Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Ali Al-Murtada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akarm SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye Aise Hain Jaise Hazrat Haroon ‘Alayh-is-Salam Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Liye

(٨) بَابٌ فِي إِخْتِصَاصِهِ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ بِأَنَّهُ مِنَ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم بِمَنْزِلَةِ هَارُوْنَ مِنْ مُوْسٰى

Baab-08 :

Ali Al-Murtada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akarm SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye Aise Hain Jaise Hazrat Haroon ‘Alayh-is-Salam Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Liye

 

78:             “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghazwa-E-Tabook Ke Mauqa Par Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Madinah Me Chhod Diya, Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Kya Aap Mujhe Aurto’n Aur Bacchon Me Peechhe Chhod Kar Jaa Rahe Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Mere Saath Tumhaari Wohi Nisbat Ho Jo Hazrat Haroon ‘Alayh-is-Salam Kee Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Se Thi Albatta Mere Baa’d Koi Nabi Nahin Hoga.”

Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1602, Al-Hadith Raqam-4154,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Al-Hadith Raqam-1870,

Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/638, Al-Hadith Raqam-3724,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/185, Al-Hadith Raqam-1608,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/370, Al-Hadith Raqam-6927,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 09/40,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/76, 77, Al-Hadith Raqam-78.]

 

 

79:             “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya : Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Mere Saath Tumhaari Wohi Nisbat Ho Jo Hazrat Haroon ‘Alayh-is-Salam Ko Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Se Thi.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1359, Al-Hadith Raqam-3503,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/42, Al-Hadith Raqam-115,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/369, Al-Hadith Raqam-6926,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/73, Al-Hadith Raqam-718,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/77, Al-Hadith Raqam-79.]

 

 

80:             “Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya : Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ho Ki Tum Mere Liye Aise Ho Jaise Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Liye Haroon ‘Alayh-is-Salam.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Al-Hadith Raqam-2404,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/44, Al-Hadith Raqam-8139,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/139, Al-Hadith Raqam-2728,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/77, 78, Al-Hadith Raqam-80.]

 

 

81:             “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya : Tum Mere Liye Aise Ho Jaise Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Liye Hazrat Haroon ‘Alayh-is-Salam They Magar Bila Shub’ha Mere Baa’d Koi Nabi Nahin Hai. Raawi Kehte Hain Ki Mein Chaahta Tha Ki Mein Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Yeh Hadith Bil-Mushaafaha Sun Loo’n. Pas Meri Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Mulaaqaat Hu’i To Mein Ne Un Ko Aamir Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Yeh Riwaayat Sunaa’i. Unhone Kaha Mein Ne Is Hadith Ko Khud Suna Hai Mein Ne Arz Kiya, Kya Aap Ne Khud Suna Hai? Unhone Apni Dono’n Ungliya’n Kaano’n Par Rakkhi’n Aur Kaha Agar Mein Ne Khud Na Suna Ho To Mere Dono’n Kaan Behre Ho Jaaein.”

Is Hadith Ko Imam Muslim, Tirmidhi Aur Ibn Majah Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1870, Al-Hadith Raqam-2404,

Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/641, Al-Hadith Raqam-3731,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/45, Al-Hadith Raqam-121,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/78, Al-Hadith Raqam-81.]

 

 

82:                      “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baa’z Maghaazi Me Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Peechhe Chhod Diya, Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Aap Ne Mujhe Aurto’n Aur Bacchon Me Peechhe Chhod Diya Hai? To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya : Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ho Ki Tum Mere Liye Aise Ho Jaise Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Liye Haroon ‘Alayh-is-Salam They, Albatta Mere Baa’d Koi Nabi Nahin Hoga Aur Ghazwah Khaybar Ke Din Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Yeh Suna Ki Kal Mein Is Shakhs Ko Jhanda Doonga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Mahabbat Karta Hai, Aur Allah Aur Us Ka Rasool Us Se Mahabbat Karte Hain, So Hum Sab Is Sa’adat Ke Husool Ke Intezaar Me They, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Famaya : Ali Ko Mere Paas Bulaaein, Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Laaya Gaya, Is Waqt Aap Aashobe Chashm Me Mubtala They, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Kee Aankho’n Me Lu’aabe Dahan Daala Aur Unhein Alam Jhanda Ata Kiya, Allah Ta’ala Ne Un Ke Haath Par Khaybar Fat’h Kar Diya Aur Jab Yeh Aayat Naazil Hu’i : ﴾Aap Farma Diji’e Aao Hum Apne Beto’n Ko Bulaaein Aur Tum Apne Beto’n Ko Bulaao.﴿ To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajmaeen Ko Bulaaya Aur Kaha : Aye Allah! Yeh Mera Kunba Hai.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Al-Hadith Raqam-2404,

Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/638, Al-Hadith Raqam-3724,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/79, 80, Al-Hadith Raqam-82.]

 

 

83:             “Hazrat Jabir Bin Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Farmaya : Tum Mere Liye Wohi Haithiyyat Rakhte Ho Jo Haroon ‘Alayha-‘s-Salam Kee Moosa ‘Alayha-‘s-Salam Ke Nazdeek Thi. (Farq Yeh Hai Ki Woh Dono’n Nabi They) Magar Bila Shub’ha Mere Baa’d Koi Nabi Nahin.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/640, Al-Hadith Raqam-3730,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/338, Al-Hadith Raqam-14679,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/247, Al-Hadith Raqam-2035,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/80, Al-Hadith Raqam-83.]

 

 

84:             “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwaayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Logo’n Ke Saath Ghazwah Tabook Ke Liye Nikle To Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Arz Kiya : Kya Mein Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Chaloo’n? To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Nahin Is Par Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ro Pade To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya : Kya Too Is Baat Par Raazi Nahin Ho Ki Too Mere Liye Aise Hai Jaise Haroon ‘Alayh-is-Salam Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Liye They. Magar Yeh Ki Too Nabi Nahin. Tujhe Apna Naa’ib Banaae Baghair Mera Kooch Karna Munaasib Nahin.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Al-Hadith Raqam-3062,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/80, 81, Al-Hadith Raqam-84.]

Advertisement