01. ‘Izzat Ma’ab Al-Imam-ul-Akbar Dr. Muhammad Sayyad Tantaawi (Shaykh-ul-Azhar)
﷽
Tamam Ta’reefein Us Allah Ke Liye Hain Jo Maalik, Nigehbaan Aur Sab Se Buland Hai, Jis Ne (Ka’enaat Kee Har Cheez Ko) Paida Kiya Phir Use (Jumla Taqaazo’n Kee Takmil Ke Saath) Durust Tawaajun Diya Aur Har Cheez Ke Liye Qaanoon Muqarrar Kiya Phir (Use Apne Apne Nizaam Ke Mutabiq Rehne Aur Chalne Ka) Raasta Bataaya Aur Durood Wa Salam Ho Hamaare Aaka Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Jinhone Apni Khwahishe Nafs Se Koi Kalaam Na Farmaya Balki Jo Bhi Kalaam Farmaya Wahyi-e Ilahi Se Farmaya. Allah Ta’ala Durood Wa Salam Aur Barkat Naazil Farmaa’e Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Aal Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba Aur Har Us Shakhs Par Jis Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sunnat Kee Iqtida’ Kee Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Laa’i Hu’i Hidaayat Se Hidaayat Pakadi….اما بعد!
Muhammad Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Ne Mujhe Taqdeem Likhne Ke Liye Apni Kitab “المنحاج السوي من الحديث النبوي ﷺ” Irsaal Kee. Mein Ne Is Kitab Ka Baghaur Mutaala’a Kiya Hai. Muallif Ne Is Kitaab Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ek Hazaar-1.000 Se Zaa’id Ahaadith Jam’a Kee Hain, Aur Un Ko Mutafarrriq Abawaab Me Taqsim Kiya Hai. Har Baab Me Usi Baab Ke Muta’alliq Ahadith Hain. Baa’z Abawab Ke Faaidah Me Izaafe Kee Garaz Se Sahaba Wa Tabe’in Ka Bhi Zikr Kiya Hai. Is Ke Ilaawah Kitaab Me Dee Ga’i Ahadith Ko Hawalajat Kee Takhrij Aur Tamam Ahadith Ka Urdu (Hindi) Zubaan Me Tarjuma Bhi Is Kitaab Ka Khaassa Hai. Is Me Koi Shak Nahin Ki Muallif Ne (Allah Ta’ala Unhein Jaza-e Khair Ata Farmaa’e) Is Kitab Ko Is DeedahZaib Shakl Me Laane Ke Liye Mehnate Shaqqa Se Kaam Liya Hai Taa Ki Sunnate Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ahya’ Me Apna Hissa Daal Sake Aur Us Ko Aasaan Soorat Me Ulama’, Mohaqqiqeen Aur Mohibbin Ke Liye Pesh Kar Sake’n.
Mein Allah ‘Azza Wa Jalla Se Du’aa-Go Hoo’n Ki Woh Zaate Haqq Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri Sahab Ko Is Mehnate Shaaqqa Par Jaza-e Khair Ata Farmaa’e Aur Is Kitaab Ko Un Kee Hasnaat Me Izaafe Ka Sabab Banaane Ke Saath-Saath Hamein Bhi Is Kitaab Ke Zari’e Nafa’ Ata Farmaa’e. Be Shak Allah Ta’ala Is Cheez Ka Nigehban Aur Us Par Qaadir Hai.
وآخر دعو انا أن الحمد الله رب العالمين.
Doctor Muhammad Sayyid Tantaawi Shaykh-ul-Azhar (Misr)
29, Jumada-‘l-Awwal 1427 Hijri
25 June 2006
–
[Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-28_31.]