Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Mawla-E-Ka’enat

Chunki Wilayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Faiz Hazrat Ali Se Chalna Tha Aur “Dhib’he ‘Azeem” Husayn Ko Hona Tha Is Liye Zaroori Tha Ki Wilaayate Mustafa Ali Shere Khuda Ban Jaaye Aur Wilaayate Ali Shere Khuda Wilayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Tasawwur Kee Jaaye. Riwaayat Ke Aaina Khaane Me Aik Aur Aks Ubharta Hai Ghubaare Nifaaq Chhat Jaata Hai Aur Haqa’iq Ka Chehra Mazeed Ujla Ho Jaata Hai :

 

14.

عن رياح بن الحرث قال جاء رهط الى على بالرحبط فقالوا السلام عليك يا مولانا قال كيف اكون مولا كم وانتم قوم عرب قالوا سمعنا رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يوم غدير خم يقول من كنت مولاه فان هذا مولاه.

“Hazrat Riyaah Bin Harth Riwayat Karte Hain Ki Aik Giroh Hazrat Ali Ke Paas Riht Ke Maqaam Par Aaya Aur Unhone Kaha Aye Hamaare Mawla Tujh Par Salaam Ho Aap Ne Farmaya Mein Kaise Tumhaara Mawla Hoo’n Jab Ki Tum Arab Qaum Ho Unhone Kaha Ki Hum Ne “Ghadeer Khum” Ke Maqaam Par Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Hai Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Yeh (Ali) Mawla Hai.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/419.]

Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali Ka Haath Pakad Kar Buland Kiya Aur Farmaya Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.

 

  1. Aik Dusre Maqaam Par Aata Hai :

عن زيد بن أرقم عن النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم قال من كنت مولاه فعلى مولاه

“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Nabiyye Karimm SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Mein Jis Ka Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/213.]

 

Pehle Taajdaare Arab-o-Ajam Ne Farmaya Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Ali Us Ka Mawla Hai Phir Farmaya Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai. Nabi Hone Aur Nabi Ka Ummati Hone Ka Farq Rehta Hai Lekin Doo’iy Ka Har Tasawwur Mit Jaata Hai Is Liye Ki Baatil Doo’iy Pasand Aur Haque Laa Sharik Hai. Phir Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Bargahe Khudawandi Me Du’a Ke Liye Haath Utha Diye Aur Farmaya Mere Allah Jo Ali Ko Wali Jaane Too Us Ka Wali Ban Jaa Ya’ni Jo Ali Se Dosti Kare Too Bhi Us Ka Dost Ban Jaa Aur Jo Ali Se Dushmani Kare Too Bhi Us Ka Dushman Ho Jaa, Jo Ali Kee Madad Kare Too Bhi Us Kee Madad Kar Aur Jo Ali Ke Saath Hai Too Bhi Us Ke Saath Ho Jaa, Zayl Me Muta’lliqa Hadithe Paak Darj Kee Jaa Rahi Hai :

 

16.

عن عمرو بن ذى مر زيد بن أرقم قالا خطب رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يوم غدير خم فقال من كنت مولاه فعلى مولاه اللهم وال من والاه و عاد من عاده وانصر من نصره و اعن من اعانه

“Hazrat Amar Bin Dhi Murr Aur Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Woh Kehte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Yawme Ghadir Ke Mauqe Par Khutba Irshaad Farmaya Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Wali Hain. Aye Allah Too Us Se Ulfat Rakh Jo Ali Se Ulfat Rakhta Hai Aur Too Us Se Adaawat Rakh Jo Is Se Adaawat Rakhta Hai Aur Too Us Kee Madad Kar Jo Is Kee Madad Karta Hai Aur Us Kee I’aanat Kar Jo Ali Kee I’aanat Karta Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/17, Hadith-3514.]

 

Goya Hazrat Ali Ke Chehra-E-Anwar Ko Dekhte Rehna Bhi Ibaadat, Un Ka Zikr Bhi Ibaadat, Huzoor Farmate Hain Ki Ali Too Mujh Se Hai Aur Mein Tujh Se Hoo’n Aur Irshaad Huwa Ki Jis Ka Wali Mein Hoo’n Ali Us Ka Mawla Hai Phir Irshaad Huwa Ki Jis Ka Mein Mawla Ali Bhi Us Ka Mawla Aur Yeh Ki Mein Shahre Ilm Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwaaza, Ilm Ka Husool Agar Chaahte Ho To Ali Ke Darwaaze Par Jaao Aur Dosti Aur Dushmani Ka Me’yaar Bhi Ali Thehre.

 

 

17.

عن أبى توفيل قال جمع على رضى الله تعالى عنه الناس فى الرحبة ثم قال لهم انشد الله كل امرئى مسلم سمع رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يقول يوم غدير خم مسامع لما قام فقام تلاثون من الناس و قال أبو نعيم فقام ناس كثير فشهدوا حين اخد بيده فقال للناس اتعلمون انى اولى بالمؤمنين من انفسهم قالوا نعم يا رسول الله قال مب كنت مولاه فهذا على مولاه اللهم وال من والاه و عاد من عاداه

“Hazrat Abi Tufayl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Paas RahbahKe Maqaam Par Bohat Saare Log Jam’a They Un Me Se Har Aik Ne Qasam Khaa Kar Kaha Ki Hum Me Se Har Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Hai Ki Aap Ne Ghadeer Khum Ke Mauqa’ Par Khitaab Farmaya Jis Ko Waha’n Khade Howe Tees Aadamiyo’n Ne Suna. Aboo Nu’aym Ne Kaha Ki Bohat Saare Log Jam’a They Unhone Gawaahi Dee Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali Ka Haath Pakad Kaar Logo’n Se Farmaya Ki Kya Tum Jaante Nahin Ki Mein Momin Kee Jaano’n Se Bhi Ziyaada Qareeb Hoo’n Unhone Kaha Haa’n Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Wali Hai Aye Allah Too Bhi Ulfat Rakh Jo Is Se Ulfat Rakhta Hai Aur Too Us Se Adaawat Rakh Jo Is Ke Saath Adaawat Rakhta Hai.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/370,

Dhib’he ‘Azeem (Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/46 Ta 49.]