Fasl-02 :
Aadaabe Guftagu Ka Bayan
17/951. “Hazrat Aboo Hurayrah Aur Hazrat ‘Ali Bin Husayn (Ya’ni Zayn-ul-’Abidin) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kisi Shakhs Ke Islam Kee Khubsurati Yeh Hai Ki Woh Be Fa’idah Chizo’n Ko Tark Kar De.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/558, Raqm-2317, 2318,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1315, Raqm-3976,
Malik Fi Al-Muwatta’, 02/903, Raqm-1604,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/466, Raqm-229,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/201, Raqm-1737,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-820, Raqm-951.]
18/952. “Hazrat ‘Abd Allah (Bin Mas’ood) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Koi Bhi Momin Bohat Ziyaada Ta’na Zani Karne Waala, Bohat Ziyaada La’nat Karne Waala, Bohat Ziyaada Bad-Akhlaq Aur Fahashgo’i Karne Waala Nahin Hota.”
رواه الترمذي وابن حبان والحاكم.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/350, Raqm-1977,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/116, Raqm- 312, 332,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/421, Raqm-192,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/57, Raqm-29:
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
Bazzar Fi Al-Musnad, 04/330, Raqm-1523,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/193,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-820, 821, Raqm-952.]
19/953. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin La’nat Karne Waala Nahin Hota, Ek Riwayat Me Hai Ki Momin Kee Yeh Shaan Nahin Ki Woh Bohat Ziyaada La’nat Karne Waala Ho.”
رواه الترمذي والبخاري في الآداب والحاكم.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/371, Raqm-2019,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/116, Raqm-309,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/110, Raqm-145,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/293, Raqm-5151,
Ibn Abi ‘Asim As-Sunna, 02/488,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-821, Raqm-953.]
20/954. “Hazrat Miqdad Bin Aswad RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Khushaamad Karne Waalo’n Ko Dekhon To Un Ke Moo’nh Me Mitti Daal Do.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2297, Raqm-3002,
Tirmidhi Fi As-Sunan,04/518, Raqm-2393,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/254, Raqm-4804,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/94, Raqm-5684,
Bazzar Fi Al-Musnad, 06/37, Raqm-2106,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/297, Raqm-26260,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-821, Raqm-954.]
21/955. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Kalaam Farmate To Apni Baat Ko Teen3 Martaba Dohraate They Taa Ki Log Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baat (Achchhi Tarah) Samajh Sake Aur Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kisi Jam’a’at Ke Paas Tashrif Le Jaate Aur Unhe’n Salam Kehte To Teen³ Martaba Salam Kehte (Yeh Salam Ghr Me Daakhil Hone Kee Ijaazat Lene Ke Liye Hota, Waise Kisi Shakhs Ko Salam Kehna Ho To Ek Martaba Hee Kaafi Hai).”
رواه البخاري والترمذي.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/48, Raqm-(95)
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2305, Raqm-5890,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/72, Raqm-2723, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/213, Raqm-13244,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/303, Raqm-7716,
وقال : هذا حديث حسن صحيح.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-822, Raqm-955.]
22/956. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kisi (Achchhe) Dost Ko Bohat La’n Ta’n Karne Waala Nahin Hona Chaahiye.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2005, Raqm-2597,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/325, Raqm-2019,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/193,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/293, Raqm-5151,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/136, Raqm-7735,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/312, Raqm-4211,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-822, 823, Raqm-956.]
23/957. “Hazrta Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Bohat Ziyaada La’n Ta’n Karne Waale Log Qiyamat Ke Din Na Gawaahi Dene Waale Honge Aur Na Shafa’at Karne Waale Honge.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2006, Raqm-2598,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/448, Raqm-27569,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/117, Raqm-316,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/56, Raqm-5746,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/193,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-823, Raqm-957.]
24/958. “Hazrat Ummi Kulsoom Binte Ookba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Shakhs Jhoota Nahin Jo (Jhoot Bol Kar) Logo’n Ke Darmiyan Sulh Karwaata Hai Pas (Us Sulh Ke Liye Woh Fariqain Ko Ek-Doosre Ke Baare Me) Bhalaa’i Kee Baat Kehta Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/958, Raqm-2546,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2011, Raqm-2605,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/40, Raqm-5733,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/403, Raqm-27313,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 25/76, Raqm-188,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-823, Raqm-958.]
25/959. “Hazrat Sahal Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Mujhe Apne Dono’n Jabadon Ke Darmiyan (Ya’ni Zabaan) Aur Dono’n Taangon Ke Darmiyan (Ya’ni Apni Sharm Gaah Kee Hifaazat) Kee Zamaanat De To Use Jannat Kee Zamaanat Deta Hoo’n.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2376, Raqm-6109,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/606, Raqm-2408,
Malik Fi Al-Muwatta’, 02/987, Raqm-1787,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/333, Raqm-22873,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-824, Raqm-959.]
26/960. “Hazrat ‘Abd Allah (Bin Mas’ood) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Musalman Ko Gaali Dena Gunaahe (Kabira) Aur Use Qatl Karna Kufr Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/27, Raqm-48,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2247, Raqm-5797,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2592, Raqm-6665,
Muslim Fi As-Sahih, 01/81, Raqm-64,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/353, Raqm-1983,
Nasa’i Fi As-Sunan, 07/121, Raqm-4105,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/27, Raqm-69,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-824, Raqm-960.]
27/961. “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Jis Ne Kisi Shakhs Ko Kaafir Ya Dushmane Khuda Keh Kar Pukaara Hala’n Ki Woh Aisa Nahin Hai To Yeh Kufr Us (Kehne Waale) Kee Taraf Laut Aa’ega.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/79, Raqm-61,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/166, Raqm-21503,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/155, Raqm-433,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/51, Raqm-3040,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-825, Raqm-961.]
28/962. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne (Buri Baat Se) Khaamoshi Ikhtiyaar Kee Woh Nijaat Paa Gaya.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/660, Raqm-2501,
Darami Fi As-Sunan, 02/387, Raqm-2712,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/159, Raqm-6481, 6654,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/264, Raqm-1933,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/254, Raqm-4983,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-825, Raqm-962.]
29/963. “Hazarat Ooqba Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Nijaat Kya Hai? (Ya’ni Kisi Milte Hai?) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apni Zabaan Ko (Buri Baaton Se) Roke Rakho Aur Chaahiye Ki Tumhaara Ghar Tum Par Kushaada Ho (Ya’ni Apne Gharo’n Ko Allah Ta’ala Kee Ibadat Me Mashghool Hone Aur Ghayrullah Se Khilwat Ikhtiyaar Karne Ke Liye Laazim Pakado) Aur Apne Gunaaho’n Par (Naadim Ho Kar) Roya Karo.”
رواه الترمذي وأحمد والطبراني.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/605, Raqm-2406,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/259, Raqm-22289,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/270, Raqm-741,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-825, 826, Raqm-963.]
30/964. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Jaante Ho Ki Ghibat Kya Hai? Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya : Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool ﷺ Hee Behtar Jaante Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Ghibat Yeh Hai Ki) Tum Apne (Musalman) Bhai Ka Is Tarah Zikr Karo Ki Jise Woh Napasand Karta Hai. Arz Kiya Gaya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Agar Woh Baat Mere Us Bhai Me Paa’i Jaati Ho Jo Mein Keh Raha Hoo’n (To Kya Phir Bhi Ghibat Hai?) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Woh Baat Us Me Hai Jo Tum Keh Rahe Ho To Yahi To Ghibat Hai Aur Agar (Woh Baat) Us Me Nahin Tab Tum Ne Us Par Bohtaan Lagaaya.”
رواه مسلم والترمذي.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2001, Raqm-2589,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/329, Raqm-1934,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/269, Raqm-4874,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/467, Raqm-11518,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/230, Raqm-7146, 9873,
Darami Fi As-Sunan, 02/387, Raqm-2714,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-826, Raqm-964.]
31/965. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Daryaaft Kiya Gaya : (Ya RasolAllah ﷺ!) Koun Se Aamaal Hain Jo Logo’n Ko Bakasrat Jannat Me Le Jaa’enge? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ka Khauf (Ya’ni Taqwa) Aur Achchhe Akhlaaq. (Phir) Un Chizon Ke Baare Me Poochha Gaya Jo Ziyaada Logo’n Ko jahannum Me Le Jaane Ka Ba’is Hain? To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Moo’nh Ya’ni Zabaan) Aur Sharmgaah (Ya’ni Un Dono’n Ka Galat Istemaal Karna).”
رواه الترمذي وابن ماجه.
وقال أبوعيسى : هذا حديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/363, Raqm-2004,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1418, Raqm-4246,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/291, Raqm-7894,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/224, Raqm-476,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/360,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/110, Raqm-294,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-827, Raqm-965.]