Imam Aali Maqam Kee Shahadat Ke Baa’d Yazeed Badbakht Ne Fir’awniyyat Aa Gayi, Mazeed Qaarooniyyat Aa Gayi, Us Kee Badkaari Me Izaafa Ho Gaya Nasha-E-Iqtidar Me Mazeed Dhut Ho Gaya. Sharaabi To Pehle Hee Tha Lekin Ab Sharaab Khori Kee Koi Had Na Rahi, Badkaar To Pehle Hee Tha Lekin Ab To Sauteli Maao’n Bahno’n Aur Beto’n Ke Saath Bhi Badkaari Karne Laga.
Al-Gharaz Uyoob-o-Naqa’is Ka Mujassama Ban Gaya Aur Us Ka Zulm-o-Sitam Intiha Ko Pahunch Gaya, Loot Maar Kee Koi Had Na Rahi Hazrat Abd Allah Bin Handhalah Ghasil-ul-Mala’ikah Farmate Hain Ki Jab Hum Ne Yeh Sab Kuchh Dekha To Hum Is Nateeje Par Pahunche Ki Ab Is Kee Bay’at Ka Inkaar Karna Zaroori Ho Gaya Hai Wagarna Mumkin Hai Ki Allah Ka ‘Azaab Naazil Ho Jaaye Aur Aasmaan Se Patthar Barasne Lagein. Chunanche Madinah Aur Makkah Waalo’n Ne Barmala Yazeed Kee Bay’at Ko Tod Daala Aur Us Kee Hukoomat Ko Taslim Karne Se Inkaar Kar Diya Is Ko Yazeed Ne Apne Khilaaf Baghaawat Samajha Aur Muslim Bin Uqbah Ke Zere Qiyaadat Me Hazaaro’n Faujiyo’n Ka Lashkar Tayyar Kiya Aur Kaha Ki Jaao Madine Par Hamla Kar Do Aur Mein Teen Din Ke Liye Tum Par Madinah Ko Halaal Karta Hoo’n Jo Tumhaare Jee Me Aaye Karo Tumhein Koi Nahin Puchhega.
Yeh Kirdaar Hai Us Yazeed Ka…
Jise Kabhi “Amir Al-Mu’minin” Kaha Jaata Hai Aur Kabhi Us Ke Naam Ke Saath “RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu” Padha Aur Likha Jaata Hai. Kabhi Use Momin Aur Jannati Qaraar Diya Jaata Hai. Yeh Hai Woh Yazeed Yeh Hai Us Ka Deeni Kirdaar Yeh Hai Us Kee Jannati Sirat, Jo Bees Hazaar-20.000 Ka Lashkar Nawasa-E-Rasool Kee Shahadat Ke Baa’d Madine Ko Taakht-o-Taaraaj Karne Ke Liye Bhej Raha Hai Chunanche Mash’hoor Waaqe’a-E-Harrah Pesh Aaya Yazeedi Fauj Ne Madine Ke Lashkar Ka Muhaasarah Kar Liya Shahre Madinha Ka Gheraao Kar Liya Unhone Khandaq Se Apni Muhaafazat Kee Yeh Pathraao Karte Rahe Aur Na’re Buland Karte Rahe Ki Aao Ab Hum Badr Aur Uhad Ke Apne Maqtoolin Ka Badla Lene Ke Liye Aa Gaye Hain. Unhone Apne Ghode Ane Khacchar Apne Oont Apni Sawariya’n Huzoor Ke Rawda-E-At’har Aur Masjide Nabawi Ke Sutono’n Ke Saath Baandh Dee’n. Masjide Nabawi Weeraan Ho Gayi Us Kee Be Hurmati Hone Lagi Teen-03 Din Tak Mere Aaqa Kee Masjid Me Azaan Mu’attal Rahi, Namazein Mu’attal Ho Gayi’n Aur Teen Din Tak Qatle Aam Jaari Raha.
Aap Wafa’-ul-Wafa Li-Ibn Kathir Aur Tarikh-ul-Khulafa’ Jaisi Mu’tabar Tawarikh Wa Siyar Uthaa Kar Dekhein Tab Aap Ko Pata Chalega Ki Yazeedi Lashkar Ne Madinah Tayyibah Par Kya Qiyamat Dhaa’i. Sahaba-E-Kiram, Sahabiyat, Tabi’iyn Aur Tab’a Tabi’iyn Me Se Taqriban Das Hazaar-10.000 Muqaddas Hastiyo’n Ko Be Daregh Tegh Kiya. Khawaatin Kee Behurmati Kee, Aur Awaam Par Be Panaah Tashaddud Rawa Rakkha. Umm-il-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Isi Mauqa Par Shaheed Huwin Aur Huzoor Ke Sahabi Aboo Sa’iyd Khudri Jo Naabina Ho Gaye They Un Kee Daadhi Mubarak Sufed Thi Huzoor Ke Deedaar Kee Talab Le Kar Madinah Me Masjide Nabawi Kee Taraf Aa Rahe They Ki Yazeedi Lashkar Ne Puchha Baaba Too Koun Hai? Woh Kehne Lage Mein Aaqa-E-Do-Jaha’n Ka Sahabi Hoo’n, Aboo Sa’iyd Khudri Mera Naam Hai, Un Zaalimo’n Ne Un Kee Daadhi Mubarak Pakad Kar Tamaanche Maare Aur Waapas Ghar Bhej Diya.
Teen Din Tak Masjide Nabawi Kee Ibaadatein, Namazein Jama’atein Mu’attal Rahi’n. Hazrat Aboo Sa’iyd Bin Musayyab Jalil-ul-Qadr Tabi’iy Farmate Hain Ki Mein Paagal Diwana Aur Majnoo’n Ban Kar Masjide Nabawi Me Huzoor Ke Rawda-E-At’har Me Mimbar Ke Qareeb Chhup Gaya. Pakda Bhi Gaya Lekin Majnoo’n Samajh Kar Chhod Diya Gaya. Mera Dil Gawaara Na Karta Tha Ki Us Kaifiyyat Me Apne Aaqa Ka Mazaar Chhod Kar Apne Ghar Jaau’n Teen Din Aur Teen Raatein Usi Mimbar Me Baitha Raha, Koi Azaan Kee Awaaz Masjid Me Na Uthti Thi Jama’at Ka Ihtimaam Na Tha, Kehte Hain Ki Rabbe Dhi-‘l-Jalaal Kee Izzat Kee Qasam! Namaz Ka Waqt Aata To Mujhe Rawda-E-Rasool Se Azaan Wa Takbeer Kee Aawaaz Aati Thi Aur Mein Rawda-E-Rasool Kee Azaan Ko Sun Kar Namazein Ada Karta Tha.
Yaha’n Apne Maqaasid Aur Naapaak Azaa’im Ko Poora Karne Ke Baa’d Woh Makkah Kee Taraf Laute Chun Ki Makkah Me Bhi Yazeed Ke Khilaaf Baghaawat Ho Chuki Thi Is Liye Unhone Zaroori Samjha Ki Ahle Makkah Ko Bhi Saza De’n.
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-64_66.]