Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

60 Hijri Ke Ikhtitaam Se Panaah Maangne Ka Hukm

                   Hazrat Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Kee Shahadate Uzma Kee Yeh Aik Munfarad Khoobi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Kee Tafseelaat Bahut Pehle Bata Dee Thi’n Taa Ki Juz’iyyaat Tak Se Khawaas Ahle Bayt Waaqif Ho Chuke They Aur Unhein Bakhoobi Pata Chal Chuka Tha Ki Mustaqbil Me Kya Hone Waala Hai. Un Hairat Angez Qabl Az Waqt Tafsilaat Ko Mu’jizanah Pesheengoyi Ke Siwa Koi Naam Nahin Diya Jaa Sakta. Yahi Wajah Hai Ki Maydaane Siffin Kee Taraf Jaate Huwe Raaste Me Hazrat Ali Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Karbala Ke Un Muqaamaat Tak Kee Nishaan-Dihi Kar Dee Thi Jaha’n Un Hazarat Ko Shaheed Hona Tha.

 

Un Waqe’at Ka Ba-Nazar Ghaa’ir Jaa’izah Lene Se Pata Chalta Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Deegar Tafseelaat Ke Saath Baa’z Khaas Logo’n Ke Mah-o-Saal Se Bhi Aagaah Kar Diya Tha Aur Woh Hatmi Taur Par Jaante They Ki Yeh Afsosnaak Saanihah Kab Wuqoo’ Pazeer Hone Waala Hai.

Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Un Khaas Logo’n Aur Mahrame Raaz Dosto’n Me Se They Jinhein Achchhi Tarah Ilm Tha Ki Sinn 60 Hijri Ke Ikhtitaam Tak Siyaasi Wa Mulki Haalaat Mustehkam Nahin Raheinge Balki Un Me Numaaya Tabdeeli Aa Jaaegi. Hukoomat Kee Baag Daur Aisi Ghair Saalih Awbaash Aur Nau Umr Logo’n Ke Haath Me Aa Jaaegi Jin Ke Peshe Nazar Amaanate Ilahiyyah Nahin Balki Ta’ayyush Zindagi Hogi Aur Woh Itqtidaar Ko Aish Wa Ishrat, Sharaab Wa Kabaab, Badma’ashi, Aawaaragi, Badkaari Aur Awaam Par Zulm-o-Sitam Dhaane Ke Liye Be Daregh Isti’maal Karenge. Chunanche Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aksar Duaa Kiya Karte They :

أعوذ بالله من رأس الستين وإمارة الصبيان.

Mein Saath – 60 Hijri Ke Ikhtitaam Aur Nau Umr Logo’n Kee Amaarat Se Allah Ta’ala Kee Panaah Maangta Hoo’n.

[Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 01/216.]

 

Aik Doosri Riwayat Me Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Baazaar Se Guzarte Huwe Yeh Duaa Kiya Karte They :

اللهم لا تدركني سنة ستين ولا إمارة الصبيان.

Aye Allah ! Mein Saath-60 Hijri Aur Baccho’n Kee Amaarat Ke Zamaane Ko Na Paao’n.

[Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 12/10.]

 

Un Ka Muda’aa Yeh Tha Ki Aik Khaufnaak Daur Shuru’ Hone Waala Hai, Jis Me Awbaash Ladke Saltanat Wa Hukoomat Par Qaabid Honge. Jis Se Ummate Muslimah Ko Na-Qabile Talaafi Nuqshaan Hoga, Aise Awbaash Ladko’n Ke Baare Me Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Pehle Se Khabardaar Farma Diya Tha :

1

هلاك هذه أمتي على يدي أغيلمة من قريش.

Is Ummat Kee Halaaqat Quraysh Ke Awbaash Naujawaano’n Ke Haatho’n Hogi.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/509,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/1046,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/526,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/335,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/327.]

 

2

هلاك أمتي على يدي غلمة من قريش.

Meri Ummat Kee Halaaqat Quraysh Ke Awbaash Naujawano’n Ke Haatho’n Hogi.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/527,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/346.]

 

3

إن فساد أمتي على يدي أغيلمة سفهاء.

BeShak Meri Ummat Me Jhagda Wa Fasaad Be-Waqoof Awbaash Naujawaano’n Ke Haatho’n Barpa Hoga.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/304,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/485,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/108,

Bukhari Fi At-Tarikh Al-Kabir, 07/309.]

 

4

إن هلاك أمتي أو فساد أمتي رؤوس أمراء أغيلمة سفهاء من قريش.

BeShak Meri Ummat Kee Halaaqat Ya (Us Ka) Fasaad Quraysh Ke Be-Waqoof Aur Awbaash Hukmarano’n Ke Haatho’n Hoga.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/299.]

 

Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Aik Riwayat Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :

ويل للعرب من شر قد اقترب على رأس الستين تصير الأمانة غنيمة والصدقة غرامة والشهادة بالمعرفة والحكم بالهوى.

Ahle Arab Ke Liye Us Sharr Kee Wajah Se Tabaahi Wa Barbaadi Hai Jo Sinn 60 Hijri Ke Ikhtitam Par Qareeb Aa Chuki Hai, Amaanat Ko Maale Ghanimat Aur Sadqah (Wa Zakaat) Ko Taawaan (Jurmaana) Khayaal Kiya Jaaega Aur Gawaahi (Shakhsi) Jaan Pahchaan Kee Bina Par Hogi Aur Faisalah (Zaati) Khwaahish Kee Bina Par Hoga.

[Nu’aym Bin Hammad Fi Kitab-ul-Fitan, 02/703.]

 

Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :

يقتل حسين بن علي على رأس ستين من مهاجرتي.

(Mere Jigar Gosha) Husayn Bin Ali Ko Sinn 60 Hijri Ke Ikhtitaam Par Shaheed Kar Diya Jaaega.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/105,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 01/142,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/190.]

 

Yahi Riwayat Mundarijae Zayl Alfaaz Ke Saath Bhi Marwi Hain :

يقتل الحسين بن علي على رأس ستين من مهاجري حين يعلوه القتير، القتير الشيب.

(Mere Jigar Gosha) Husayn Bin Ali Ko Sinn 60 Hijri Ke Ikhtitaam Par Shaheed Kar Diya Jaaega Ki Jab Aik (Awbaash) Naujawaan Un Par Chadhaa’i Karega.

[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/539.]

 

Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Is Pesheengoyi Ke Mutabiq Sinn 60 Hijri Me Qabila-E-Quraysh Kee Shaakh Bani Umayya Ka Awbaash Naujawan Yazeed Bin Mu’awiya Takht Nasheen Huwa, Aur 61 Hijri Ke Ibtidaayi Das-10 Dino’n Me Saaniha-E-Karbala Pesh Aaya Jis Ka Waazeh Matlab Yeh Huwa Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yazeed Kee Hukoomat Se Panaah Mangne Ka Hukm Farmaya Tha Aur Bata Diya Tha Ki Yahi Woh Shakhs Hoga Jo Ahl-E-Bayt Salam Allah ‘Alayhim Ke Khoon Se Haath Rangega, Chunanche Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Hukm Kee Pairwi Me Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Yazeed Kee No-Khaiz Aur La-Ubaali Hukoomat Aur Us Ke Zulm-o-Sitam Se Bharpoor Daur Se Panaah Maanga Karte They. Chunanche Aap Kee Duaa Qubool Huwi Aur Aap Aik Saal Pehle Hee Faut Ho Gaye.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-13_17.]