Chhati Fasl
Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ke Zari’e Deen Ko Phir Ghalaba Wa Istehkaam Nasib Hoga
١. عن ابي الطفيل عن محمد نبن الحنفية قال : کنا عند علي رضي الله عنه فسأله رجل عن المهدي فقال علي رضي الله عنه : هيهات ثم عقد بيده سبعا فقال : ذاک يخرج في آخر الزمان اذا قال الرجل اﷲ اﷲ قتل فيجمع اﷲ تعالٰي له قوما قزع کقزع السحاب يؤلف اﷲ قلوبهم لا يستوحشون الي احد ولا يفرحون باحد يدخل فيهم علي عدة اصحاب بدر لم يسبقهم الاولون ولا يدرکهم الاخرون و علي عدد اصحاب طالوت الذين جاوزوا معه النهر قال ابن الحنفية : اتريده قلت : نعم قال : انه يخرج من بين هذين الخشبتين قلت لا جرم واﷲ لا اديمهما حتي اموت فمات بها يعني بمکة حرسها اﷲ تعالٰي.
قال ابو عبداﷲ الحاکم : هذا حديث صحيح علي شرط الشيخين ووافقه الذهبي
01. Hazrat Aboo Al-Tufayl RadiyAllahu ‘Anhu Muhammad Bin Hanafiyyah Se Riwayat Karte Hain Ki Muhammad Bin Al-Hanafiyyah Ne Kaha Ki Woh Hazrat Ali RadiyAllahu ‘Anhu Kee Majlis Me Baithe They Ki Ek Shakhs Ne Un Se (Imam) Mahdi Ke Baare Me Poochha. To Hazrat Ali RadiyAllahu ‘Anhu Ne (Bar-Bina-e Lutf) Farmaya. Door Ho, Phir Haath Se Ishaara Karte Hu’e Irshaad Farmaya Ki Mahdi Ka Zahoor Aakhiri Zamaane Me Hoga (Aur Be-Deeni Ka Is Qadr Ghalaba Hoga Ki) Allah Ke Naam Lene Waale Ko Qatl Kar Diya Jaa’ega (Zahoore Mahdi Ke Waqt) Allah Ta’ala Ek Jama’at Ko Un Ke Paas Ikaththa Kar Dega, Jis Tarh Baadal Ke Mutafarriq Tukdo’n Ko Mujtama’ Kar Deta Hai Aur Un Me Yagaanagat-o Ulfat Paida Kar Dega. Yeh Na To Kisi Se Khauf-Zada Honge Aur Na Kisi Ke In’aam Ko Dekh Kar Khush Honge. (Matlab Yeh Hai Ki Un Ka Baahami Rabt-o Zabt Sab Ke Saath Yaksaa’n Hoga) Khalifa Mahdi Ke Paas Ikaththa Hone Waalo’n Kee Ta’daad As’haabe Badr(Ghazwa-e Badr Me Sharik Hone Waale Sahaba-e Kiram) Kee Ta’daad Ke Mutaabiq (Ya’ni 313) Hogi. Is Jama’at Ko Ek Aisi (Khaas) Fazeelat Haasil Hogi Jo Un Se Pehle Waalo’n Ko Haasil Hu’i Hai Na Ba’d Waalo’n Ko Haasil Hogi. Neez Is Jama’at Kee Ta’daad As’haabe Taaloot Kee Ta’daad Ke Baraabar Hogi. Jinhone Taaloot Ke Hamraah Nehre(Urdun) Ko Uboor Kiya Tha. Hazrat Aboo Al-Tufayl Kehte Hain Ki Muhammad Bin Al-Hanafiyyah Ne Majma’ Se Poochha Kya Tum Us Jama’at Me Sharik Hone Ka Iraada Aur Khaahish Rakhte Ho, Mein Ne Kaha Haa’n To Unhone (Ka’ba Sharif Ke) Do Sutoono’n Kee Jaanib Ishaara Karte Hu’e Farmaaya ki Khalifa Mahdi Kaa Zahoor Inhi’n Ke Darmiyaan Hoga. Is Par Hazrat Aboo Al-Tufayl Ne Farmaaya Ba-Khuda Mein Un Se Taa-Hayaat Juda Na Ho’unga. (Raawi-e Hadith Kehte Hain) Chunaanche Hazrat Aboo Al-Tufayl Kee Wafaat Makkah Mu’azzamah Hee Me Hu’i.
–
[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 596, Raqm : 8659,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 38_39.]
٢. عن علي الهلالي رضي الله عنه أن رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم قال لفاطمة : ’’يا فاطمة والذي بعثني بالحق إن منهما. يعني من الحسن والحسين. مهدي هذه الأمة، إذا صارت الدنيا هرجا و مرجا و تظاهرت الفتن و تقطعت السبل و أغار بعضهم علي بعض فلا کبير يرحم صغيراً ولا صغير يوقر کبيراً بعث اﷲ عند ذلک منهما من يفتح حصون الضلالة و قلوبا غلفا، يقوم بالدين في آخر الزمان کما قمت في أول الزمان، و يملأ الأرض عدلا کما ملئت جوراً‘‘.
02. Hazrat Ali Al-Hilali RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sayyidah Fatimat-uz-Zahra’ RadiyAllahu ‘Anha Se Irshaad Farmaaya “Ae Fatimah Qasam Hai Us Zaate Paak Kee Jis Ne Mujhe Haqq Ke Saath Mab’oos Farmaya Be-Shak In Dono’n Ya’ni Hasan Wa Husayn RadiyAllahu ‘Anhuma (Kee Aulaad) Me Se Is Ummat Ke Mahdi Paida Honge. Jab Dunya Fitna-o Fasaad Ka Shikaar Ho Jaa’egi Aur Fitno’n Ka Zahoor Hoga, Aur Raaaste Kat Jaa’enge Aur Log Ek Doosre Par Hamla Aawar Honge. Ko’i Bada Chhote Par Rahm Nahin Karega Aur Ko’i Chhota Bade Kee Izzat Nahin Karega To AllahRabbul Izzat Us Waqt In Dono’n (Hasan Wa Husayn Kee Aulaad) Me Se Ek Aise Shakhs Ko Bhejega Jo Gumraahi Ke Qal’o’n Ko Fateh Karenge Aur Band Dilo’n Ko Kholenge Is Ummat Ke Aakhiri Zamaane Me Deen Qaa’im Karenge Jis Tarh Mein Ne (Is Ummat Ke) Ibtedaa’i Zamaane Me Qaa’im Farmaaya Hai Aur Woh Zameen Ko Adal Se Bhar Denge Jis Tarh Pehle Woh Zulm Se Bhari Hogi.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 66, 67,
Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 03 : 57, Raqm : 2675,
Tabarani, Al-Mu’jam Al-Awsat, 06 : 328, Raqm : 6540,
Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 09 : 165,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 30_40.]
٣. عن أبي سعيد الخدري رضی الله عنه : سمعت رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يقول : ’’يخرج رجل من أهل بيتي يقول بسنتي، ينزل اﷲ له القطر من السماء، و تخرج له الأرض من برکتها، تملأ الأرض منه قسطا و عدلا کما ملئت جوراً و ظلماً، يعمل علي هذه الأمة سبع سنين، و ينزل بيت المقدس‘‘.
03. Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Unhone Farmaya Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Irshaad Farmate Hu’e Suna “Meri Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs Zaahir Honge Jo Meri Sunnat Kee Baat Karenge, Allah Rabbul Izzat Un Ke Li’e Aasmaan Se Baarish Barsaa’ega Aur Zameen Un Ke Li’e Apni Barkaat Nikaal Degi (Ya’ni Apne Khazaane Ugal Degi). Zameen Un Ke Zari’e Adal-o Insaaf Se Bhar Jaa’egi Jis Tarh Pehle Woh Zulm-o Sitam Se Bhari Hogi. Woh Is Ummat Par Saat Saal Tak Hukoomat Karenge Aur Bayt-il-Maqdis Me Nuzool Farma’enge.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 62,
Tabarani, Al-Mu’jam Al-Awsat, 02 : 15, Raqm : 1075,
Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 317,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 40_41.]
٤. عن ابي هريرة رضي الله عنه قال : ’’حدثني خليلي أبو القاسما قال : لا يقوم الساعة حتي يخرج عليهم رجل من أهل بيتي، فيضربهم حتي يرجعوا إلي الحق، قلت : و کم يملک؟ قال : خمساً و اثنين‘‘.
04. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Mujhe Mere Khalil Aboo Al-Qasim SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya “Qiyamat Us Waqt Tak Qaa’im Nahin Hogi Jab Tak Meri Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs Zaahir Na Honge Jo Logo’n Ka Muqaabala Karenge Hatta Ki Woh Haqq Kee Taraf Rujoo’ Kar Lenge.” Mein Ne Arz Kee. Woh Kitna Arsa Baadshaah Rahenge? Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya. Paanch Aur Do (Ya’ni Saat Saal).”
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 62,
Aboo Ya’la, Al-Musnad, 12 : 19, Raqm : 3335,
Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 315,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 41.]
٥. عن جابر رضي الله عنه عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال يکون في امتي خليفة يحثي المال في الناس حثيا لا يعده عدا ثم قال والذي نفسي بيده ليعودن.
رواه البزار و رجاله رجال الصحيح.
05. Hazrat Jabir RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya. Meri Ummat Me Ek Khalifa Hoga Jo Logo’n Ko Maal Labaalab Bhar-Bhar Kar Taqsim Karega. Shumaar Nahin Karega. (Ya’ni Sakhaawat Aur Dariya-Dili Kee Bina’ Par Shumaar Ki’e Baghair Kasrat Se Logo’n Me Atiyyaat Taqasim Karege) Aur Qasam Hai Us Zaate Paak Kee Jis Kee Qudrat Me Meri Jaan Hai, Bit-Tehqiq (Galaba-e Islam Ka Daur) Zaroor Lautega (Ya’ni Amre Islam Muzmahil Ho Jaane Ke Ba’d Un Ke Zamaana Me Phir Se Farog Haasil Kar Lega).
–
[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 501, Raqm : 8400,
Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 316,
Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 362, Raqm : 1055,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 41_42.]