Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Sare Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee I’jaazi Shaan

                   Kehte Hain Ki Sab Se Aage Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ka Sar Mubarak Tha Jab Yazeedi Log Saro’n Ko Le Kar Ghum Rahe They To Us Waqt Aik Makaan Ke Qareeb Se Guzre Andar Se Kisi Shakhs Kee Aawaaz Aayi, Jo Soorah Kahf Kee Tilawat Kar Raha Tha Aur Us Kee Zubaan Par Yeh Aayate Karimah Thi :

أَمْ حَسِبْتَ أَنَّ أَصْحَابَ الْكَهْفِ وَالرَّقِيمِ كَانُوا مِنْ آيَاتِنَا عَجَبًا ۝

[Al-Kahf : 09.]

“Kya Too Ne Socha Ki As’haabe Kahf Ya’ni Ghaar Waale Log Hamari Ajeeb Nishaaniyo’n Me Se Aik Nishaani They”

Us Waqt Imame Pak Ke Sar Mubarak Ne Faseeh Zubaan Me Kaha :

أعجب من أصحاب الكهف قتلي وحملي

“Mera Qatl Kiya Jaana Aur Yoo’n Galiyo’n Me Phiraaya Jaana As’haabe Kahf Ke Waaqi’e Se Bhi Ajeeb Tar Hai”

 

Aik Shakhs Ka Bayan Hai Ki Allah Kee Izzat Kee Qasam Mein Ne Apni Aankho’n Se Dekha ki Imam Husayn Ka Sare Anwar Yazeed Ke Hukm Par Dimashq Me Phiraaya Jaa Raha Tha Un Ke Neze Ke Saamne Aik Dimashq Ka Shakhs Jaa Raha Tha Aur Woh Soorah Kahf Kee Tilaawat Kar Raha Tha Jab Woh Is Maqam Par Pahuncha Ki Kahf Aur Raqeem Ke Logo’n Ke Waqe’at Bahut Ajeeb Hain To Allah Paak Ne Sare Husayn Ko Zubaan Ata Kar Dee Aur Imam Husayn Ka Sare Anwar Neze Kee Nok Se Faseeh Zubaan Me Bola Ki Kahf Aur Raqeem Ke Waaqi’aat Par Ta’ajjub Karne Waalo’n! Nawasa-E-Rasool Ka Sar Kat Kar Neze Par Sawaar Kiya Jaana Yeh Kahf Ke Waaqie Se Bhi Ajeeb Tar Hai Aur Ziyaada Dardnaak Hai.

 

Imam Aali Maqam Ke Is Waaqie Ke Baa’d Imam Aali Maqam Ke Us Muqaddas Qaafile Aur Un Bibiyo’n Ko Phir Madinah Kee Taraf Rawaana Kiya Gaya. Yeh Luta Puta Qaafila Hazrat Zayn-ul-Aabidin Kee Qiyaadat Me Jab Madinah Pahuncha To Shahre Madinah Kee Galiyo’n Me Qiyamat Bapa Ho Gayi Aik Kohraam Mach Gaya. Aik Ajeeb Kaifiyyat Taari Ho Gayi Aur Hum Nahin Samajh Sakte Ki Waha’n Ke Dharraat Ka Aalam Kya Hoga? Madine Kee Galiyo’n Kee Jis Khaak Par Husayn Ka Bachpan Guzra Tha Us Khaak Ke Zarre Is Lute Huwe Qaafile Ko Dekh Kar Kya Kehte Honge? Madine Kee Fazaao’n Me Jaha’n Husayn Apne Naana Ke Kandho’n Par Sawaar Ho Kar Saans Lete Rahe Un Fazaao’n Ke Afsurdagi Ka Aalam Kya Huwa Hoga? Madine Ke Dar-o-Diwaar Kya Kehte Honge? Waha’n Ke Buzurg Aur Naujawaan Kya Soch Rahe Honge Are Gumbade Khadra’ Ke Saaye Kya Kehte Honge Aur Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Rawda-E-At’har Kee Fazaaein Kya Kahti Hongi? Yeh Mu’amala To Allah Hee Behtar Jaanta Hai.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-63_64.]