

Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 01/149, Al-Hadith Raqam-179,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/15, Al-Hadith Raqam-10.]

 

 

11:             “Hazrat Mujaahid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Sab Se Pehle Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Namaaz Ada Kee Aur Woh Us Waqt Das Saal Ke They Aur Hazrat Muhammad Abd-ir-Rahman Bin Zurarah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Islaam Qubool Kiya Jab Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Umr Nau Saal Thi Aur Hasan Bin Zayd Bin Hasan Bin Ali Bin Abi Talib Se Riwaayat Hai Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Islaam Qubool Kar Ne Kee Da’wat Dee Us Waqt Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Umr Nau Saal Thi Aur Hasan Bin Zayd Bayaan Karte Hain Ki Kaha Jaata Hai Ki Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Nau Saal Se Bhi Kam Umr Me Islaam Laa’e Lekin Aap Ne Apne Bachpan Me Bhi Kabhi Buto’n Kee Pooja Nahin Kee Thi.”

Ise Ibn Sa’d Ne “At-Tabaqati-il-Kubra” Riwaayat Kiya Hai.

[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 03/21,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/16, Al-Hadith Raqam-11.]