Madinah Ke Haalaat Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Haque Me Na-Saazgaar Ho Gaye Aur Aap Ne Socha Ki Mumkin Hai Ki Mere Haamiyo’n Aur Hukoomat Ke Darmiyan Aik Musallah Jang Kee Fiza Paida Ho Jaaye Aur Khoon Kharaabi Kee Naubat Aa Jaaye Aur Mere Nana Ka Madinah Jise Aap Ne Haram Qaraar Diya Tha Jis Haram Ke Liye Mere Chacha Uthman Ne Bhi Apna Khoon Qubool Kar Liya Tha, Apni Maut Ko Be Kasi Aur Be Basi Ke Aalam Ko Gawaara Kar Liya Tha Lekin Apne Difaa’ Me Talwaar Uthaane Kee Ijaazat Na Dee Thi Mein Nahin Chahta Ki Woh Muqaddas Sar Zameen Mere Khoon Se Rangin Ho Jaaye.
Isi Asna’ Me Hazrat Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Chupke Se Madinah Chhod Kar Makkah Mukarammah Chale Gaye. Baaqi Do Sahabah Bhi Bay’at Ka Inkaar Kar Ke Aik Taraf Ho Gaye Aur Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Haamiyo’n Me Aur Aap Ke Ghulamo’n Me Chun Ki Josh Tha, Aap Rawda-E-Rasool Par Haazir Huwe Aur Gumbade Khadra’ Ko Mushtaaqaanah Hasrat Bhari Nigaaho’n Se Dekh Kar Thandi Saans Le Kar Arz Kee : Nana Jaan ! Ab Aap Ke Sahr Ke Log Aur Yaha’n Ke Hukmaraan Mujhe Aap Ke Qadmo’n Me Nahin Rahne Dete Phir Huzoore Aqdas SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ijazat Le Kar Bojhal Dil Aur Purnam Aankho’n Ke Saath Ahl-o-Ayaal Aur A’izzah Wa Aqaarib Ko Sath Le Kar Madine Ke Hurmat Ke Tahaffuz Ke Khaatir Shahre Makkah Ko Hijrat Farma Gaye Aur Waha’n Panunche To Abd Allah Bin Zubayr Apne Kai Haamiyo’n Ko Tayyar Kar Chuke They. Yazeed Ko Jab Abd Allah Bin Zubayr Ke Makkah Pahunchne Kee Khabar Huwi To Us Ne Apna Lashkar Bheja Aur Sipah Saalaar Ko Hukm Diya Ki Makkah Ka Muhaasarah Kar Liya Jaaye, Abd Allah Bin Zubayr Ko Fat’h Huwi Lekin Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Is Ma’rake Me Harame Ka’ba Ke Peshe Nazar Phir Bhi Shareek Na Huwe, Alag Thalag Rahe.
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-18.]