PEHLA
KHITAAB
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
Tarikhe Islam Me Be Shumaar Shahadatein Huwin Aur Har Shahadat Apni Jagah Aik Numaaya’n Ahmiyyat, Infiraadi Qadr-o-Manzilat Aur Maqaam Kee Haamil Hai. Har Shahadat Me Islam Kee Baqa’, Dawaam, Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Deen Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sunnate Mubaraka Kee Hayaate Jaawida’n Ka Raaz Poshidah Hai. Yahi Wajah Hai Ki Tarikhe Islam Me Har Shahadat Apni Jagah Aham Shumaar Kee Jaati Hai Lekin Shahadate Imame Husayn ‘Alayh-is-Salam Ka Waqi’a Kai I’tibaar Se Deegar Tamaam Shahadato’n Se Mukhtalif Aur Munfarid Hai. Us Kee Infiraadiyyat Kee Aik Wajah Yeh Hai Ki Aap Khanwada-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chashm-o-Charagh They Aur Aise Chashm-o-Charagh Ke Jinhone Barahe Raast Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Goud Me Parwarish Paa’i Thi, Aap Ke Mubarak Kandho’n Par Sawaari Kee Thi, Aap Ke Lu’aabe Dahan Ko Apni Ghiza Banaaya Tha Aur Jinhein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Beta Hone ka Sharaf Haasil Tha. Is Liye Ghurbat, Pardeys Aur Mazloomiyyat Kee Haalat Me Yazeediyo’n Ke Haatho’n Shahadat Baaqi Shahadato’n Par Aik Numaaya Fauqiyyat Aur Bartari Rakhti Hai.
Khilaafate Raashidah Kee Muddat
Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Baa’d Qaa’im Hone Waale Daure Hukoomat Kee Pehli Hee Nishaan-Dihi Farma Dee Thi. Hazrat Safinah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
الخلافة في أمتي ثلاثون سنة ثم ملك بعد ذلك.
Meri Ummat Me Khilafat Tees-30 Baras Tak Rahegi, Phir Us Ke Baa’d Mulookiyyat Hogi.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/45,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/221,
Bayhaqui Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 06/342.]
Aik Aur Riwayat Me Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
خلافة بعدي ثلاثون سنة ثم تكون ملكاً.
Mere Ba’d Khilafat Tees-30 Baras Tak Rahegi Phir Mulookiyyat Aa Jaaegi.
–
[Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih : 463,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 08/77,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 12/287,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 13/212.]
Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Farman Ke Mutabiq Khilafate Rashidah Aap Ke Baa’d Tees-30 Saal Hogi, Is Ke Baa’d Daure Mulookiyyat Ka Aaghaaz Hoga. Khayr Wa Falaah Par Mabni Tarze Hukoomat Badal Diya Jaaega Aur Ummate Muslimah Me Siyaasi Iqtedaar Kee Jo Shakl Riwaaj Paaegi Woh Mulookiyyat Kee Soorat Me Hogi. Chunanche Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Peyshangoyi Ke Mutabiq Hazrat Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu 02 Baras 03 Maah 10 Din Tak Takhte Khilafat Par Mutamakkin Rahe, Phir Khalifa-E-Thaani Hazrat Umar Farooque RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne 10 Baras 06 Maah 04 Din Tak Us Mansab Ko Zeenat Bakhshi, Phir Khalifa-E-Thaalisth Hazrat Uthman Ghani Dhu-‘n-Noorayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Daur Aaya Aur Aap 11 Baras 11 Maah 28 Din Tak Khalifah Rahe. Aap Ke Baa’d Khalifa-E-Chaahroom Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim 04 Baras 09 Maah Tak Us Ohda-E-Jalilah Par Faa’iz Rahe Aur Tablighe Deen Ke Liye Jo Kuchh Kar Sakte They Badi Jaan-Fishaani, Jur’at Wa Himmat Aur Nihaayat Josh Wa Jazbe Ke Saath Woh Sab Kuchh Kiya. Aap Kee Shahadat Ke Baa’d Aap Ke Sahibzade Hazrat Imam Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yeh Uhdah Sambhaala Aur Taqriban Chhe-06 Maah Us Mansab Par Faa’iz Rahe, Sayyidina Imam Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Daure Khilafat Ke 06 Maah Shumaar Kar Ke Tees-30 Baras Mushtamil Yeh Zamana Ahde Khilafate Rashidah Kahlaata Hai.
Hazrat Ali Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke E’lane Khilafat Ke Saath Hee Mulke Shaam Me Hazrat Amir Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apni Aazaad Hukoomat Ka E’laan Kar Diya Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Khalifah Taslim Na Kiya. Is Par Ummate Muslima Muttafique Rahi Hai Ki Khilafat Bahar Taur Sayyidina Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haque Tha Aap Hee Khalifa-E-Bar-Haque Aur Khalifa-E-Rashid They. Hazrat Amir Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Yeh Faysala Aur Iqdaam Jami’ A’imma-E-Ahle Sunnat Ke Haa’n Ijtihaadi Khata Par Mahmool Kiya Jaata Hai.
Allamah Taftazaani Likhte Hain :
والذي أتفق عليه أهل الحق أن المصيب في جميع ذلك علي.
Ahle Haque Ka Is Baat Par Ittifaque Hai Ki Us Poore Mu’amale Me Hazrat Ali Durust They.
–
[Taftazani Fi Sharh Al-Maqasid, 02/305.]
Hazrat Amir Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Judagaanah E’lane Hukoomat Ke Baa’d Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Un Kee Kashmakash Ka Aaghaaz Ho Gaya Jis Ke Nateeje Me Jange Jumal Aur Jange Siffin Jaise Chhote Bade Ma’rake Huwe.
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-09_11.]