Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 03

Hadith Number : 03

“Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : ˝Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka ‘Ali Wali Hai.” Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko) Yeh Farmate Hu’e Suna : ˝Tum Meri Jagah Par Usi Tarah Ho Jaise Haaroon, Moosa Kee Jagah They, Magar Mere Baa’d Ko’i Nabi Nahin.” Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Ghazwa-e-Khaybar Ke Mouka’ Par) Yeh Bhi Farmate Hu’e Suna : ˝Mein Aaj Us Shakhs Ko ‘Alam Ata Karunga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Muhabbat Karta Hai.”

[1-Ibn Majah Ne Yeh Sahih Hadith “As-Sunan (01/90, Al-Muqaddimah, Raqam-121)” Me Riwayat Kee Hai.

2-Nasa’i Ne Yeh Hadith “Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Shaf’h,/32, 33, Raqam-91)” Me Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Naqal Kee Hai.

3-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/608, Raqam-1386,

4-Mizzi Fi Tuhfat-il-Ashraf Bi-Mari’fat-il-Atraf, 03/302, Raqam-3901.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 04

Hadith Number : 04

“Bara’ Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hum Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Hajj Ada Kiya, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Raaste Me Ek Jagah Qiyaam Farmaya Aur Namaz Ba-Jama’at (Qaayim Karne) Ka Hukm Diya, Us Ke Baa’d Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : ˝Kya Mein Momineen Kee Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n? Unhone Jawaab Diya : Kyun Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Kya Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Nahin Hoo’n? Unhone Jawab Diya : Kyoon Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Pas Yah Us Ka Wali Hai Jis Ka Mein Mawla Hoo’n. Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh (Aur) Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh.”

[1-Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/88, Al-Muqaddimah, Raqam-112,

2-Ibn Abi ‘Asim Ne “Kitab-us-Sunnah (Saf’h-603, Raqam-1362)” Me Mukhtasaran Zikr Kee Hai,

3-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/168,

4-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/602, Raqam-32904,

5-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/167, 168,

Yah Hadith Sahih Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 06

Hadith Number : 06

“Hazrat Ibn Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Wali Hoo’n, Us Ka ‘Ali Wali Hai.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/361,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/563, Raqam-947,

3-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/601, 603, Raqam-1351, 1366,

4-Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/131, Raqam-2589,

5-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/57, Raqam-12114,

6-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, Raqam-4968,

7-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/100, 101, Raqam-2204,

8-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108,

9-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/143,

10-Ibn ‘Asakir Yeh Hadith “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/142)” Me Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Bhi Riwayat Kee Hai.

11-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/602, Raqam-32905,

12-Yahi Hadith Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Hisam-ud-Deen Hindi Ne “Kanz-ul-’Ummal (15/168, 169, Raqam-36511)” Me Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Naqal Kee Hai Aur Kaha Hai Ki Ise Ibn Rahwayh Aur Ibn Jarir Ne Riwayat Kiya Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 25

Hadith Number : 25

“Hazrat Amaar Bin Yaasir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jo Mujh Par Imaan Laaya Aur Meri Tasdiq Kee Use Mein Wilayate ’Ali Kee Wasiyyat Karta Hoo’n, Jis Ne Use Wali Jaana Us Ne Mujhe Wali Jaana Aur Jis Ne Mujh Wali Jaana Us Ne Allah Ko Wali Jaana, Aur Jis Ne ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Muhabbat Kee Us Ne Mujh Se Muhabbat Kee, Aur Jis Ne Mujh Se Muhabbat Kee Us Ne Allah Se Muhabbat Kee, Aur Jis Ne ‘Ali Se Bughz Rakkha Us Ne Mujh Se Bughz Rakkha, Aur Jis Ne Mujh Se Bughz Rakkha Us Ne Allah Se Bughz Rakkha.”

[1-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108, 109,

2-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/181, 182,

3-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/611, Raqam-32958,

4-Haythami Ne Is Hadith Ko Tabarani Se Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Rawaah Ko Thiqah Qaraar Diya Hain.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 27

Hadith Number : 27

“Hazrat ‘Abd Allah Bin Buraydah Aslami Bayan Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Wali Hoo’n Tahqiq Us Ka ‘Ali Wali Hai.” Unhi Se Ek Aur Riwayat Me Hain (Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya:) “Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka ‘Ali Wali Hai.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/129, Raqam-2589,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/350, 358, 361,

3-Khasa’is Amir Al-Mu’minin ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/ 85, 86, Raqam-77,

4-’Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 11/225, Raqam-20388,

5-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/84, Raqam-12181,

6-Aboo Nu’aym Ne “Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’ (04/23)” Me Ise Mukhtasaran مَنْ كُنْتُ مَوْﻻَهُ فَعَلِىُّ مَوْﻻَهُ Ke Alfaaz Ke Saath Bayan Kiya Hai.

7-Ibn ‘Asakir, Tarikh Dimashq Al Kabir, 45/76,

8-Haythami Ne “Majma-uz-Zawa’id (09/108)” Me Ise Naqal Karte Hu’e Kaha Hai Ki Bazzar Kee Bayan Kardah Riwayat Ke Rijaal Sahih Hai.

9-Hisam-ud-Deen Hindi Ne “Kanz-ul-’Ummal (11/602, Raqam-329)” Me Mukhtasaran مَنْ كُنْتُ مَوْﻻَهُ فَعَلِىُّ مَوْﻻَهُ Ke Alfaaz Ke Saath Bayan Kiya Hai.

10-Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 06/218,

Imam Hakim Ne Is Riwayat Ko Sharte Shaykhayn Ke Mutabiq Sahih Qaraar Diya Hai, Aur Is Hadith Ko Aboo Awaanah Se Ek Doosare Tariq Se Sa’d Bin ‘Ubaydah Se Bhi Bayan Kiya Hai.
Unhone “Al-Mustadark” Me Buraydah Aslami Se Ek Aur Jagah (03/110, Raqam-4578) Bhi Isi Hadith Ko Mukhtasaran Bayan Kiya Hai.]

Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Faarman : Mere Ba’d Ali Har Momin Ka Wali Hai

(٥) بَابٌ فِي قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم : عَلِيٌّ وَلِيُّ کُلِّ مُؤْمِنٍ بَعْدِيْ

Baab-05 :

Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Faarman : Mere Ba’d Ali Har Momin Ka Wali Hai

 

58:              “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aik Taweel Riwayat Me Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Ali Mujh Se Hai Aur Mein Us Se Hoo’n Aur Mere Ba’d Woh Har Musalmaan Ka Wali Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/632, Al-Hadith Raqam-3712,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/373, Al-Hadith Raqam-6929,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/119, Al-Hadith Raqam-4579,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/132, Al-Hadith Raqam-8474,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/80, Al-Hadith Raqam-12170,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/293, Al-Hadith Raqam-355,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/128, Al-Hadith Raqam-265,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/60, Al-Hadith Raqam-58.]

 

 

59:              “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat ‘Abd Allah Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Chacha Ke Beto’n Se Kaha Tum Me Se Kaun Dunya Wa Aakhirat Me Mere Saath Dosti Karega? Raawi Bayan Karte Hain Ki Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Waqt Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Baithe Hu’e They, Unhone Inkaar Kar Diya To Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha Ki Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Dunya Wa Aakhirat Me Dosti Karoonga, Is Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Aye Ali Too Dunya Wa Aakhirat Me Mera Dost Hai. Raawi Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Aage Un Me Se Aik Aur Aadami Kee Taraf Badhe Aur Farmaya : Tum Me Se Dunya Wa Aakhirat Me Mere Saath Kaun Dosti Karega? To Unhone Bhi Inkaar Kar Diya. Raawi Bayan Karte Hain Ki Us Par Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha : Ya RasoolAllah! Mein Aap Ke Saath Dunya Wa Aakhirat Me Dosti Karoonga To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Famraya : Aye Ali! Too Dunya Wa Aakhirat Me Mers Dost Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Al-Hadith Raqam-3062,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/143, Al-Hadith Raqam-4652,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/119,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/603,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/61, 62, Al-Hadith Raqam-59.]

 

 

60:             “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat ‘Abd Allah ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Ali! Too Mere Ba’d Har Momin Ke Liye Mera Wali Hai.

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Al-Hadith Raqam-3062,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/62, Al-Hadith Raqam-60.]

 

 

61:             “Hazrat Ibn Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Wali Hoo’n, Us Ka Ali Wali Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Aur Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Aur “Al-Mu’jam-ul-Awsat” Me Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/361, Al-Hadith Raqam-23107,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/131, Al-Hadith Raqam-2589,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, Al-Hadith Raqam-4968,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/100, 101, Al-Hadith Raqam-2204,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/57, Al-Hadith Raqam-12114,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108,

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/601, 603, Al-Hadith Raqam-1351, 1366,

Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/563, Al-Hadith Raqam-947,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/62, 63, Al-Hadith Raqam-61.]

 

 

62:              “Hazrat ‘Abd Allah Bin Buraydah Aslami Bayan Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Wali Hoo’n Tehqiq Us Ka Ali Wali Hai.” Unhi Se Aik Aur Riwayat Me Hai (Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: ) “Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Wali Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal, Hakim, Abd-ur-Razzaque Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/358, Al-Hadith Raqam-23080,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/129, Al-Hadith Raqam-2589,

’Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 11/225, Al-Hadith Raqam-20388,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/84, Al-Hadith Raqam-12181,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108,

Nasa’i Fi Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/ 85, 86, Al-Hadith Raqam-77,

Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/602, Al-Hadith Raqam-32905,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/23,

Ibn ‘Asakir, Tarikh Dimashq Al Kabir, 45/76,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/63, Al-Hadith Raqam-62.]

 

 

63:             “Hazrat Ammar Bin Yaasir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jo Mujh Par Imaan Laaya Aur Meri Tasdiq Kee Use Mein Wilayate Ali Kee Wasiyyat Karta Hoo’n, Jis Ne Use Wali Jaana Us Ne Mujhe Wali Jaana Aur Jis Ne Mujhe Wali Jaana Us Ne Allah Ko Wali Jaana, Aur Jis Ne Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mahabbat Kee Us Ne Mujh Se Mahabbat Kee, Aur Jis Ne Mujh Se Mahabbat Kee Us Ne Allah Se Mahabbat Kee, Aur Jis Ne Ali Se Bughz Rakkha Us Ne Mujh Se Bughz Rakkha, Aur Jis Ne Mujh Se Bughz Rakkha Us Ne Allah Se Bughz Rakkha.”

Is Hadith Ko Haythami Ne Majma’-uz-Zawa’id Me Riwayat Kiya Hai.

[Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108, 109,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/181, 182,

Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/611, Al-Hadith Raqam-32958,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/63, 64, Al-Hadith Raqam-63.]

 

 

64:              “Hazrat Ibn Buraydah Apne Waalid Se Aik Taweel Riwayat Me Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Un Logo’n Ko Kya Hoga Jo Ali Kee Shaan Me Gustaakhi Karte Hain! (Jaan Lo) Jo Ali Kee Gustaakhi Karta Hai Woh Meri Gustaakhi Karta Hai Aur Jo Ali Se Juda Huwa Woh Mujh Se Juda Ho Gaya. Be Shak Ali Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo’n, Us Kee Takhliq Meri Mitti Se Hu’i Hai Aur Meri Takhliq Ibrahim Kee Mitti Se, Aur Mein Ibrahim Se Afzal Hoo’n. Hum Me Se Ba’z Ba’z Kee Aulaad Hain, Allah Ta’ala Yeh Saari Baatein Sun Ne Aur Jaan Ne Waala Hai…….. Woh Mere Ba’d Tum Sab Ka Wali Hai. (Buraydah Bayan Karte Hain Ki) Mein Ne Kaha : Ya RasoolAllah! Kuchh Waqt Inaayat Farmaein Aur Apna Haath Badhaaein, Mein Tajdide Islam Kee Bay’at Karna Chaahta Hoo’n, (Aur) Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Juda Na Huwa Yaha’n Tak Ki Mein Ne Islam Par (Do Baarah) Bay’at Kar Lee.”

Is Hadith Ko Tabarani Ne Al-Mu’jam-ul-Awsat Me Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/163, 162, Al-Hadith Raqam-6085,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/128,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/64, 65, Al-Hadith Raqam-64.]