02. ‘Izzat Ma’ab Al-Shaykh ‘Ali Jumu’ah (Mufti-e A‘zam, Misr)
﷽
Tamam Ta’reefein Us Allah Ke Li’e Hain Jo Tamam Jahano’n Ka Parwardigaar Hai Aur Durood-o Salaam Ho Tamam Rasoolo’n Se Mu’azzaz-Tarin Hasti Hamare Sardaar Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Tamaam Aal-o As’haab Par….. Amma Ba’d!
Is Ummat Ke Ulama Ka Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ahadith Ke Jam’a Karne Me Shiddate Ehtemaam Ka Saliqa Kisi Se Makhfi Nahin Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ahadith, Wahyi Kee Do Iqsaam Me Se Ek Par Mushtamil Hain Jaisa Ki Musnad Kee Hadith me Hai. “Khabardaar Mujhe Qur’an Aur Us Ke Saath Us Kee Misl (Ya’ni Ahadith) Ata Kee Ga’i Hain”. Chunanche Tanzim-o Tadwine Hadith Aur Aa’inda Naslo’n Tak Ilme Hadith Ko Muntaqil Karne Ke Silsile Me Ahle Islam Kee Taraf Se Riwaayat Aur Diraayat Par Mabni Mukhtalif Tasaanif Manzare Aam Par Aa’i’n Aur Akhze Hadith ka Tariqe Kaar Mutanawwe’ Hota Chala Gaya. Ba’z Ne Jam’a Ahaadith Sehhat Kee Shart Aa’id Kee Aur Unhe’n Fiqh ke Abwaab Ke Mutaabiq Jam’a Kiya Jaise Sahih Al-Bukhari, Aur Un Me Se Ba’z Ne Sehhat Kee Shart Ke Baghajr Aisa Kiya Jaisa Ki As’haabe Sunane Arba’, Jab Ki Un Me Se Ba’z Ne Apni Marwiyaat Ko Shaba-e Kiram Ke Masaanid Ke Mutaabiq Murattab Kiya Jaisa Ki Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Apni Musnad Aur Doosre Turuq Tasaanif Ke Dauraan Kiya.
Hafiz Aboo Bakr Bayhaqi (Mutawaffa 458 Hijri) Kee Wafaat Ke Saath Riwaayat Ka Daur Khatm Ho Gaya Aur Us Ke Ba’d Ahaadithe Nabawi Kee Doosri Anwaa’e Taalif Bhi Manzare Aam Par Aa’i’n. Us Daur Me Kuchh Ulama’ Ne Faqat Ahkaam Par Mabni Ahaadith Alag Kee’n, Kuchh Aadaab, Zohd Aur Raqaa’iq Ke Hawaale Se Ahaadith Jam’a Kee’n Aur Kuchh Ne Mutawaatira Ahaadith Ko Jam’a Karne Ka Ehtemaam Kiya.
Mohtaram-ul-Maqaam Professor Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Saahib Bhi Un Logo’n Me Se Hain Jinhone Saabiqin Ke Tariq Par Chalte Hu’e Sayyid-ul-Awwalin Wa-Al-Aakhirin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ahadith kee Khidamat Ke Li’e Kamare Himmat Baandhi. Inhone Na Sirf Ahaadith Ka Zakhira Khangaal Kar Us Me Se Ek Behtarin Majmoo’a Murattab Kiya Balki Use Aqaa’id, Ibaadaat, Aadaab, Raqaa’iq, Manaaqib, Uhaadiyyaat-o Thunaa’iyyaate Al-Imam Al-A’zam RadiyAllahu ‘Anhu Aur Thulaasiyyaate Al-Bukhari RadiyAllahu ‘Anhu Waghaira Kee Soorat Me Ahaadith Ko Mukhtalif Abwaab Kee Shakl Me Murattab Kiya. Is Ke Ilaawa Un Tamaam Ahaadith Ka Urdu Zabaan Me Tarjama Kiya Taa Ki Yeh Zabaan Jaan’ne Waale Us Se Kama Haqqahoo Naf’a Utha Sake’n. Is Kitab Me Unhone Apne Shuyookh Tak Apni Asaanid Ka Zikr Bhi Kiya Hai Jaisa Ki Muta’akhkhirin Me Se Bade Bade Musnadayn(A’immah) Kee Aadat Hai. Bila Shub’ha Yeh Qaabile Tehsin Aur Maqbool Kaam Hai. Ham Allah Ta’ala Kee Baargaah Me Is Kitaab Ke Mu’allif Ke Haqq Me Du’a-Go Hain Ki Woh Unhe’n Jaza-e Khair Ata Farma’e Aur Is Kitaab Ko Padhne Aur Is Me Ghaur-o Fiqr Karne Waalo’n Ko Haqiqi Naf’a Ata Farma’e. Be Shak Woh Is Kaam Ka Nigehbaan Aur Qaadir Hai Aur Tamaam Ta’rife’n Allah Rabb Al-Aalamin Ke Hee Li’e Hain.
Ali Jumu’a
Mufti-e A‘zam, Misr
–
[Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-32_35.]