Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Yazeed Ka Ibratnaak Anjaam

                   Yazeediyo’n Ne Makkah Mukarramah Kee Taraf Pesh Qadam Kee, Waha’n Pahunch Kar Muhaasarah Kar Liya Phir Un Harkaat Ka Aaghaaz Huwa Jin Ka Aik Musalman Taasawwur Bhi Nahin Kar Sakta. Do-02 Mahine Tak Harame Makkah Kee Be Hurmati Kee Gayi, Khana-E-Ka’ba Ke Ghilaaf Ko Aag Se Jala Diya Gaya. Khana-E-Ka’ba Par Yazeedi Lashkar Ne Pathraao Kiya Us Kee Chhat Ud Gayi. Khana-E-Ka’ba Kee Imaarat Shikashta Ho Gayi, Makkah Ke Logo’n Ko Shaheed Kiya Gaya. Usi Athna’ Me Jab Makkah Me Ka’ba Sharif Par Aag Barsaa’i Jaa Rahi Thi Aur Pathraao Kiya Jaa Raha Tha Ayn Usi Waqt Ittila’ Aa Gayi Ki Badbakht Aidiya’n Ragad Ragad Kar Mar Gaya Hai. Jab Us Ke Hukm Se Makkah Mukarramah Par Aag Aur Patthar Kee Baarish Kee Jaa Rahi Thi Woh Us Waqt Darde Qaulanj Me Mubtala Tha. Teen Din Tak Dard Se Tadapta Aur Bilbilaata Raha Aur Hukoomat Karne Kee Hasrat Dil Me Liye Waasile Jahannam Ho Gaya.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-67.]