Muta’addad Kutube Hadith Me Yeh Waqi’a Darj Hai. Jis Ke Raawi Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Hain Farmate Hain :
رأيت النبي صلى الله تعالى عليه و على آله وسلم فيما يرى النائم ذات يوم بنصف النهار أشعث أغبر بيده قارورة فيها دم فقلت : بأبي أنت وأمي! ما هذا؟ قال : هذا دم الحسين وأصحابه ولم أزل ألتقطه منذ اليوم.
–
[Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih,/572,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/355.]
Mein Ne Neend Kee Haalat Me Dekha Ki Rasoole Paak SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khwaab Me Mere Paas Tashrif Le Aaye, Aap Ke Sare Anwar Par Gard Hai Aur Aap Pareshaan Nazar Aate Hain Aur Aap Ke Daste Aqdas Me Aik Sheeshi Hai Aur Us Sheeshi Me Khoon Hai, Mein Hairaan Ho Gaya Aur Hairat Ke Aalam Me Pukaar Uttha, Mere Maa’n Baap Aap Par Qurbaan Ho’n Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Aap Itne Pareshaan Kyun Hain? Aur Daste Aqdas Me Yeh Sheeshi Kaisi Hai Jis Me Khoon Hai? Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ibn Abbas ! Too Dekh Ki Kalimah Padhne Waale Baa’z Badbakhto’n Ne Mere Baa’d Mere Bete Ka Kya Hashr Kiya Hai? Mein Sub’h Se Shaam Tak Saara Din Aaj Karbala Mein Guzaara Hai Aur Apne Bete Husayn Aur Us Ke Saathiyo’n, Jaan Nishaaro’n Aur Wafadaro’n Ka Khoon Is Sheeshi Me Jam’a Kiya Hai Aur Ab Yeh Khoon Le Kar Mein Apne Allah Kee Baargaah Me Jaa Raha Hoo’n Yeh Dikhaane Ki Liye Ki Un Badbakhto’n Ne Tere Rasool Ke Nawaase Ke Saath Karbala Ke Regzaaro’n Me Yeh Hashr Kiya Hai.
Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Khwaab Se Bedaar Huwe Kutube Ahadith Me Darj Hai Ki Aap Uthey Aur Aap Kee Zubaan Par Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Raji’oon Ke Alfaaz Jaari They. Logo’n Ne Puchha Hazrat Kya Ho Gaya Hai ? Farmane Lage :
Husayn Ibn Ali ‘Alayhima-‘s-Salam Shaheed Kar Diye Gaye Hain. Logo’n Ne Puchha :
Hazrat Yeh Kaise Pata Chala ? Farmane Lage Abhi Rasoole Paak Aik Ta’ziyati Kaifiyyat Me Mere Saamne Tashreef Laaye Aur Aap Ne Khwaab Me Mujhe Shahadate Husayn Ka Waqi’a Bayan Farmaya Hai. Chunanche Bees-20 Baa’is-22 Din Ke Baa’d Phir Jab Baa Zaabitah Shahadate Husayn Kee Ittilaa’ Hazrat Ibn Abbas Aur Ahle Makkah Ko Pahunchi. Baa’is-22 Din Pehle Jo Khabar Aap Ko Dee Gayi Thi Us Kee Tasdeeq Ho Gayi.
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-52_53.]