Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Koofah Jaane Ke Liye Imame Paak Ka Faisalah

                   Jab Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Yeh Khat Pahunche To Aap Kee Himmat Aur Ghairate Deeni Josh Me Aa Gayi Aur Aap Ne Amr Bi’l-Ma’roof Wa An-Nahiy ‘Ani-‘l-Munkar Ke Liye Alame Jihaad Buland Karna Apna Farz Samajh Liya Is Par Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Aur Aap Ke Deegar A’izzah Wa Aqaarib Aur Kai Jalil-ul-Qadr Sahabah Aur Tabi’iyn Ne Aap Kee Khidmat Me Darkhaast Kee Ki Hazrat Aap Koofah Tashrif Na Le Jaaein Koofah Ke Log Be-Wafa Hain. Jafaakaar Hain Unhone Aap Ke Abba Huzoor Se Be-Wafa’i Kee Thi Unhein Ghurbat Pardes Aur Kasmapursi Kee Haalat Me Shahadat Ke Anjaam Tak Pahunchaya Tha. Aur Phir Yeh Log Woh Hain Ki Yeh Apne Zaalim Amir Ko Takht Se Hata Kar Da’wat Nahin De Rahe Us Kee Pairwi Ka Qilaadah Ba Dastoor Un Ke Gale Me Hai. Un Ke Saro’n Par Us Kee Ghulami Ka Saaya Hai Lekin Aap Ko Bula Rahe Hain Kahin Aisa To Na Ho Ki Aap Se Be-Wafa’i Kar Jaaein Aur Zulm-o-Sitam Ke Murtaqib Ho’n Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yeh Sab Kuchh Suna Lekin Farmaya Ki Ab Mujh Par Amr Bi’l-Ma’roof Wa An-Nahiy ‘Ani-‘l-Munkar Aur Da’wate Haque Kee Khaatir Alame Jihaad Karna Farz Ho Chuka Hai, Woh Log Jafakar Ho’n Ya Be-Wafa, Mujhe Un Kee Be-Wafa’i Se Koi Sarokaar Nahin, Qiyamat Ke Din Allah Kee Bargah Me Pesh Hone Se Darta Hoo’n Ki Kahin Aisa Na Ho Ki Mujh Se Sawaal Kiya Jaaye Ki Tujhe Da’wate Haque Dee Gayi Thi Us Waqt Zulm Wa Barbariyyat Ka Baazaar Garm Tha Aur Sunnate Nabawi Ke Khilaaf Sarkashi Ho Rahi Thi Aur Deene Islam Me Bid’aat Wa Khuraafaat Ko Riwaaj Diya Jaa Raha Tha Qaarooniyyat, Fir’awniyyat, Aur Yazeediyyat Dandana Rahi Thi Logo’n Ke Huqooq Salb Ho Rahe They Aazadiya’n Chhini Jaa Rahi Thi, Islami Shi’aar  Ka Mazaaq Udaaya Jaa Raha Tha, Islam Kee Hukoomat Aur Islam Ke Qanoon Kee Tad’hik Ho Rahi Thi Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu ! Us Waqt Too Ne Us Baghaawat Ke Khilaaf Jihaad Ka Alam Kyun Buland Na Kiya ? Us Waqt Mein Kya Jawaab Dunga. Albatta Yeh Munaasib Hai Ki Jaane Se Pehle Apne Chachazaad Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Haalaat Ka Jaa’izah Lene Bhejta Hoo’n, Unhone Waha’n Se Jo Report Bheji Phir Us Ke Mutabiq Amal Karunga Chunanche Aap Ne Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Koofah Sifaarat Ke Khayaal Se Bheja, Aur Farmaya, Ki Aye Mere Bhaai Muslim ! Koofah Jaa Kar Haalaat Ka Ja’izah Lo! Aur Waha’n Ke Haalaat Ka Jaa’izah Le Kar Mujhe Mashwarah Do Aur Mujhe Khat Likho Ki Aaya, In Haalaat Me Mera Waha’n Jaana Munaasib Hai Ya Nahin ? Log Yazeed Kee Bay’at Todne Aur Meri Bay’at Karne Ke Liye Tayyar Hai Ya Nahin ?

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-20_21.]