TEESRA
KHITAAB
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
إِنَّ الَّذِينَ يُؤْذُونَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ لَعَنَهُمُ اللَّهُ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ وَأَعَدَّ لَهُمْ عَذَابًا مُهِينًا
Hazaraate Giraami! Guzishta Jumu’at-ul-Mubarak Ke Khitaab Me Hum Ne Waaqe’a-E-Karbala Sayyidina Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Shahadat Tak Bayaan Kiya Tha Yeh Baat Dhihn Nasheen Rahe Ki Jin Bar Guzeedah Hastiyo’n Ka Zikr Guzishta Khitaab Me Huwa Hai Saaf Zaahir Hai Sirf Wohi Shuhda-E-Karbala Nahin Balki Un Ke Ilaawah Bhi Bahut Hee Bar Guzeedah Aur Naamwar Shakhsiyyaat Islaam Kee Hifaazat Wa Nigahdaasht Ke Us Ma’rake Me Shaheed Huwi Hain. Jin Me Fardan Fardan Har Kisi Ka Zikr Karna Waqt Kee Kami Ke Peshe Nazar Mumkin Nahin Hai.
Hazrat Hurr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Tawbah
Un Me Se Hazrat Hurr Bhi Hain Aur Yeh Woh Khushnaseeb Hain, Jinhone Ma’reka-E-Karbala Ke Dauraan Allah Ke Fadl-o-Karam Se Apna Muqaddar Badalne Kee Sa’aadat Haasil Kee, Yeh Yazeedi Lashkar Ke Aik Sipah Saalaar They Aur Sayyidina Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Madde Muaqaabil Logo’n Me Se They, Lekin Ware Athna Woh Apni Sawaari Le Kar Dauraane Jang Imam Ali Maqam Ke Saamne Aaye Aur Puchha Ki Aye Imame Aali Maqam ! Mein Aap Ko Is Jagah Laane Ka Qusoorwaar Aur Gunahgaar Hoo’n, Lekin Ab Taa’ib Ho Kar Aap Ke Qadmo’n Par Apni Jaan Nichhaawar Karna Chaahta Hoo’n To Kya Itna Bada Gunaah Karne Ke Baa’d Bhi Mere Liye Bakhshish Ka Koi Imkaan Hai ? Imame Aali Maqaam Ne Farmaya : Tawbah Ka Darwazah Khula Hai, Ab Bhi Agar Too Baatil Parasti Aur Zulm-o-Sitam Ka Saath Dene Se Baaz Aa Jaae Aur Raahe Haque Ikhtiyaar Kar Le To Aatishe Dozakh Se Najaat Haasil Kar Sakta Hai, Aur Daa’imi ‘Azaab Se Aazaad Ho Sakta Hai. Hazrat Hurr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Jab Yeh Suna To Yazeedi Lashkar Ka Saath Chhod Kar Imam Paak Ke Saathiyo’n Me Shaamil Ho Gaye.
Nikal Kar Lashkare A’adaa’ Se Maara Hurr Ne Yeh Na’rah
Ki Dekho’n Yu’n Nikalte Hain Jahannam Se Khuda Waale
Ahl-E-Bayte Kiram Salam Allah ‘Alayhim Ke Saath Apni Wafadari Ka Suboot Faraaham Karte Huwe Maidaane Karbala Me Jaame Shahadat Nosh Kiya.
Is Qism Kee Naamwar Shaksiyaat Kee Shahadat Kee Tafseelaat Bahut Ziyaada Hain Hum Un Se Gurez Karte Huwe Nafse Mazmoon Kee Taraf Aa Rahe Hain Aur Jo Aayate Karimah Tilawat Kee Hai Us Kee Raushni Me Maidane Karbala Me Pesh Aane Waale Waaqe’at Ka Tajziyah Karte Hain Taa Ki Jaan Sakein Ki Yeh Kitna Bada Saanihah Tha Aur Us Me Mulawwath Afraad Kis Qism Ke Ibrat Naak Anjaam Se Do Chaar Huwe, Mazkoorah Baala Aayate Karimah Ka Mafhoom Yeh Hai :
“BeShak Jo Log Khuda Ta’ala Aur Us Ke Rasool Ki Aziyyat Dete Hain. Khuda Ta’ala Dunya Aur Aakhirat Me Un Par La’nat Farmata Hai Aur Aise Logo’n Ke Liye Us Ne Zillat Aamez ‘Azaab Tayyar Kar Rakkha Hai.”
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-49_50.]