Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasan Wa Husayn Jannat Ke Naamo’n Me Se Do Naam Hain Jin Ko Allah Ta’ala Ne Hijaab Me Rakkha

Fasl : 02

Hasan Wa Husayn Jannat Ke Naamo’n Me Se Do Naam Hain Jin Ko Allah Ta’ala Ne Hijaab Me Rakkha

 

07              “Hazrat Mufaddal رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Allah Tabarak Wa Ta’ala Ne Hasan Aur Husayn Ke Naamo’n Ko Hijaab Me Rakkha Yaha’n Tak Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Apne Beto’n Ka Naam Hasan Aur Husayn Rakkha.”

[1-Nab’hani Fi Al-Sharaf Al-Mu’bbad Li-Al-Muhammad,/424,

2-Nawawi Fi Tahdhib-ul-Asma’ Wa Al-Lughat, 01/126, Raqam-118,

3-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 02/13,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/17, Raqam-07.]

 

 

08              “Hazrat Imran Bin Sulayman Se Riwayat Hai Ki Hasan Aur Husayn Ahle Jannat Ke Naamo’n Me Se Do Naam Hain Jo Ki Daure Jaahiliyyat Me Pahle Kabhi Nahin Rakkhe Ga’e They.”

[1-Doolabi Fi Adh-Dhurriyat-ut-Tahirah, 01/68, Raqam-99,

2-Ibn Hajar Makki Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa Al-Zandaqah,/192,

3-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 02/25,

4-Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 01/105,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/17, 18, Raqam-08.]