Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

As’haabe Badr Kee Gawaahi

Riwaayaat Me Mazkoor Hai Ki Untees Sahabah Me As’haabe Badr Bhi Maujod They, Ghazawa-E-Badr Me Shareek Hone Waalo’n Ne Bhi Gawaahi Dee Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Tha Aur Hum Ne Suna Tha Aur Dekha Tha Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali Ka Haath Pakad Kar Ooncha Kiya Air Hum Sab Se Kaha Tha Ki Musalmano’n! Kya Tum Nahin Jaante Ki Mein Musalmano’n Kee Jaano’n Se Bhi Ziyaada Qareebtar Hoo’n? Sahaba-E-Kiram Ne Arz Kiya Sach Farmaya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aap Ne, Aap Hum Sab Kee Jaano’n Ke Bhi Qareebtar Hain, Farmaya Mujhe Azeez Rakhne Waalo’n Suno! Mein Us Ka Azeez Hoo’n Jo Ali Ko Azeez Rakhta Hai Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Bhi Mawla Hai, Aye Maalik! Too Bhi Us Ka Wali Ban Jo Ali Ko Wali Jaane.

 

 

18.

عن زياد بن ابى زياد سمعت على بن ابى طالب ينشد الناس فقال انشد الله رجلا مسلما سمع رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يقول يوم غدير خم ما قال فقام اثنا عشر بدر يا فشهدوا

“Hazrat Ziyad Bin Abi Ziyad Ne Hazrat Ali Se Suna Ki Jo Logo’n Se Guftagu Farma Rahe They Ki Mein Allah Kee Qasam Khaa Kar Kehta Hoo’n Ki Jo Kuchh Mein Ne Ghadir Khum Ke Mauqa’ Par Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Woh Sach Hai Aur Us Cheez Kee Baarah Badri Sahabah Ne Khade Ho Kar Gawaahi Dee.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/88.]

 

Is Hadith Kee Riwaayat Karne Waalo’n Me Hazrat Aboo Hurayrah, Hazrat Anas Bin Maalik, Hazrat Abd Allah Bin Umar, Hazrat Abd Allah Bin Abbas, Hazrat Maalik Bin Huwayrith, Aboo Sa’iyd Khudri, Hazrat Ammar Bin Yasir, Hazrat Bara’ Bin Aazib, Umayr Bin Sa’d, Abd Allah Ibn Mas’ood, Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Jaise Jalil-ul-Qadr Sahabah Ke Asma’-E-Giraami Saamil Hain.

Jo Shakhs Wailayate Ali Ka Munkir Hai Woh Nubuwwate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Munkir Hai, Jo Faize Ali Ka Munkir Hai Woh Faize Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Bhi Munkir Hai Jo Nisbate Ali Ka Munkir Hai, Woh Nisbate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Munkir Hai, Jo Qurbate Ali Ka Baaghi Hai Woh Qurbate Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Baaghi Hai, Jo Hubbe Ali Ka Baaghi Hai Woh Hubbe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Bhi Baaghi Hai Aur Jo Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Baaghi Hai Woh Khuda Ka Baaghi Hai.

 

 

  1. Farmaya Rasoole Muhtashim Ne :

عن عمار بن ياسر قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم اوصى من آمن بى وصدقنى بولاية على بن ابى طالب من تولاه فقد تولانى ومن تولانى فقد تولى الله عز و جل و من احبه فقد اجنى

“Hazrat Ammar Bin Yaasir Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Jo Shakhs Mujh Par Imaan Laaya Aur Jis Ne Meri Nabuwwat Kee Tasdeeq Kee Mein Us Ko Wasiyyat Karta Hoo’n Ki Woh Ali Kee Wilaayat Ko Maane Jis Ne Ali Kee Wilaayat Ko Maana Us Ne Meri Wilaayat Ko Maana Aur Jis Ne Meri Wilaayat Ko Maana Us Ne Allah Azza Wa Jalla Kee Wilaayat Ko Maana.”

 

Huzoore Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Jo Shkahs Qiyamat Mujh Par Imaan Laaya Aur Jis Ne Meri Nubuwwat Kee Tasdeeq Kee Mein Us Ko Wasiyyat Karta Hoo’n Ki Woh Ali Kee Wilaayat Ko Maane, Ali Wasiyyate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hai, Wilayate Ali Wilayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hai, Huzoor ‘Alayh-is-Salam Ne Farmaya Jis Ne Ali Kee Wilaayat Ko Maana Us Ne Meri Wilaayat Ki Maana Jis Ne Meri Wilaayat Ko Maana Us Ne Allah Kee Wilaayat Ko Maana. Jis Ne Ali Se Mahabbat Kee Us Ne Mujh Se Mahabbat Kee, Jis Ne Mujh Se Mahabbat Kee Us Ne Khuda Se Mahabbat Kee, Jis Ne Ali Se Bughz Rakkha Us Ne Mujh Se Bughz Rakkha Aur Jis Ne Mujh Se Bughz Rakkha Us Ne Allah Se Bughz Rakkha.

 

20.

ومن احبنى فقد احب الله تعالى ومن ابغضه فقد ابغضى ومن ابغضى فقد ابغض الله عز و جل

“Aur Jis Ne Ali Se Mahabbat Kee Us Ne Mujh Se Mahabbat Kee Jis Ne Mujh Se Mahabbat Kee Us Ne Khuda Se Mahabbat Kee Jis Ne Ali Se Bughz Rakkha Us Ne Mujh Se Bughz Rakkgha Jis Ne Mujh Se Bughz Rakkha Us Ne Allah Se Se Bughz Rakkha.”

[Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/109.]

 

Is Mafhoom Kee Deegar Riwaayaat Mundarijae Zail Kutub Me Mulaahza Karein :

1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/84,

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/119,

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/370,

4_Ibn Majah Al-Muqaddimah : 43, Bab 11 Fadlu Ali Ibn Abi Talib, Hadith-116,

5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/357, Hadith-2505,

6_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/173, Hadith-4052,

7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/174, Hadith-4053,

8_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/192, Hadith-4059,

09_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/60, Hadith-2131,

10_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/100, Hadith-2204,

11_Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/64,

12_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/428, 429, Hadith-567,

13_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/80, 81, Hadith-458,

14_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/87, Hadith-464,

15_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/105, Hadith-479,

16_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/105, Hadith-480,

17_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/274, Hadith-454,

18_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/139, Hadith-937,

19_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 13/154, Hadith-3648,

20_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 13/157, Hadith-36486,

21_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 13/158, Hadith-36487,

22_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106, 107,

23_Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban,/544, Hadith-2205,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/49 Ta 53.]