Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Yazeed Kee Manafiqanah Siyaasat

                   Al-Gharaz Is Qism Kee Guftagu Aur Waqe’at Darbare Yazeed Me Pesh Aaye Is Ke Baa’d Us Badbakht Ne Khushi Manaayi Aur Fakhr Kiya. Ibn Ziyad Ko In’aam-o-Ikraam Diya Lekin Baa’d Me Jab Us Ne Dekha Ki Logo’n Ke Tewar Badal Rahe Hain Aur Jis Iktidaar Kee Khaatir Us Ne Yeh Saare Mazaalim Dhaaye Hain Woh Khatre Me Hai Aur Log Us Se Sakht Nafrat Karne Lag Gaye Hain To Us Ne Fauran Paintara Badla Aur Bhola Miskeen Ban Kar Kehne Laga :

“Bura Ho Ibn Ziyad Ka Jis Ne Maidane Karbala Me Ahl-E-Bayt Kee Tauheen Kee Aur Un Ke Chidah Chidah Afraad Ko Qatl Kiya Aur Nihaayat Saffaaki Aur Be Rahmi Ka Suboot Diya, Mein Us Ke Is Fi’l Par Khush Nahin Hoo’n, Agar Woh Husayn Ko Zinda Le Aata To Mujhe Ziyaada Khushi Hoti Magar Is Sitamgar Ne Bahut Jabar Kiya Hai Aur Zulm-o-Sitam Kee Intiha Kar Dee Hai Khuda Is Par La’nat Kare, Woh Bahut Badi La’nat Wa Malaamat Ka Mustahiq Hai.”

 

Yazeed Kee In Munafiqana Baato’n Kee Bunyaad Par Baa’z Kotaah Andesh Is Ghalat Fahmi Ka Shikaar Ho Gaye Hain Ki Woh Qatle Husayn Se Khush Na Tha Aur Us Ne Us Waqi’a Se Be Had Sadmah Pahuncha Tha.

Aisi Soch Rakhne Waale Se Hum Puchhte Hain Ki Agar Woh Ibn Ziyad Kee Is Kaarwaa’i Se Naakhush Tha To Phir Un Se Aur Ibn Sa’d Se Qisaas Kyun Na Liya? Chalo Qatl Ka Qisaaas Lena Doorr Kee Baat Hai, Un Dono’n Ko Ma’zool Kyun Na Kiya? Ya Un Ke Uhdo’n Me Kami Kyun Na Kee? In Sab Soorto’n Ke Bar Aks Hum Dekhte Hain Ki Us Ne Un Se Baazpurs Tak Na Kee Na Koi Saza Dee.

Yeh Soorate Haal Is Baat Kee Daleel Hai Ki Woh Andar Se Khush Tha Un Kee Kaarwaa’i Ko Haque-E-Bi-Jaanib Jaanta Tha, Baa’d Me Us Ne Jo Magarmachh Ke Aansu Bahaaye Aur Chikni Chupdi Baatein Kee’n Woh Sab Apne Siyaasi Anjaam Se Bachne Aur Iqtedaar Ko Dawaam Bakhshne Ke Liye Thi’n. Kyun Ki Qatle Husayn Ne Us Ke Takhte Iqtedaar Ko Hila Kar Rakh Diya Tha.

Baa’d Azaa’n Us Zaalim Ne Imam Aali Maqam Ke Sar Aur Baaqi Saro’n Ke Baare Me Kaha Ki Inhein Dimashq Ke Baazaro’n Me Phiraaya Jaaye. Kya Yahi Yazeed Jo Qatle Husayn Par Khush Nahin Hai Agar Khush Nahin To Phir Kya Qatle Husayn Ke Baa’d Koi Gunjaa’ish Rah Gayi Thi Jo Us Ne Saro’n Kee Numaa’ish Ka Bhi Ihtimaam Kiya.

Yazeed Paleed Ibn Ziyad Aur Ibn Sa’d Kee Saffakaana Kaarkardagi Se Badal-o-Jaa’n Khush Tha Aur Mahz Oopar Se Lipa Poti Kar Raha Tha Ki Log Badzan Na Ho Jaaein Us Kee Aik Daleel Yeh Bhi Hai Ki Ahl-E-Bayt ‘Alayhim-us-Salam Ke Qaafile Ko Dimashq Ke Baazaaro’n Me Phiraaya Gaya, Shuhada’ Ke Saro’n Kee Numa’ish Kee Gayi Aur Nezo’n Par Latke Huwe Un Saro’n Ka Juloos Bhi Nikaala Gaya.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-61_63.]