Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 12

١٢۔                       عَنْ شُعْبَةَ، عَنْ سَلَمَةَ بْنِ کُهَيْلٍ، قَالَ: سَمِعْتُ أَبَا الطُّفَيْلِ يُحَدِّثُ عَنْ أَبِي سَرِيْحَةَ . . . أَوْ زَيْدِ بْنِ أَرْقَمَ، (شَکَّ شُعْبَةُ). . . عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ: مَنْ کُنْتُ مَوْلَاهُ فَعَلِيٌّ مَوْلَاهُ.

                رَوَاهُ التِّرْمِذِيُّ، وَقَالَ: هٰذَا حَدِيْثٌ حَسَنٌ صَحِيْحٌ، وَقَدْ رَوَي شُعْبَةُ هٰذَا الْحَدِيْثَ عَنْ مَيْمُوْنٍ عَنْ أَبِي عَبْدِ اﷲِ عَنْ زَيْدِ بْنِ أَرْقَمَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ .

12.              “Ḥaz̤rat Shuʻbah raḍiya Allāhu ‘anhu Salamah bin Kuhayl se riwāyat karte haiṅ ki maiṅ ne Abū Ṭufayl se sunā ki Abū Sarīḥah…… yā Zayd bin Arqam raḍiya Allāhu ‘anhumā …… se marwī hai (Shuʻbah ko rāwī ke mutaʻalliq shak hai) ki Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: jis kā maiṅ Maulā hūṅ, us kā ʻAlī Maulā hai.”

              Is ḥadīs̲ ko imām Tirmiḏẖī ne riwāyat kiyā aur farmāyā: yeh ḥadīs̲ ḥasan ṣaḥīḥ hai. Aur Shuʻbah ne is ḥadīs̲ ko Maymūn Abū ʻAbd Allāh se, unhone Ḥaz̤rat Zayd bin Arqam raḍiya Allāhu ‘anhu se aur unhone Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam se riwāyat kiyā hai.

[Aḳhrajah al-Tirmiḏẖī fi al-Sunan, kitāb al-manākib, bāb manāqibi ʻAlī ibn Abī Ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhumā, 05/633, al-raqm: 3713,

al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 05/195, 204, al-raqm: 5071, 5096.

                وَقَدْ رُوِيَ هٰذَا الْحَدِيْثُ عَنْ حُبْشِيّ بْنِ جُنَادَةَ في الْکُتُبِ الْآتِيَةِ:

Aḳhrajah al-Ḥākim fī al-Mustadrak, 03/134, al-raqm: 4652,

al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 12/78, al-raqm: 12593,

Ibn Abī ʻĀṣim fī al-Sunnah,/602, al-raqm: 1359,

al-Ḳhaṭīb al-Baġhdādī fī Tārīḳh Baġhdād, 12/343,

Ibn Kaṯẖīr fī al-Bidāyah wa-al-nihāyah, 05/451,

Ibn ʻAsākir fī Tārīḳh Madīnaṫ Dimashq, 45/77, 144,

al-Hayṯẖamī fī Majmaʻ al-zawa’id, 09/108.

                وَقَد رُوِيَ هٰذَا الْحَدِيْثُ أيضًا عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اﷲِ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ في الْکُتُبِ الْآتِيَةِ.

Aḳhrajah ibn Abī ʻĀṣim fī al-Sunnah,/602, al-raqm: 1355,

Ibn Abī Shaybah fī al-Muṣannaf, 06/366, al-raqm: 32072.

وَقَدْ رُوِيَ هٰذَا الْحَدِيْثُ عَنْ ايُوْبٍ الْأَنْصَارِيِّ رضي الله عنه فِي الْکُتْبِ الآتِيَةِ:

Aḳhrajah ibn Abī ʻĀṣim fī al-Sunnah,/602, al-raqm: 1354,

al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 04/173, al-raqm: 4052,

al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-awsaṭ, 01/229, al-raqm: 348.

                وَقَدْ رُوِيَ هٰذَا الْحَدِيْثُ عَنْ بُرَيْدَةَ فِي الْکُتْبِ الْآتِيَةِ:

Aḳhrajah ʻAbd al-Razzāq fī al-Muṣannaf, 11/225, al-raqm: 20388,

al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-ṣaġhīr, 01/71,

Ibn ʻAsākir fī Tārīḳh Dimashq al-kabīr, 45/146,

Ibn Abī ʻĀṣim fī al-Sunnah,/601, al-raqm: 1353,

Ibn Kaṯẖīr fī al-Bidāyah wa-al-nihāyah, 05/457.

                وَقَدْ رُوِيَ هٰذَا الْحَدِيْثُ عَنْ مَالِکِ بْنِ حُوَيْرَثٍ فِي الْکُتْبِ الْآتِيَةِ:

Aḳhrajah al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 19/252, al-raqm: 646,

Ibn ʻAsākir fī Tārīḳh Dimashq al-kabīr, 45/177,

al-Hayṯẖamī fī Majmaʻ al-zawa’id, 09/106,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/21_23, al-raqm: 12.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 22

Hadith Number : 22

“Aayate Kareema ( اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ ) [Al-Ma’idah, 05 : 03] ….Aaj Mein Ne Tumhare Li’e Deen Ko Mukammal Kar Diya…. Ke Shaane Nuzool Me Muhaddithin Wa Mufassirin Ne Yeh Hadithe Mubaraka Bayan Kee Hai :

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jis Ne Atthaarah-18 Dhu-‘l-Hijjah Ko Rozah Rakkha Us Ke Li’e Saath-60 Mahino’n Ke Rozo’n Ka Thawaab Likkha Jaayega, Aur Yeh Ghadir Khum Ka Din Tha Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : Kya Mein Mominin Ka Waali Nahin Hoo’n? Unhone Ne Kaha : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah ﷺ! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka ‘Ali Mawla Hai. Is Par Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mubarak Ho! Aye Ibn Abi Talib! Aap Mere Aur Har Musalman Ke Mawla Thahre. (Is Mauqa’ Par) Allah Ta’ala Ne Yeh Aayat Naazil Farmayi : “Aaj Mein Ne Tumhare Li’e Tumhara Deen Muqammal Kar Diya.”

[1-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 08/290,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/324,

3-Wahidi Fi Asbab-un-Nuzool,/108,

4-Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 11/139,

5-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/176, 177,

6-Ibn ‘Asakir Ne “ Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/179)” Me Yeh Riwayat Hazrat Aboo Saeed Khudari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Lee Hai.

7-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/464,

8-Suyooti Ne “Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor (02/259)” Me Aayat Mazkura Kee Shaane Nuzool Ke Hawaale Se Likha Hai Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghadir Khum Ke Roz “من كنت مولاه فعلى مولاه” Ke Alfaz Farmaye To Yeh Aayate Kareema Naazil Hu’i.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 23

Hadith Number : 23

“Imam Fakhr-ud-Deen Razi ﴿ “یٰۤاَیُّہَا الرَّسُوۡلُ بَلِّغۡ مَاۤ اُنۡزِلَ اِلَیۡکَ مِنۡ رَّبِّک ﴾ [Al-Ma’idah, 05 : 67]…. (Aye {Barguzida} Rasool! Jo Kuchh Aap Kee Taraf Aap Ke Rabb Kee Jaanib Se Naazil Kiya Gaya Hai {Woh Saara Logo’n Ko} Pahuncha Dijiye)…. Ka Shaane Nuzool Bayan Karte Hu’e Farmate Hain :

Yeh Aayate Mubarak Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Fazilat Me Naazil Hu’i Hai, Jab Yeh Aayate Mubarak Naazil Hu’i To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakada Aur Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe, Aur Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe. Us Ke (Fauran) Baa’d Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mulaqat Kee Aur Farmaya : Aye Ibn Abi Talib! Aap Ko Mubarak Ho, Ab Aap Mere Aur Har Momin Aur Mominah Ke Mawla Qaraar Paaye Hain. Ise ‘Abd Allah Bin ‘Abbas, Bara’ Bin ‘Aazib Aur Muhammad Bin ‘Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ne Riwayat Kiya Hai.”

[1-Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 12/49, 50,

2-Ibn Abi Hatim Razi Ne “Tafsir Al-Qur’an Al-Azim (04/1172, Raqam-6609)” Mein ‘Atiyyah ‘Awfi Se Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Riwayat Naqal Kee Ki Soorah Al-Ma’idah Kee Aayat No. 67 Hazrat ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Shaan Me Naazil Hu’i.

Ilaawah Azi’n Darje Zayl Ne Bhi Yeh Riwayat Naqal Kee Hai :

3-Wahidi Fi Asbab-un-Nuzool,/115,

4-Siyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 02/298,

5-Aloosi Fi Rooh-ul-Ma’ani Fi Tafsir Al-Qur’an Al-Azim Wa Al-Sab’ Al-Mathani, 06/193,

6-Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir Al-Jami’ Bayna Fanni Ar-Riwayah Wa’d-Dirayah Min ‘Ilm-it-Tafsir, 02/60.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Mawla-E-Ka’enat

Chunki Wilayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Faiz Hazrat Ali Se Chalna Tha Aur “Dhib’he ‘Azeem” Husayn Ko Hona Tha Is Liye Zaroori Tha Ki Wilaayate Mustafa Ali Shere Khuda Ban Jaaye Aur Wilaayate Ali Shere Khuda Wilayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Tasawwur Kee Jaaye. Riwaayat Ke Aaina Khaane Me Aik Aur Aks Ubharta Hai Ghubaare Nifaaq Chhat Jaata Hai Aur Haqa’iq Ka Chehra Mazeed Ujla Ho Jaata Hai :

 

14.

عن رياح بن الحرث قال جاء رهط الى على بالرحبط فقالوا السلام عليك يا مولانا قال كيف اكون مولا كم وانتم قوم عرب قالوا سمعنا رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يوم غدير خم يقول من كنت مولاه فان هذا مولاه.

“Hazrat Riyaah Bin Harth Riwayat Karte Hain Ki Aik Giroh Hazrat Ali Ke Paas Riht Ke Maqaam Par Aaya Aur Unhone Kaha Aye Hamaare Mawla Tujh Par Salaam Ho Aap Ne Farmaya Mein Kaise Tumhaara Mawla Hoo’n Jab Ki Tum Arab Qaum Ho Unhone Kaha Ki Hum Ne “Ghadeer Khum” Ke Maqaam Par Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Hai Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Yeh (Ali) Mawla Hai.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/419.]

Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali Ka Haath Pakad Kar Buland Kiya Aur Farmaya Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.

 

  1. Aik Dusre Maqaam Par Aata Hai :

عن زيد بن أرقم عن النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم قال من كنت مولاه فعلى مولاه

“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Nabiyye Karimm SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Mein Jis Ka Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/213.]

 

Pehle Taajdaare Arab-o-Ajam Ne Farmaya Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Ali Us Ka Mawla Hai Phir Farmaya Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai. Nabi Hone Aur Nabi Ka Ummati Hone Ka Farq Rehta Hai Lekin Doo’iy Ka Har Tasawwur Mit Jaata Hai Is Liye Ki Baatil Doo’iy Pasand Aur Haque Laa Sharik Hai. Phir Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Bargahe Khudawandi Me Du’a Ke Liye Haath Utha Diye Aur Farmaya Mere Allah Jo Ali Ko Wali Jaane Too Us Ka Wali Ban Jaa Ya’ni Jo Ali Se Dosti Kare Too Bhi Us Ka Dost Ban Jaa Aur Jo Ali Se Dushmani Kare Too Bhi Us Ka Dushman Ho Jaa, Jo Ali Kee Madad Kare Too Bhi Us Kee Madad Kar Aur Jo Ali Ke Saath Hai Too Bhi Us Ke Saath Ho Jaa, Zayl Me Muta’lliqa Hadithe Paak Darj Kee Jaa Rahi Hai :

 

16.

عن عمرو بن ذى مر زيد بن أرقم قالا خطب رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يوم غدير خم فقال من كنت مولاه فعلى مولاه اللهم وال من والاه و عاد من عاده وانصر من نصره و اعن من اعانه

“Hazrat Amar Bin Dhi Murr Aur Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Woh Kehte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Yawme Ghadir Ke Mauqe Par Khutba Irshaad Farmaya Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Wali Hain. Aye Allah Too Us Se Ulfat Rakh Jo Ali Se Ulfat Rakhta Hai Aur Too Us Se Adaawat Rakh Jo Is Se Adaawat Rakhta Hai Aur Too Us Kee Madad Kar Jo Is Kee Madad Karta Hai Aur Us Kee I’aanat Kar Jo Ali Kee I’aanat Karta Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/17, Hadith-3514.]

 

Goya Hazrat Ali Ke Chehra-E-Anwar Ko Dekhte Rehna Bhi Ibaadat, Un Ka Zikr Bhi Ibaadat, Huzoor Farmate Hain Ki Ali Too Mujh Se Hai Aur Mein Tujh Se Hoo’n Aur Irshaad Huwa Ki Jis Ka Wali Mein Hoo’n Ali Us Ka Mawla Hai Phir Irshaad Huwa Ki Jis Ka Mein Mawla Ali Bhi Us Ka Mawla Aur Yeh Ki Mein Shahre Ilm Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwaaza, Ilm Ka Husool Agar Chaahte Ho To Ali Ke Darwaaze Par Jaao Aur Dosti Aur Dushmani Ka Me’yaar Bhi Ali Thehre.

 

 

17.

عن أبى توفيل قال جمع على رضى الله تعالى عنه الناس فى الرحبة ثم قال لهم انشد الله كل امرئى مسلم سمع رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يقول يوم غدير خم مسامع لما قام فقام تلاثون من الناس و قال أبو نعيم فقام ناس كثير فشهدوا حين اخد بيده فقال للناس اتعلمون انى اولى بالمؤمنين من انفسهم قالوا نعم يا رسول الله قال مب كنت مولاه فهذا على مولاه اللهم وال من والاه و عاد من عاداه

“Hazrat Abi Tufayl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Paas RahbahKe Maqaam Par Bohat Saare Log Jam’a They Un Me Se Har Aik Ne Qasam Khaa Kar Kaha Ki Hum Me Se Har Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Hai Ki Aap Ne Ghadeer Khum Ke Mauqa’ Par Khitaab Farmaya Jis Ko Waha’n Khade Howe Tees Aadamiyo’n Ne Suna. Aboo Nu’aym Ne Kaha Ki Bohat Saare Log Jam’a They Unhone Gawaahi Dee Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali Ka Haath Pakad Kaar Logo’n Se Farmaya Ki Kya Tum Jaante Nahin Ki Mein Momin Kee Jaano’n Se Bhi Ziyaada Qareeb Hoo’n Unhone Kaha Haa’n Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Wali Hai Aye Allah Too Bhi Ulfat Rakh Jo Is Se Ulfat Rakhta Hai Aur Too Us Se Adaawat Rakh Jo Is Ke Saath Adaawat Rakhta Hai.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/370,

Dhib’he ‘Azeem (Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/46 Ta 49.]