Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 08

٨۔                         عَنْ زِرٍّ قَالَ: قَالَ عَلِيٌّ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ: وَالَّذِي فَلَقَ الْحَبَّةَ وَبَرَأَ النَّسْمَةَ، إِنَّهُ لَعَهْدُ النَّبِيِّ الْأُمِّيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ إِلَيَّ أَنْ لَا يُحِبَّنِي إِلاَّ مُؤْمِنٌ وَلَا يُبْغِضَنِي إِلَّا مُنَافِقٌ. رَوَاهُ مُسْلِمٌ وَالنَّسَائِيُّ وَابْنُ حِبَّانَ.

08.             “Ḥaz̤rat Zirr (bin Ḥubaysh) raḍiya Allāhu ‘anhu se riwāyat hai ki Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ne farmāyā: qasam hai us ẕāt kī jis ne dāne ko phār̥ā (aur us se anāj aur nabātāt ugā’e) aur jis ne jāndāroṅ ko paidā kiyā! Ḥuz̤ūr Nabīye Ummī ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kā mujh se ʻehd hai ki mujh se ṣirf momin hī maḥabbat karegā aur ṣirf munāfiq hī mujh se buġhz̤ rakhkhegā.”

                Is ḥadīs̲ ko imām Muslim, Nasā’ī aur ibn Ḥibbān ne riwāyat kiyā hai.

[Aḳhrajah Muslim fī al-Ṣaḥīḥ, kitāb al-īmān, bāb al-dalīl ʻalá an ḥub al-anṣār wa-ʻAlī min al-īmān al-ʻalāmatih, 01/86, al-raqm: 78,

Ibn Ḥibbān fī al-Ṣaḥīḥ, 15/367, al-raqm: 6924,

al-Nasā’ī fi al-Sunan al-kubrá, 05/47, al-raqm: 8153,

Ibn Abī Shaybah fī al-Muṣannaf, 06/365, al-raqm: 32064,

Abū Yaʻlá fī al-Musnad, 01/250, al-raqm: 291,

al-Bazzār fī al-Musnad, 02/182, al-raqm: 560,

Ibn Abī ʻĀṣim fī al-Sunnah, 02/598, al-raqm: 1325,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/18_19, al-raqm: 08.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-12 : ﴾Ummate Muhammadiyah Ka Izz-o Sharaf﴿

Is Ummat Ke Kabhi Bhi Gumrahi Par Jam’a Na Hone Ka Bayan

Fasl-03 :

Is Ummat Ke Kabhi Bhi Gumrahi Par Jam’a Na Hone Ka Bayan

31/831.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Meri Ummat Ko Gumrahi Par Jam’a Nahin Karega (Ya Farmaya : Ummate Muhammadiya Ko Gumrahi Par Jam’a Nahin Karega) Aur Jam’a’at Par Allah Ta’ala (Kee Hifaazat) Ka Haath Hai Aur Jo Shakhs Jam’a’at Se Juda Ho Woh Aag Kee Taraf Juda Ho.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/466, Raqm-2167,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/201, Raqm-397,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/271,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-735, Raqm-831.]

32/832.    “Hazrat Haaris Ash’aree RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Mujhe Paanch-05 Baato’n Ka Hukm Diya Hai (Aur Woh Paanch-05 Baate’n Yeh Hain)

Jam’a’at Ke Saath Hone, Naseehat Sun’ne, Farma’nbardari Ikhtiyar Karne, Hijrat Karne Aur Allah Ta’ala Kee Raah Me Jihaad Karne Ka. Pas Jo Jam’a’at Se Ek Baalisht Barabar Bhi Alag Hua Pas Us Ne Islam Ka Qalaada (Ya’ni Patta) Apne Gale Se Utaar Diya Jab Tak Ki Woh (Jam’a’at Kee Taraf) Lout Nahin Aata.”

رواه الحاكم وابن خزيمة.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/204, 582, Raqm-404, 1534,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/195, Raqm-1895,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/157,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/286, 287, 289, Raqm-3427, 3430, 3431,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/140, Raqm-1571,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-735, 736, Raqm-832.]

33/833.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Jaabiya Ke Maqaam Par Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hame’n Khitaab Farmaya Ki Mein Tumhare Darmiyan Is Jagah Par Khada Hoo’n Jaha’n Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamare Darmiyan Qiyam Farmaya Phir Unhone Farmaya : Jam’a’at Ko Laazim Pakado Aur Alahidagi Se Bacho Kyon Ki  Shaitan Ek¹ Ke Saath Hota Hai Aur Do² Aadmiyo’n Se Door Rehta Hai. Jo Shakhs Jannat Ka Wast Chaahta Hai Us Ke Liye Jam’a’at Se Waabastagi Laazami Hai Jis Shakhs Ko Us Kee Neki Khush Kare Aur Buraa’i Pareshaan Kare Pas Wahi Momin Hai.”

رواه الترمزي واننساءي وأحمد.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/465, Raqm-2165,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/388, Raqm-9225,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/370, Raqm-23194,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/42, Raqm-88,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,13/316,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 06/320,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-736, Raqm-833.]

34/834.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Is Ummat Ko Kabhi Bhi Gumrahi Par Ikat’tha Nahin Farma’ega Aur Farmaya : Allah Ta’ala Ka Daste Qudrat Jam’a’at Par Hota Hai. Pas Sab Se Badi Jam’a’at Kee Ittiba’ Karo Aur Jo Is Jam’a’at Se Alag Hua Hai Woh Aag Me Daal Diya Gaya.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/199, 201, Raqm-391, 397,

Ibn Abi A’sim Kitab-us-Sunnah, 01/39, Raqm-80,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 01/106, Raqm-154,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/37,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/258, Raqm-8116,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 01/4222,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/271,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-737, Raqm-834.]

35/835.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Meri Ummat (Majmooi’i Taur Par) Kabhi Gumraahi Par Jam’a Nahin Hogi Pas Agar Tum In Me Ikhtilaaf Dekho To Tum Par Laazim Hai Ki Sab Se Badi Jam’a’at (Ka Saath) Ikhtiyaar Karo.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 04/367, Raqm-3950,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12, 447, Raqm-13623,

Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 04/169, Raqm-1395,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-737, Raqm-835.]

36/836.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaqeenan Bani Isara’il Ik’hattar-71 Firqon Me Taqseem Ho Ga’e They Aur Meri Ummat Yaqeenan Bahattar-72 Firqon Me Taqseem Ho Jaa’egi Woh Sab Ke Sab Dozakh Me Jaa’ege. Siwaaye Ek Ke Aur Woh Jam’a’at Hai.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1322, Raqm-3991, 3993,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/145, Raqm-12501,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/36, Raqm-3944,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,07/90, Raqm-2499,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/32, Raqm-64,

Maruzi As-Sunnah, 01/21, Raqm-53,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-737, 738, Raqm-836.]

37/837.    “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Do² (Shakhs) Ek Se Behtar Hain Aur Teen³ (Shakhs) Do² Se Behtar Hain, Aur Chaar⁴ (Shakhs) Teen³ Se Behtar Hain, Pas Tum Par Laazim Hai Ki Jam’a’at Ke Saath Raho, Yaqeenan Allah Ta’ala Meri Ummat Ko Kabhi Hidaayat Ke Siwa Kisee Shai Par Ikat’tha Nahin Karega.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/145, Raqm-21331,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/177,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 05/218,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 06/323,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-738, Raqm-837.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-15 : ﴾Aadaab Aur Mu’amalaat﴿

Aadaabe Guftagu Ka Bayan

Fasl-02 :

Aadaabe Guftagu Ka Bayan

17/951.    “Hazrat Aboo Hurayrah Aur Hazrat ‘Ali Bin Husayn (Ya’ni Zayn-ul-’Abidin) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kisi Shakhs Ke Islam Kee Khubsurati Yeh Hai Ki Woh Be Fa’idah Chizo’n Ko Tark Kar De.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/558, Raqm-2317, 2318,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1315, Raqm-3976,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/903, Raqm-1604,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/466, Raqm-229,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/201, Raqm-1737,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-820, Raqm-951.]

18/952.    “Hazrat ‘Abd Allah (Bin Mas’ood) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Koi Bhi Momin Bohat Ziyaada Ta’na Zani Karne Waala, Bohat Ziyaada La’nat Karne Waala, Bohat Ziyaada Bad-Akhlaq Aur Fahashgo’i Karne Waala Nahin Hota.”

رواه الترمذي وابن حبان والحاكم.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/350, Raqm-1977,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/116, Raqm- 312, 332,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/421, Raqm-192,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/57, Raqm-29:

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

Bazzar Fi Al-Musnad, 04/330, Raqm-1523,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/193,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-820, 821, Raqm-952.]

19/953.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin La’nat Karne Waala Nahin Hota, Ek Riwayat Me Hai Ki Momin Kee Yeh Shaan Nahin Ki Woh Bohat Ziyaada La’nat Karne Waala Ho.”

رواه الترمذي والبخاري في الآداب والحاكم.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/371, Raqm-2019,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/116, Raqm-309,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/110, Raqm-145,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/293, Raqm-5151,

Ibn Abi ‘Asim As-Sunna, 02/488,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-821, Raqm-953.]

20/954.    “Hazrat Miqdad Bin Aswad RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Khushaamad Karne Waalo’n Ko Dekhon To Un Ke Moo’nh Me Mitti Daal Do.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2297, Raqm-3002,

Tirmidhi Fi As-Sunan,04/518, Raqm-2393,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/254, Raqm-4804,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/94, Raqm-5684,

Bazzar Fi Al-Musnad, 06/37, Raqm-2106,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/297, Raqm-26260,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-821, Raqm-954.]

21/955.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Kalaam Farmate To Apni Baat Ko Teen3 Martaba Dohraate They Taa Ki Log Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baat (Achchhi Tarah) Samajh Sake Aur Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kisi Jam’a’at Ke Paas Tashrif Le Jaate Aur Unhe’n Salam Kehte To Teen³ Martaba Salam Kehte (Yeh Salam Ghr Me Daakhil Hone Kee Ijaazat Lene Ke Liye Hota, Waise Kisi Shakhs Ko Salam Kehna Ho To Ek Martaba Hee Kaafi Hai).”

رواه البخاري والترمذي.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/48, Raqm-(95)

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2305, Raqm-5890,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/72, Raqm-2723, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/213, Raqm-13244,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/303, Raqm-7716,

وقال : هذا حديث حسن صحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-822, Raqm-955.]

22/956.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kisi (Achchhe) Dost Ko Bohat La’n Ta’n Karne Waala Nahin Hona Chaahiye.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2005, Raqm-2597,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/325, Raqm-2019,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/193,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/293, Raqm-5151,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/136, Raqm-7735,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/312, Raqm-4211,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-822, 823, Raqm-956.]

23/957.    “Hazrta Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Bohat Ziyaada La’n Ta’n Karne Waale Log Qiyamat Ke Din Na Gawaahi Dene Waale Honge Aur Na Shafa’at Karne Waale Honge.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2006, Raqm-2598,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/448, Raqm-27569,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/117, Raqm-316,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/56, Raqm-5746,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/193,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-823, Raqm-957.]

24/958.    “Hazrat Ummi Kulsoom Binte Ookba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Shakhs Jhoota Nahin Jo (Jhoot Bol Kar) Logo’n Ke Darmiyan Sulh Karwaata Hai Pas (Us Sulh Ke Liye Woh Fariqain Ko Ek-Doosre Ke Baare Me) Bhalaa’i Kee Baat Kehta Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/958, Raqm-2546,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2011, Raqm-2605,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/40, Raqm-5733,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/403, Raqm-27313,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 25/76, Raqm-188,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-823, Raqm-958.]

25/959.    “Hazrat Sahal Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Mujhe Apne Dono’n Jabadon Ke Darmiyan (Ya’ni Zabaan) Aur Dono’n Taangon Ke Darmiyan (Ya’ni Apni Sharm Gaah Kee Hifaazat) Kee Zamaanat De To Use Jannat Kee Zamaanat Deta Hoo’n.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2376, Raqm-6109,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/606, Raqm-2408,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/987, Raqm-1787,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/333, Raqm-22873,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-824, Raqm-959.]

26/960.    “Hazrat ‘Abd Allah (Bin Mas’ood) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Musalman Ko Gaali Dena Gunaahe (Kabira) Aur Use Qatl Karna Kufr Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/27, Raqm-48,

Bukhari Fi As-Sahih,  05/2247, Raqm-5797,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2592, Raqm-6665,

Muslim Fi As-Sahih, 01/81, Raqm-64,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/353, Raqm-1983,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/121, Raqm-4105,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/27, Raqm-69,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-824, Raqm-960.]

27/961.    “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Jis Ne Kisi Shakhs Ko Kaafir Ya Dushmane Khuda Keh Kar Pukaara Hala’n Ki Woh Aisa Nahin Hai To Yeh Kufr Us (Kehne Waale) Kee Taraf Laut Aa’ega.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/79, Raqm-61,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/166, Raqm-21503,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/155, Raqm-433,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/51, Raqm-3040,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-825, Raqm-961.]

28/962.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne (Buri Baat Se) Khaamoshi Ikhtiyaar Kee Woh Nijaat Paa Gaya.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/660, Raqm-2501,

Darami Fi As-Sunan, 02/387, Raqm-2712,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/159, Raqm-6481, 6654,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/264, Raqm-1933,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/254, Raqm-4983,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-825, Raqm-962.]

29/963.    “Hazarat Ooqba Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Arz Kiya :  Ya RasoolAllah ﷺ! Nijaat Kya Hai? (Ya’ni Kisi Milte Hai?) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apni Zabaan Ko (Buri Baaton Se) Roke Rakho Aur Chaahiye Ki Tumhaara Ghar Tum Par Kushaada Ho (Ya’ni Apne Gharo’n Ko Allah Ta’ala Kee Ibadat Me Mashghool Hone Aur Ghayrullah Se Khilwat Ikhtiyaar Karne Ke Liye Laazim Pakado) Aur Apne Gunaaho’n Par (Naadim Ho Kar) Roya Karo.”

رواه الترمذي وأحمد والطبراني.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/605, Raqm-2406,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/259, Raqm-22289,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/270, Raqm-741,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-825, 826, Raqm-963.]

30/964.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Jaante Ho Ki Ghibat Kya Hai? Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya : Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool ﷺ Hee Behtar Jaante Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Ghibat Yeh Hai Ki) Tum Apne (Musalman) Bhai Ka Is Tarah Zikr Karo Ki Jise Woh Napasand Karta Hai. Arz Kiya Gaya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Agar Woh Baat Mere Us Bhai Me Paa’i Jaati Ho Jo Mein Keh Raha Hoo’n (To Kya Phir Bhi Ghibat Hai?) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Woh Baat Us Me Hai Jo Tum Keh Rahe Ho To Yahi To Ghibat Hai Aur Agar (Woh Baat) Us Me Nahin Tab Tum Ne Us Par Bohtaan Lagaaya.”

رواه مسلم والترمذي.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2001, Raqm-2589,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/329, Raqm-1934,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/269, Raqm-4874,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/467, Raqm-11518,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/230, Raqm-7146, 9873,

Darami Fi As-Sunan, 02/387, Raqm-2714,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-826, Raqm-964.]

31/965.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Daryaaft Kiya Gaya : (Ya RasolAllah ﷺ!) Koun Se Aamaal Hain Jo Logo’n Ko Bakasrat Jannat Me Le Jaa’enge? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ka Khauf (Ya’ni Taqwa) Aur Achchhe Akhlaaq. (Phir) Un Chizon Ke Baare Me Poochha Gaya Jo Ziyaada Logo’n Ko jahannum Me Le Jaane Ka Ba’is Hain? To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Moo’nh Ya’ni Zabaan) Aur Sharmgaah (Ya’ni Un Dono’n Ka Galat Istemaal Karna).”

رواه الترمذي  وابن ماجه.

وقال أبوعيسى : هذا حديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/363, Raqm-2004,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1418, Raqm-4246,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/291, Raqm-7894,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/224, Raqm-476,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/360,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/110, Raqm-294,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-827, Raqm-965.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-16 : ﴾Uhaadiyyaat, Sunaaiyyaat Aur Thulaasiyyaat﴿

Imam Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Do² Waasto’n Kee Riwayat Ka Bayan

Fasl-02 :

Imam Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Do² Waasto’n Kee Riwayat Ka Bayan

17/1057.            “Hazrat Jabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aayate Mubaraka Tilawat Farmaa’i : “Aur Us Ne Achchha’i Kee Tasdiq Kee.” Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Is Se Muraad) ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Kee Tasdiq Karna Hai.  “Aur Us Ne Achchha’i Ko Jhutlaaya.”  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Is Se Muraad) ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Ko Jhutlaana Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/95,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-883, Raqm-1057.]

18/1058.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Jis Se Ilm Ke Baare Me Sawaal Kiya Gaya Aur Us Ne (Jaante Hu’e Bhi Use) Chhupaaya To Qiyaamat Ke Din Use Aag Kee Lagaam Dee Jaa’egi.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/96,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/29, Raqm-2649,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/321, Raqm-3658,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/97, Raqm-264,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-883, Raqm-1058.]

19/1059.            “Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Neki Jise Tum Khwaah Ameer Ke Saath Karo Ya Gharib Ke Saath Woh Sadqa Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1420, Raqm-4252,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/376,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/377, Raqm-612,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, Raqm-1059.]

20/1060.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Riwayat Karte Hu’e Farmaya : Neki Ka Hukm Dena Aur Buraa’i Se Mana Karna Farz Hai. (Raawi Kehte Hain Ki) Mein Ne Poochha : Kya Us Ko Tark Karna Kufr Hai? Unhone Farmaya : Nahin.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/96,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Muslim Fi As-Sahih, 01/498, Raqm-720,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/339, Raqm-1956,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/26, Raqm-1285,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, Raqm-1060.]

21/1061.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Be Shak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Gunaah Par) Naadim (Sharminda) Hona Hee Tawbah Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1420, Raqm-4252,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/376,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/377, Raqm-612,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, 885, Raqm-1061.]

22/1062.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Neki Kabhi Pooraani Nahin Hoti (Ki Us Ka Ajr Mil Kar Rehta Hai) Aur Gunaah Kabhi Bhulaaya Nahin Jaata (Us Kee Giraft Hoti Hai).”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/99,

 وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/277, Raqm-710,

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/178,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/33, Raqm-2203,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-885, Raqm-1062.]

23/1063,  24/1064.            “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Mujh Par Jaanboojh Kar Jhoot Baandha Woh Apna Thikaana Dozakh Me Bana Le.”

Ek Dusari Riwayat Me Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Isi Tarah Marwi Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/99, 103,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 01/434, Raqm-1229,

Muslim Fi As-Sahih, 01/10, Raqm-03,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/35, Raqm-2659,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-885, 886, Raqm-1063, 1064.]

25/1065.            “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Hamesha Humsaaye (Ke Huqooq) Ke Baare Me Mujhe Wasiyat Karte Rahe Yaha’n Tak Ki Mein Ne Ghumaan Kiya Ki Woh Anqareeb Use Waaris Bana Denge,  Aur Jibra’il Mujhe Raat Kee Ibaadat Kee Wasiyat Karte Rahe Hatta Kee Mein Ne Gumaan Kiya Ki Mere (Nek-o Saaleh) Behtareen Ummati Raat Ko Kam Hee Soyege.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/100,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2239, Raqm-5668,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2025, Raqm-2625,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/332, Raqm-1942,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-886, Raqm-1065.]

26/1066.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Logo’n Ka Shukriya Ada Nahin Karta Woh Allah Ta’ala Ka Bhi Shukr Ada Nahin Karta.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/109,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/339, Raqm-1954,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/255, Raqm-4811,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/198, Raqm-3407,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-886, 887, Raqm-1066.]

27/1067.            “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Padha : (اَسْتَغْفِرُ اللهَ الْعظِيْمَ الَّذِي ﻻَ إِلَهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ) “Mein, Allah Buland-o Bartar Se Maghfirat Talab Karta Hoo’n  Woh Zaat Jis Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Woh Hamesha Zinda Rehne Wala, Sab Ko Apni Tadbir Se Qayam Rakhne Waala Hai?” Agar Us Ne Ikhlaas (Se Yeh Padha To) Allah Ta’ala Us Ke Saabiqa (Pichhle) Gunaah Bakhsh Dega.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/111,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-887, Raqm-1067.]

28/1068.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abi Owfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Ho Kar Arz Kiya : Mein Qur’an Sikhne Kee Istita’at Nahin Rakhta Lehaaza Aap Mujhe Woh (Kalimaat) Sikhaaye Jo Mere Liye Us Ke Qaa’em Muqam Ho Jaa’e. Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Farmaya :  To Kaha Kar :  (شُبْحَانَ اللهِ وَٱلْحَمْدُ لِلَّهِ وَﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَاَللهُ أَكْبَرُ وَﻻَ حَوْلَ وَﻻَ قُوَّةَ إِﻻَّ بِاللهِ عَلِيِّ الْعَظِيْمِ) “Allah Paak Hai, Allah Ke Liye Tamaam Taareefein Hain Aur Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Aur Allah Sab se Bada Hai Aur Qudrat-o Taaqat Sirf Allah Azeem-o Bartar Kee Mashiyyat Se Hee Hai.”  Us Ne Arz Kiya : Yeh (Kalimate Hamd  To) Mere Rabb Ke Liye Hogi To Mere Liye Kya Hai?  Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  To Kaha Kar : (اللهُمَّ ارْحَمْنِي واغْفِرْلِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي وَعَافِنِي) “Aye Allah!  Too Mujh Par Raham Farma Aur Mujhe Bakhsh De Aur Mujhe Hidayat Ata Kar, Mujhe Rizq Se Nawaaz Aur Aafiyat Ata Farma.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/117,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/314, Raqm-02,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/381,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/100, Raqm-29797,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-887, 888, Raqm-1068.]

29/1069.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Allah Ta’ala Ke Farman Ke Baare Me Riwayat Karte Hain : “Yaqinan Aap Ka Rabb Aap Ko Maqaame Mahmood Par Faa’iz Farma’ega (Ya’ni Woh Maqaame Shafa’ate Oozama  Jaha’n Jumla Awwalin Wa Aakhirin Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Rujooa Aur Aap Kee Hamd Karenge).” Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Maqaame Mahmood Se Muraad Shafa’at Hai, Allah Ta’ala Ahle Iman Me Se Ek Qum Ko Un Ke Gunaaho’n Ke Sabab Azaab Dega, Phir Unhein Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shafa’at Ke Waaste Se (Jahannam Se) Nikaalega To Unhein Nahre Hatyaat Par Laaya Jaa’ega. Pas Woh Us Me Gusl Kar Ke Jannat Me Daakhil Honge To (Waha’n) Unhein Jahannami Ke Naam Se Pukaara Jaa’ega, Phir Woh Allah Ta’ala Se (Us Naam Ke Khaatme Kee) Guzarish Karenge To Woh Un Se Us Naam Ko Bhi Khatam Kar Dega.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/147, 148,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2401, Raqm-6198,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/236, Raqm-4740,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/434,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-888, 889, Raqm-1069.]

30/1070.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Paida Hone Wala Bachcha (Asl) Fitarat Par Paida Hota Hai Phir Us Ke Waaledain Use Yahoodi, Isaa’i Aur Majoosi Bana Dete Hain. Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Jo Bachpan Me Hee Fout Ho Jaa’e (Us Ka Maamla Kya Hoga)? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Sab Se Ziyaada Jaan’ne Waala Hai Jo Woh (Dunya Me Rah Kar) Karne Waale They.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/188,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 01/465, Raqm-1319,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2047, Raqm-2658,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/447, Raqm-2138,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-889, Raqm-1070.]

31/1071.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Kee Firaasat Se Daro Kyo’n Ki Woh Allah Ta’ala Ke Noor Se Dekhta Hai Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aayate Mubaraka Tilawat Kee : “Be Shak Us Me Ahle Firasat Ke Liye Nishaniya’n Hain.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/19,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/298, Raqm-3127,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/23, Raqm-7843,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/387, Raqm-663,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-889, 890, Raqm-1071.]

32/1072.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Be Shak Allah Ta’ala Ne Chhar⁴ Cheezo’n Me Shifa’ Rakhi Hai : Siyaah Daana (Ya’ni Kalonji), Pachhane Lagawaana (Ya’ni Surgery), Shahad Aur Barish Ka Paani.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/189,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-890, Raqm-1072.]

33/1073.            “Hazrat Aboo Moosa Amir Bin ‘Abd Allah  Bin Qays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Rahmat Se Nawaazi Jaane Waali Ummat Hai, Us Ka Azaabe Dunya Apne Haatho’n Se Hoga.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/195,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/294, Raqm-974,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/190, Raqm-537,

Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 01/38, Raqm-60,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-890, 891, Raqm-1073.]

34/1074.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kafir Saat-07 Aanton Me (Khaana) Bharta Hai Aur Momin Ek Aant Me.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/195,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2061, Raqm-5078, 5079,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/266, Raqm-1818,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1631, Raqm-2060,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-891, Raqm-1074.]

35/1075.            “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khaadim-o Ghulam Kee Daawat Bhi Qabool Farmate They, Mareez Kee Iyaadat Kiya Karte Aur Daraaz Gosh (Ya’ni Gadhe) Kee Sawaari Kiya Karte They.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/77,

 وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/337, Raqm-1017,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1398, Raqm-4178,

Aboo Ya’la Anl-Musnad, 07/238, Raqm-4243,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-891, Raqm-1075.]

36/1076.            “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Riwayat Karte Hu’e Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Raat Ko Tashreef Laate To (Fiza Me) Khusboo’n Ke Phailne Se Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Pahchaan Hoti.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/304, Raqm-2632,

Darami Fi As-Sunan, 01/45, Raqm-65,

Ibn Sa’d Fi At-Tabqat-ul-Kubra, 01/399,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, Raqm-1076.]

37/1077.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Safed Shaami Topi Thi.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/198,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, Raqm-1077.]

38/1078.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kiya Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sachcha (Imandaar)  Taajir Qiyaamat Ke Din Ambiya-e Kiram, Siddiqin, Suhada’ Aur Saalehin Ke Saath (Un Kee Rafaaqat-o Sohbat Me) Hoga.”

 أخرجه في مسنده.

وقال ابو عيسى : هذا حديث حسن.

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 02/02,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/515, Raqm-1209,

Darami Fi As-Sunan, 02/322, Raqm-2539,

Daraqutni Fi As-Sunan, 03/07, Raqm-17, 18,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 04/555, Raqm-23088, 23089,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/07, Raqm-2142,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/299, Raqm-966,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/266, Raqm-10196,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/86, Raqm-1230,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/221, Raqm-4855,

Tabarani An Ibn Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/243, Raqm-7394,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, 893, Raqm-1078.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Munafiq Kee Nishaani

Hadith Me Aata Hai :

5.

عن زر قال قال علی والذی فلق الحبة و بر النسمة انه لعهد النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم الی ان لا یحبنی الا مؤمن ولا يبغضني المنافق

“Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bayan Karte Hain Ki Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ne Daana Cheera Aur Jis Ne Jaandaaro’n Ko Paida Kiya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Mujh Se Wa’dah Farmaya Tha Ki Mujh Se Sirf Momin Hee Mahabbat Karega Aur Sirf Munaafiq Mujh Se Bugz Rakkhega.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/60.]

 

Hazrat Ali Shere Khuda Ne Farmaya Ki Huzoor Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Irshade Giraami Hai Ki Ali! Mujhe Us Rabb Kee Qasam Hai Jis Ne Makhlooq Ko Paida Kiya Ki Siwaae Momin Ke Tujh Se Koi Mahabbat Nahin Kar Sakta Aur Siwaaye Munaafiq Ke Koi Tujh Se Bughz Nahin Rakh Sakta.

 

  1. Umm-il-Mu’minin Hazrat Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain Ki :

کان رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم یقول لا یحب علیھا ولا يبغضه مؤمن

Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Yeh Irshaad Farmaya Karte They Ki Koi Munaafiq Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Mahabbat Nahin Kar Sakta Aur Koi Momin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bughz Nahin Rakh Sakta.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/213.]

 

Hum Ne In Faraamine Rasool Ko Bhula Diya Hai, Hum Ne Khud Ko Shi’a Sunni Ke Khaano’n Me Taqseem Kar Rakkha Hai, Hum Apne Aangano’n Me Nafrat Kee Diwaarein Ta’meer Kar Rahe Hain Haala’n Ki Shi’a Sunni Jang Ka Koi Jawaaz Hee Nahin. Ilmi Ilhtilaaf Ko Ilmi Daa’ire Me Hee Rehna Chaahiye. Unhein Nafrat Kee Bunyaad Nahin Banaana Chaahiye, Masjidein Aur Imam Bargaahein Maqtoolo’n Me Tabdeel Ho Rahi Hain Maslak Ke Naam Par Qatl-o-Ghaaratgiri Ka Baazaar Garm Hai, Bhaai Bhaai Ka Khoon Baha Raha Hai Ab Nafrat Aur Kadoorat Kee Diwaaro’n Ko Gir Jaana Chaahiye, Har Taraf Ukhuwwat Aur Mahabbat Ke Charaagh Jalne Chaahiye, Haqiqate Imaan Ko Samajhna Har Musalmaan Par Farz Hai. Taajdaare Kaa’inaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Zawjah Muhtarma Umm-il-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Zubaani Rasoole Khuda SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Is Farman Se Badh Kar Badi Shahaadat Aur Kya Hoti. Chunaanche Haq-o-Baatil Ke Darmiyaan Yahi Kaifiyyat Sahaba-E-Kiram Ka Me’yaar Thi.

 

Yaha’n Is Amr Kee Wazaahat Zaroori Hai Ki Jinti Ahaadith Riwaayat Kee Gayi Hain Paaki Jaaengi Sab Sihah Sittah Aur Ahl-E-Sunnat Kee Digar Kutube Ahaadith Se Lee Gayi Hain Yeh Is Liye Taa Ki Ma’loom Ho Ki Shi’a Aur Sunni Bhaaiyo’n Ke Darmiyaan Ikhtilaafaat Kee Jo Khaleej Haa’il Kar Dee Gayi Hai Woh Saraasar Be Bunyaad Hai Fikri Mughaalto’n Aur Ghalat Fehmiyo’n Ke Siwa In Me Kuchh Bhi Nahin. Hadithe Paak Me Aata Hai :

 

7.

عن أبى سعيد الخدرى قال ان كنا لنعروف المنافقين نحن معشر الانصار يبغضهم على ابن أبى  طالب

“Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Woh Kehte Hain Ki Hum Log Ansaar Me Se Hain. Hum Munaafiqo’n Ko Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Bughz-o-Adaawat Kee Wajah Se Pehchaante Hain.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/635, Raqam-3717.]

 

Farmaya Ki Apne Daur Me Hamein Agar Kisi Munaafiq Kee Pehchaan Karni Hoti To Yeh Pehchan Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Bughz Se Kar Lete Jis Ke Dil Me Hazrat Ali Shere Khuda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Bughz Hota Sahabah Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Pehchaan Lete Ki Woh Munaafiq Hai Is Liye Ki Sahabah Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Bhi Jaante They Ki Wilaayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Silsila Ali Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Chalega. Is Mafhoom Kee Deegar Riwaayaat Mundarijae Zail Kutub Me Bhi Manqool Hain :

[1_Nasa’i Fi As-Sunan, 08/116, Kitab-ul-Iman, Babu Alamat-ul-Iman,

2_Nasa’i Fi As-Sunan, 08/117, Kitab-ul-Iman, Babu Alamat-ul-Munafiq,

3_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/42, Al-Muqaddimah, Fadlu Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, Hadith-131,

4_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/84, 95, 128,

5_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/251, Hadith-291,

6_Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/31, Hadith-58,

7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/89, Hadith-2177,

8_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/179, Hadith-1602,

9_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/132,

10_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/292,

Dhib’he ‘Azeem (Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/38 Ta 40.]