Lashkare Yazeed Ne Muhaasarah Khatm Kar Diya Aur Dimashq Kee Taraf Laut Gaya Zulm-o-Sitam Aur Jor-o-Barbariyyat Ka Aik Daur Khatm Ho Gaya, Fisq-o-Fuzoor Zulm-o-Jabar Tabaahi-o-Barbaadi Aur Mubaahaat Ka Jo Toofaan, Yazeed Kee Sarkardagi Me Badi Tezi Se Utha Aur Har Qadre Insaani Ko Paamaal Karta Huwa Aage Badh Raha Tha Wahi’n Ruk Gaya. Aur Yazeed Ke Marte Hee Har Taraf Sukoon Chha Gaya Yazeed Ko Us Ke A’amaal Kee Qabaahato’n Samet Qabr Me Dafn Kar Diya Gaya Woh Us Dunya Se Badnaami, La’na, Nafrat Aur Aag Ka Touq Gale Me Daal Kar Hamesha Ke Liye Rukhsat Ho Gaya. Us Ke Mazaalim Us Ke Saath Hee Chale Gaye. Aaj Koi Achchhe Alfaaz Me Use Yaad Karne Waale Nahin, Har Koi Us Par La’nat Bhejta Hai Aur Gaaliya’n Deta Hai.
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-67.]