Doosri Taraf Wohi Do Pahar Hai Hazrat Ummi-‘l-Mu’minin Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Madinah Tayyibah Me Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ghar Me Aaraam Farma Hain Hazrat Salma Farmati Hain Ki Mein Aap Ke Paas Ya’ni Umm-il-Mu’minin Ummi Salamah Ke Paas Gayi, Yeh Woh Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zawja-E-Mutahharah Hai Jin Ko Aaqa-E-Do Jaha’n Ne Woh Mitti Ata Kee Thi Jo Hazrat Jibra’il Ameen Regzaare Karbala Se Uthaa Kar Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Bachpan Ke Zamaane Me De Gaye They, Aur Yeh Arz Kar Gaye They Ki Huzoor Yeh Us Maidaane Karb-o-Bala Kee Mitti Hai Jis Me Kuchh Badbakht Husayn Ibn Ali Ko Aap Ke Baa’d Shaheed Kar Denge, Aap Ne Woh Mitti Ummi Salamah Ko De De Thi Yeh Farmate Huwe Ki :
إذا تحولت هذه التربة دما فاعلمي ان ابني قد قتل
–
[Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra, 02/125,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/347.]
Aye Ummi Salamah Jab Yeh Mitti Surkh Ho Jaaye Ya’ni Khoon Me Badal Jaaye To Samajh Lena Ki Mera Beta Husayn Shaheed Kar Diya Gaya Hai.
Hazrat Ummi Salma Farmati Hain Ki Mein Aap Se Milne Ke Liye Gayi, Mein Ne Dekha Ki Aap Zaar-o-Qataar Ro Rahi Hain Chashmane Muqaddas Se Aansoo Rawa’n Hain. Aik Dukh Aur Dard-o-Alam Kee Kaifiyyat Taari Hai Mein Ne Puchha Umm-il-Mu’minin! Rone Ka Kya Sabab Hai? Woh Farmane Lagi’n Abhi Khwaab Me Rasoole Paak SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashreef Laaye They Aur Mein Ne Un Ko Dekha Hai Khuda Kee Qasam Un Kee Chashmane Muqaddas Se Bhi Aansoo Bah Rahe They.
على رأسه ولحيته التراب ، فقلت : مالك يا رسول الله ؟ قال : شهدت قتل الحسين آنفا.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 04/19,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/356,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 08/200.]
Aap Ke Sare Anwar Aur Daadhi Mubarak Par Mitti Thi. Mein Ne Puchha : Aaqa! Yeh Gard Kaisi? Farmane Lage : Ummi Salamah! Abhi Apne Husayn Ke Qatl Ka Manzar Dekh Kar Aa Raha Hoo’n. Mein Maidaane Karbala Se Aaya Hoo’n. Hazrat Ummi Salamah Ne Bedaar Hote Hee Us Sheeshi Ko Uthaaya, Jis Me Mitti Bhari Padi Thi Dekha To Woh Khoon Ho Chuki Thi, Farmaane Lagi’n Ab Husayn Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Shaheed Kar Deeye Gaye Hain.
To Dosto’n ! Woh Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jo Us Rishte Kee Munaasibat Se Adna See Bhi Takleef Gawaara Na Farmate They Us Rasool Ko Kis Qadar Aziyyat Pahunchi Hogi? Is Liye Woh Sub’h Se Shaam Tak Apni Roohe Tayyibah Ke Mithaali Jism Ke Saath Maidaane Karbala Me They? Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apne Nawase Husayn Kee Shahadat Ka Manzar Dekh Rahe They. Jo Nabi Khooni Rishte Kee Badaulat Apne A’izzah Wa Aqaaqrib Ke Zara See Takleef Bhi Gawaara Nahin Farmaate They Aur Un Kee Aziyyat Se Be Chain Ho Jaate They Us Saanihah Ke Wauqoo’ Ke Waqt Un Ke Dard-o-Alam Ka Andaazah Lagaya Jaa Sakta Hai! Aur Jo Bad Kirdaar, Saffaak Log, Us Qatl Me Mulawwasth They, Un Ke Khilaaf Aap Ke Nafrat Bhare Jazbaat Kaise Honge Woh Bakhoobi Ma’loom Kiye Jaa Sakta Hain. Isi Haadithe Kee Taraf Ishaarah Farmaate Huwe Aap Ne Aik Baar Farmaya Tha Ki :
“Mein Dekhta Hoo’n Aik Dhabbe Daar Kutte Ko Woh Mere Ahl-E-Bayt Ke Khoon Se Haath Rang Raha Hai.”
Jab Imam Husayn Maidane Karbala Me Pahunche Aur Shimr Dhi-‘l-Jawshan Talwaar Lehraata Huwa Us Shaahsawaar Ke Saamne Aaya To Us Kee Shakal Dekhte Hee Pukaar Uthe Ki Mere Naana Ne Sach Farmaya Tha Ki Mein Aik Dhabbe Daar Bars Waale Kutte Ko Dekhta Hoo’n Ki Mere Bete Ke Khoon Se Haath Rang Raha Hai. Aye Badbakht Shimr! Too Hee Woh Kutta Hai Jis Kee Nisbat Mere Naana Ne Khabar Dee Thi Aur Mein Tere Bars Ko Dekh Raha Hoo’n, Aur Dekh Raha Hoo’n Tere Anjaam Ko Ki Anqareeb Too Hamaare Khoon Se Apne Haath Rangega. Ibn Asaakir Ne Is Riwayat Ko Bayan Farmaya Hai.
Chunanche Jis Tarah Mein Ne Pehle Arz Kiya Ki Un Ka Sare Anwar Aur Deegar Shuhda-E-Karbala Ke Saro’n Ko Tano’n Se Juda Kar Diya Gaya.
Ab Shaam Ho Chuki Thi Un Zaalimo’n Ne Raat Usi Maidaan Me Basar Kee Andaazah Keejiye Ki Woh Raat Kaisi Qayamat Kee Raat Hogi Khanwadae Rasool Kee Muqaddas Bibiya’n Khaimo’n Me Hain Aur Raat Chhaa Gayi Hai, Aur Tan Sar Se Juda Hain! Aur Is Tarah Bahattar-72 Shuhada’ Ke Tan Aik Taraf Aur Sar Aik Taraf Regazaare Karbala Me Darya-E-Furaat Ke Kinaare Par Hain. Saari Raat Is Qayamat Kee Kaifiyyat Me Basar Ho Gayi.
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-53_55.]