Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Muslim Bin Uqbah Ka Anjaam

                   Isi Athna’ Me Yazeedi Lashkar Ka Sipah Saalaar Muslim Bin Uqbah Mar Gaya Jis Ne Madina-E-Paak Kee Khule Band Be Hurmati Kee Thi, Woh Madinah Tayyibah Jis Ke Liye Sahih Muslim Utha Ke Dekhiye Mere Aaqa Farmaate Hain Ki BeShak Jo Shakhs Mere Shahr Madinah Ke Logo’n Ko Ma’mooli Saa Bhi Khaufzadah Karega Allah Paak Use Yoo’n Khatm Kar Dega Jis Tarah Namak Paani Me Phighal Kar Khatm Ho Jaata Hai.

 

Doosri Hadith Hai : Jo Mere Madinhah Waalo’n Se Bura’i Ka Iraadah Karega Allah Paak Aur Firishte Qiyaamat Tak Us Par La’nat Karte Chale Jaaeinge. Yeh Ahadith Mubaraka Hain Ta’ajjub Hai Ki Shahre Madinah Me Rahne Waale Aik Badwi Ko Hiraasa’n Karne Waala To Khuda Kee La’nat Aur Dunya Wa Aakhirat Ke ‘Azaab Ka Mustahiq Thehre Aur Nawasa-E-Rasool Aur Poore Khanwda-E-Rasool Ko Kuchal Dene Waala Aur Un Kee Shahadat Par Fat’h Wa Nusrat Ke Jashn Manaane Waala Ba Dastoor Momin Rahe, Kam Az Kam Yeh Baat Hamaari Samajh Se Baalatar Hai. Madinah Par Hamla Karne Waala Yazeedi Lashkar Ka Sipah Saalaar Jab Mar Gaya, To Aik Aurat Ke Dil Me Khayaal Aaya Us Shakhs Ne Naa Qabile Mu’aafi Jurm Kiya Hai. Zara Us Ka Haal To Ma’loom Karna Chaahiye, Raushan Zameer Aur Imaandaar Aurat Thi. Us Roohaani Nazar Se Bahrah War Thi Jo Aalame Barzakh Ke Waaqe’at Ko Bhi Dekh Leti Thi Hai.

 

Chunanche Is Ne Aa Kar Qabr Khodi To Yeh Manzar Dekh Kar Hairaan Rah Gayi Ki Do Azdahe Us Kee Qabr Me Maujood Hain Aik Us Ke Sar Par Phunkaar Raha Hai Aur Doosra Taango’n Ke Saath Lipta Huwa Hai.

Qur’an Paak Ne Aise Mal’oono’n Ke Liye Pehle Hee Bata Diya Huwa Hai Ki ‘Azaab Un Ka Muqaddar Hai.

لَعَنَهُمُ اللَّهُ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ وَأَعَدَّ لَهُمْ عَذَابًا مُهِينًا ۝

[Al-Ahzab : 57.]

“Dunya Wa Aakhirat Me Khuda Ne Un Par La’nat Farmaayi Hai Aur Un Ke Liye Zillat Aamez ‘Azaab Tayyar Kiya Huwa Hai.”

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-66.]