Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Munafiq Kee Nishaani

Hadith Me Aata Hai :

5.

عن زر قال قال علی والذی فلق الحبة و بر النسمة انه لعهد النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم الی ان لا یحبنی الا مؤمن ولا يبغضني المنافق

“Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bayan Karte Hain Ki Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ne Daana Cheera Aur Jis Ne Jaandaaro’n Ko Paida Kiya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Mujh Se Wa’dah Farmaya Tha Ki Mujh Se Sirf Momin Hee Mahabbat Karega Aur Sirf Munaafiq Mujh Se Bugz Rakkhega.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/60.]

 

Hazrat Ali Shere Khuda Ne Farmaya Ki Huzoor Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Irshade Giraami Hai Ki Ali! Mujhe Us Rabb Kee Qasam Hai Jis Ne Makhlooq Ko Paida Kiya Ki Siwaae Momin Ke Tujh Se Koi Mahabbat Nahin Kar Sakta Aur Siwaaye Munaafiq Ke Koi Tujh Se Bughz Nahin Rakh Sakta.

 

  1. Umm-il-Mu’minin Hazrat Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain Ki :

کان رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم یقول لا یحب علیھا ولا يبغضه مؤمن

Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Yeh Irshaad Farmaya Karte They Ki Koi Munaafiq Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Mahabbat Nahin Kar Sakta Aur Koi Momin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bughz Nahin Rakh Sakta.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/213.]

 

Hum Ne In Faraamine Rasool Ko Bhula Diya Hai, Hum Ne Khud Ko Shi’a Sunni Ke Khaano’n Me Taqseem Kar Rakkha Hai, Hum Apne Aangano’n Me Nafrat Kee Diwaarein Ta’meer Kar Rahe Hain Haala’n Ki Shi’a Sunni Jang Ka Koi Jawaaz Hee Nahin. Ilmi Ilhtilaaf Ko Ilmi Daa’ire Me Hee Rehna Chaahiye. Unhein Nafrat Kee Bunyaad Nahin Banaana Chaahiye, Masjidein Aur Imam Bargaahein Maqtoolo’n Me Tabdeel Ho Rahi Hain Maslak Ke Naam Par Qatl-o-Ghaaratgiri Ka Baazaar Garm Hai, Bhaai Bhaai Ka Khoon Baha Raha Hai Ab Nafrat Aur Kadoorat Kee Diwaaro’n Ko Gir Jaana Chaahiye, Har Taraf Ukhuwwat Aur Mahabbat Ke Charaagh Jalne Chaahiye, Haqiqate Imaan Ko Samajhna Har Musalmaan Par Farz Hai. Taajdaare Kaa’inaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Zawjah Muhtarma Umm-il-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Zubaani Rasoole Khuda SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Is Farman Se Badh Kar Badi Shahaadat Aur Kya Hoti. Chunaanche Haq-o-Baatil Ke Darmiyaan Yahi Kaifiyyat Sahaba-E-Kiram Ka Me’yaar Thi.

 

Yaha’n Is Amr Kee Wazaahat Zaroori Hai Ki Jinti Ahaadith Riwaayat Kee Gayi Hain Paaki Jaaengi Sab Sihah Sittah Aur Ahl-E-Sunnat Kee Digar Kutube Ahaadith Se Lee Gayi Hain Yeh Is Liye Taa Ki Ma’loom Ho Ki Shi’a Aur Sunni Bhaaiyo’n Ke Darmiyaan Ikhtilaafaat Kee Jo Khaleej Haa’il Kar Dee Gayi Hai Woh Saraasar Be Bunyaad Hai Fikri Mughaalto’n Aur Ghalat Fehmiyo’n Ke Siwa In Me Kuchh Bhi Nahin. Hadithe Paak Me Aata Hai :

 

7.

عن أبى سعيد الخدرى قال ان كنا لنعروف المنافقين نحن معشر الانصار يبغضهم على ابن أبى  طالب

“Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Woh Kehte Hain Ki Hum Log Ansaar Me Se Hain. Hum Munaafiqo’n Ko Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Bughz-o-Adaawat Kee Wajah Se Pehchaante Hain.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/635, Raqam-3717.]

 

Farmaya Ki Apne Daur Me Hamein Agar Kisi Munaafiq Kee Pehchaan Karni Hoti To Yeh Pehchan Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Bughz Se Kar Lete Jis Ke Dil Me Hazrat Ali Shere Khuda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Bughz Hota Sahabah Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Pehchaan Lete Ki Woh Munaafiq Hai Is Liye Ki Sahabah Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Bhi Jaante They Ki Wilaayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Silsila Ali Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Chalega. Is Mafhoom Kee Deegar Riwaayaat Mundarijae Zail Kutub Me Bhi Manqool Hain :

[1_Nasa’i Fi As-Sunan, 08/116, Kitab-ul-Iman, Babu Alamat-ul-Iman,

2_Nasa’i Fi As-Sunan, 08/117, Kitab-ul-Iman, Babu Alamat-ul-Munafiq,

3_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/42, Al-Muqaddimah, Fadlu Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, Hadith-131,

4_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/84, 95, 128,

5_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/251, Hadith-291,

6_Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/31, Hadith-58,

7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/89, Hadith-2177,

8_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/179, Hadith-1602,

9_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/132,

10_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/292,

Dhib’he ‘Azeem (Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/38 Ta 40.]