Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Bughze Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bughze Khuda

  1. Umm-il-Mu’minin Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Riwaayat Mulaahza Farmaaein :

عن ام سلمه قالت اشهد انی سمعت رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم یقول من احب علیا فقد احبنی ومن احبنی فقد احب اﷲ ومن ابغض علیا فقد ابغضنی ومن ابغضنی فقد ابغض اﷲ

“Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Woh Farmaati Hain Ki Mein Gawaahi Deti Hoo’n Ki Mein Ne Apne Kaano’n RasoolAllah Ko Yeh Farmaate Huwe Suna Jis Ne Ali Se Mahabbat Kee Us Ne Mujh Se Mahabbat Kee Aur Jis Ne Mujh Se Mahabbat Kee Us Ne Allah Se Mahabbat Kee Aur Jis Ne Ali Se Bughz Rakkha Us Ne Mujh Se Bughz Rakkha Aur Jis Ne Mujh Se Bughz Rakkha Tehqeeq Us Ne Allah Se Bughz Rakkha.”

[Aizan/132,

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/53_54.]