(٥) بَابٌ فِي قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم : عَلِيٌّ وَلِيُّ کُلِّ مُؤْمِنٍ بَعْدِيْ
Baab-05 :
Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Faarman : Mere Ba’d Ali Har Momin Ka Wali Hai
58: “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aik Taweel Riwayat Me Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Ali Mujh Se Hai Aur Mein Us Se Hoo’n Aur Mere Ba’d Woh Har Musalmaan Ka Wali Hai.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Hai.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/632, Al-Hadith Raqam-3712,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/373, Al-Hadith Raqam-6929,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/119, Al-Hadith Raqam-4579,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/132, Al-Hadith Raqam-8474,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/80, Al-Hadith Raqam-12170,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/293, Al-Hadith Raqam-355,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/128, Al-Hadith Raqam-265,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/60, Al-Hadith Raqam-58.]
59: “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat ‘Abd Allah Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Chacha Ke Beto’n Se Kaha Tum Me Se Kaun Dunya Wa Aakhirat Me Mere Saath Dosti Karega? Raawi Bayan Karte Hain Ki Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Waqt Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Baithe Hu’e They, Unhone Inkaar Kar Diya To Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha Ki Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Dunya Wa Aakhirat Me Dosti Karoonga, Is Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Aye Ali Too Dunya Wa Aakhirat Me Mera Dost Hai. Raawi Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Aage Un Me Se Aik Aur Aadami Kee Taraf Badhe Aur Farmaya : Tum Me Se Dunya Wa Aakhirat Me Mere Saath Kaun Dosti Karega? To Unhone Bhi Inkaar Kar Diya. Raawi Bayan Karte Hain Ki Us Par Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha : Ya RasoolAllah! Mein Aap Ke Saath Dunya Wa Aakhirat Me Dosti Karoonga To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Famraya : Aye Ali! Too Dunya Wa Aakhirat Me Mers Dost Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Al-Hadith Raqam-3062,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/143, Al-Hadith Raqam-4652,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/119,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/603,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/61, 62, Al-Hadith Raqam-59.]
60: “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat ‘Abd Allah ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Ali! Too Mere Ba’d Har Momin Ke Liye Mera Wali Hai.
Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Al-Hadith Raqam-3062,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/62, Al-Hadith Raqam-60.]
61: “Hazrat Ibn Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Wali Hoo’n, Us Ka Ali Wali Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Aur Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Aur “Al-Mu’jam-ul-Awsat” Me Riwayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/361, Al-Hadith Raqam-23107,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/131, Al-Hadith Raqam-2589,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, Al-Hadith Raqam-4968,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/100, 101, Al-Hadith Raqam-2204,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/57, Al-Hadith Raqam-12114,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108,
Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/601, 603, Al-Hadith Raqam-1351, 1366,
Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/563, Al-Hadith Raqam-947,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/62, 63, Al-Hadith Raqam-61.]
62: “Hazrat ‘Abd Allah Bin Buraydah Aslami Bayan Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Wali Hoo’n Tehqiq Us Ka Ali Wali Hai.” Unhi Se Aik Aur Riwayat Me Hai (Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: ) “Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Wali Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal, Hakim, Abd-ur-Razzaque Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/358, Al-Hadith Raqam-23080,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/129, Al-Hadith Raqam-2589,
’Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 11/225, Al-Hadith Raqam-20388,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/84, Al-Hadith Raqam-12181,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108,
Nasa’i Fi Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/ 85, 86, Al-Hadith Raqam-77,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/602, Al-Hadith Raqam-32905,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/23,
Ibn ‘Asakir, Tarikh Dimashq Al Kabir, 45/76,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/63, Al-Hadith Raqam-62.]
63: “Hazrat Ammar Bin Yaasir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jo Mujh Par Imaan Laaya Aur Meri Tasdiq Kee Use Mein Wilayate Ali Kee Wasiyyat Karta Hoo’n, Jis Ne Use Wali Jaana Us Ne Mujhe Wali Jaana Aur Jis Ne Mujhe Wali Jaana Us Ne Allah Ko Wali Jaana, Aur Jis Ne Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mahabbat Kee Us Ne Mujh Se Mahabbat Kee, Aur Jis Ne Mujh Se Mahabbat Kee Us Ne Allah Se Mahabbat Kee, Aur Jis Ne Ali Se Bughz Rakkha Us Ne Mujh Se Bughz Rakkha, Aur Jis Ne Mujh Se Bughz Rakkha Us Ne Allah Se Bughz Rakkha.”
Is Hadith Ko Haythami Ne Majma’-uz-Zawa’id Me Riwayat Kiya Hai.
–
[Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108, 109,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/181, 182,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/611, Al-Hadith Raqam-32958,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/63, 64, Al-Hadith Raqam-63.]
64: “Hazrat Ibn Buraydah Apne Waalid Se Aik Taweel Riwayat Me Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Un Logo’n Ko Kya Hoga Jo Ali Kee Shaan Me Gustaakhi Karte Hain! (Jaan Lo) Jo Ali Kee Gustaakhi Karta Hai Woh Meri Gustaakhi Karta Hai Aur Jo Ali Se Juda Huwa Woh Mujh Se Juda Ho Gaya. Be Shak Ali Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo’n, Us Kee Takhliq Meri Mitti Se Hu’i Hai Aur Meri Takhliq Ibrahim Kee Mitti Se, Aur Mein Ibrahim Se Afzal Hoo’n. Hum Me Se Ba’z Ba’z Kee Aulaad Hain, Allah Ta’ala Yeh Saari Baatein Sun Ne Aur Jaan Ne Waala Hai…….. Woh Mere Ba’d Tum Sab Ka Wali Hai. (Buraydah Bayan Karte Hain Ki) Mein Ne Kaha : Ya RasoolAllah! Kuchh Waqt Inaayat Farmaein Aur Apna Haath Badhaaein, Mein Tajdide Islam Kee Bay’at Karna Chaahta Hoo’n, (Aur) Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Juda Na Huwa Yaha’n Tak Ki Mein Ne Islam Par (Do Baarah) Bay’at Kar Lee.”
Is Hadith Ko Tabarani Ne Al-Mu’jam-ul-Awsat Me Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/163, 162, Al-Hadith Raqam-6085,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/128,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/64, 65, Al-Hadith Raqam-64.]