2.
عن سعد بن ابی وقاص قال خلف رسول الله علی بن ابی طالب فی غزوه تبوک فقال یا رسول الله تخلفنی فی النساء والصبیان فقال اما ترضی ان تکون منی بمنزلة هارون من موسى غیر انه لا نبی بعدی
“Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Ghazwa-E-Tabook Me Apna Khalifa Banaaya To Unhone Arz Kiya : Aye Allah Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aap Ne Mujhe Aurto’n Aur Baccho’n Me Khalifa Banaaya Hai. Is Par Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Aap Is Cheez Par Raazi Nahin Ki Aap Mere Liye Is Tarah Ban Jaaein Jis Tarah Ki Haroon ‘Alayh-is-Salam Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Qaa’im Maqaam They Magar Yeh Ki Mere Baa’d Koi Nabi Na Hoga.”
–
[1_Muslim Fi As-Sahih, 04/1870, 1871, Kitab Al-Fada’il Al-Sahabah, Bab : 04 Man Fada’ili Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, Hadith-1870,
2_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1358, Kitab Al-Manaqib, Bab : 09 Fadl-us-Sahabah, Hadith-3503,
3_Bukhari Fi As-Sahih, 04/1602, Kita Al-Maghazi, Bab : 74 Ghazwatu Tabook. Hadith-1454,
4_Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/640, 641, Kitab Al-Manaqib, Bab : 30 Manaqibi Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,Hadith-3724, 3730, 3731,
5_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/142, Al-Muqaddiamh, Bab Fadlu Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, Hadith-115,
6_Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109,
7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/146, Hadith-328,
8_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/148, Hadith-333, 334,
9_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/247, Hadith-2036,
10_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/203, Hadith-5094, 5095,
11_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/61, Hadith-11087,
12_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/32,
13_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/438,
14_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/338,
15_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/286, Hadith-345,
16_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/57, Hadith-698,
17_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/66, Hadith-709,
18_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/73, Hadith-718,
19_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/86, Hadith-738, 739,
20_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/99, Hadith-755,
21_Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 11/226, Hadith-2039, Babu Ash’hab-in-Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam,
22_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/109,
23_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/42, 43, Al-Muqaddimah, Bab 11 Fadlu Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, Hadith-115,
Imam Tirmidhi Ne Is Hadithe Pak Ko Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Aur Sanad Ko Thiqah Kaha Hai.
1_Imam Aboo Ya’la Ne Aur Imam Tabarani Ne Jo Hadith Umme Salamah Se Riwayat Kee Hai Us Kee Isnaad Thiah Hai.
2_Imam Bazzar Aur Imam Tabarani Ne Jo Hadith Ibn Abbas Se Riwayat Kee Hai Us Kee Isnaad Bhi Thiqah Hai.
3_Imam Tabarani Ne Hazrat Zubayr Se Jo Riwayat Kee Hai Us Ke Insnaad Bhi Thiqah Hai.
3.
عن زید بن ارقم قال کانت فلنفر من اصحاب رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم ابواب شارعة فى المسجد فقال يوما سدوا هذه الابواب الاباب على قال فتكلم فى ذالك ناس فقام رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم فحمد الله و اثنى عليه تم قال اما بعد فانى امرت بسد هذه الابواب غیر باب علی فقال فیه قائلکم والله ماسددت شيئا ولا فتحته ولكن امرت شى فاتبعته
“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki As’habe Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Me Se Baa’z Ke Gharo’n Ke Darwaaze Masjide Nabawi (Ke Sahn) Kee Taraf Khulte They Aik Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya In Tamam Darwaazo’n Ko Band Kar Do Siwaaye Ali Ke, Raawi Kehte Hain Ki Baa’z Logo’n Ne Chi-Migo’iya’n Kee Is Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Khutba Irshaad Farmaya : Hamd-o-Thana Ke Baa’d Farmaya Mujhe Baabe Ali Ke Siwa Un Tamam Darwaazo’n Ko Band Karne Ka Hukm Diya Gaya Hai Pas Tum Me Se Kisi Ne Is Baat Par I’riraaz Kiya Hai Khuda Kee Qasam Na Mein Kisi Cheez Ko Kholta Aur Na Band Karta Hoo’n Magar Yeh Ki Mujhe Us Cheez Ke Karne Ka Hukm Diya Jaata Hai Pas Mein Us (Hukme Khudawandi) Kee Ittiba’ Karta Hoo’n”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/125.]
Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Mein Wahi Faisle Karta Hoo’n Jin Ka Mujhe Hukm Diya Jaata Hai. Hikmat Isi Me Yeh Thi Ki Jab Kisi Par Ghusl Waajib Hoga Aur Ghusl Ke Liye Ghar Se Niklega To Aisi Haalat Me Masjid Me Qadam Rakkhega Aur Masjid Ka Taqaddus Majrooh Hoga, Ghusl Waajib Ho To Sirf Do Afraaf Masjid Me Qadam Rakh Sakte Hain Aik Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim. Hadithe Paak Me Aata Hai :
4.
عن ابی سعید قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم لعلی یا علی لا یحل لاحد ان یجنب فی هذا المسجد غیری و غیرک
“Hazrat Aboo Sa’iyd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya Aye Ali Mere Aur Tumhaare Siwa Kisi Ke Liye Jaaiz Nahin Ki Is Masjid(e Nabawi) Haalate Janaabat Me Rahe.”
Yeh Is Liye Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Huzoor Nabiyy-E-Rahmat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Jisme At’hat Aur Roohe Aqdas Se Zaahiri Bhi Aur Baatini Bhi Aik Khaas Ta’alluq Qaa’im Ho Chuka Tha.
Is Hadith Ko Jin Ajilla A’imma-E-Kiram Ne Apni Kutub Me Riwayat Kiya Hai Woh Mundarijae Zail Hain :
–
[1_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad,02/311, Hadith-1042,
2_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/115,
3_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/264, Hadith-2031,
4_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/175,
5_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/331,
6_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/26,
7_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/369,
8_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/598, Fada’il Ali, Hadith-32877,
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/33 Ta 38.]