Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Muqaddimah

Muqaddimah

           Aaj 18 Dhu-‘l-Hijjah Hai, Jis Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hijjat-ul-Wada’ Se Madinah Tayyibah Waapasi Ke Dauraan Ghadire Khum Ke Maqaam Par Qayam Farmaya Aur Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Hujoom Me Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Utha Kar E’laan Farmaya :

مَنْ کُنْتُ مَوْلَاهُ فَعَلِيٌّ مَوْلَاهُ.

“Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”

           Yeh E’lane Wilayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Tha, Jis Ka Itlaaq Qayamat Tak Jumla Ahle Iman Par Hota Hai Aur Jis Se Yeh Amr Qat’i Taur Par Saabit Hata Hai Ki Jo Wilayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Munkar Hai Woh Wilayate Mohammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Munakr Hai. Is Aajiz Ne Mehsoos Kiya Ki Is

           Mas’ala Par Ba’z Log Ba-Waj’he Jahaalat Mutaraddid Rehte Hain Aur Ba’z Log Ba-Waj’he Inaad-o Ta’assub. So Yeh Taraddud Aur Inkaare Ummat Me Tafreqa Wa Intishaar Me Izaafa Ka Baa’is Ban Raha Hai. In Halaat Mein Ne Zaroori Samjha Ki Mas’ala-e-Wilayat Wa Imamat Par Do² Risaale Taalif Karoo’n : Ek Ba-Unwan السيف الجلى على منكر وﻻية على KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim ” Aur Doosra Ba-Unwan القول المعتبر فى الإمام المنتظر . Pehle Risaale Ke Zari’e Faatehe Wilayat Hazrat Imama ‘Ali ‘Alayh-is-Salam Ke Maqaam Ko Waazeh Karoo’n Aur Doosre Ke Zari’e Khatime Wilayat Hazrat Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Bayan Karoo’n Taa  Ki Jumla Shub’haat Ka Ijaala Ho Aur Yeh Haqiqat Khawaas-o Awaam Sab Tak Pahonch Sake Ki Wilayate ’Ali ‘Alayh-is-Salam Aur Wliayate Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ahle Sunnat Wa Jama’at Kee Mo’tabar Kutube Hadith Me Riwayate Mutwatirah Se Saabit Hai. Mein Ne Pehle Risale Me Hadithe Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ikyawan-51 Riwayat Poori Tehqiq-o Takhrij Ke Saath Darj Kee Hain. Is Adad Kee Waj’h Yeh Hai Ki  Mein Ne Imasaal Apni Umr Ke 51 Baras Mukammal Ki’e Hain, Is Li’e Husoole Barkat Aur Iktisaabe Khair Ke Li’e Aajizaan Taur Par Adadi Nisbat Ka Wasila Ikhtiyar Kiya Hai Taa Ki Bargahe ’Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Me Is Haqir Ka Nazaraana Sharafe Qubooliyyat Paa Sake. (Aameen)

           Ab Is Muqaddimah Me Yeh Nuktah Waazeh Karna Chaahta  Hoo’n Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zaate Muqaddasa Se Teen³ Tarh Kee Wirashate’n Jaari Hu’i :

۞ Khilaafate Baatini Kee Roohaani Wiraashat

۞ Khilaafate Zaahiri Kee Siyaasi Wiraashat

۞ Khilaafate Deeni Kee Umoomi Wiraashat

۞ Khilafate Baatini Kee Roohani Wirashat Ahle Bayte At’har Ke Nufoose Tayyibah Ko Ata Hu’i.

۞Khilafate Zaahiri Kee Siyaasi Wirashat Khulfa-e-Rashideen Kee Zawaat Muqaddasa Ko Ata Hu’i.

۞ Khilafate Deeni Kee Umoomi Wirashat Baqiyyah Sahaba Wa Tabe’in Ko Ata Hu’i.

           Khilafate Baatini Niyaabate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Woh Sar-Chasma Hai Jis Se Na Sirf Deene Islam Ke Roohani Kamalaat Aur Baatini Fuyoozaat Kee Hifazat Hu’i Balki Is Ummat Me Wilayat-o Qutbiyyat Aur Muslihiyyat-o Mujaddidiyyat Ke Chasme Phoote Aur Ummat Isi Waaste Se Roohaniyyate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Faizyaab Hu’i. Khilafate Zaahiri Niyaabate Muhaamadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Woh Sar-Chasma Hai Jis Se Galbae Deene Haqq Aur Nafaaze Islam Kee Amali Surat Wujood Me Aa’i Aur Deene Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Tamakkun Aur Zameeni Iqtedaar Ka Silsila Qaayam Huwa. Isi Waaste Se Tarikhe Islam Me Mukhtalif Riyasate’n Aur Saltanate’n Qaayam Hu’e Aur Shari’ate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Nizame Aalam Ke Taur Par Dunya Me Amalan Muta’arif Hu’i.

           Khilafate Umoomi Niyaabate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Woh Sar-Chasma Hai Jis Se Ummat Me Taalimate Islam Ka Farog Aur Aamale Saaleha Ka Tahaqquq Wujood Me Aaya. Is Waaste Se Afrade Ummat Me Na Sirf Ilm-o Taqwa Kee Hifazat Hu’i Balki Akhlaaqe Islami Kee Umoomi Tarweej-o Ishaa’at Jaari Rahi Goya:

Pehli Qism : Khilafate Wilayat Qaraar Paa’i

Doosri Qism : Khilafate Saltanat Qaraar Paa’i

Teesri Qism : Khilafate Hidayat Qaraar Paa’i

           Is Taqseeme Wirasate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mazmoon Ko Shah Wali-Allah Muhaddith Dihlawi Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne In Alfaz Ke Sath Bayan Farmaya  Hai:

پس وراث آنحضرت هم بسه قسم منقسم اند فوراثه الذين أخذوا الحکمة والعصمة والقطبية الباطينة، هم أهل بيته و خاصته و وراثه الذين أخذوا الحفظ و التلقين و القطبية الظاهرة الإرشادية، هم أصحابه الکبار کالخلفاء الأربعة و سائر العشرة، و وراثه الذين أخذوا العنايات الجزئية و التقوي و العلم، هم أصحابه الذين لحقوا بإحسان کأنس و أبي هريرة و غيرهم من المتأخرين، فهذه ثلاثة مراتب متفرعة من کمال خاتم الرسل صلی الله عليه وآله وسلم.

           “Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Wirasat Ke Hamilin Teen Tarh Kee Hain : Ek Woh Jinhone Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hikmat-o Ismat Aur Qutbiyyate Baatini Ka Faiz Haasil Kiya, Woh Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ahle Bayt Aur Khawaas Hain. Doosra Tabqa Woh Hai Jinhone Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hifz-o Talqeen Aur Rushd-o-Hidayat Se Muttasaf Qutbiyyat-e-Zaahiri Ka Faiz Haasil Kiya, Woh Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kibaar Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Jaise Khulfa Aur Ashrah Mubashharah Hain. Teesra Tabqa Woh Hai Jinhone Inferaadi Inaayaat Aur Ilm-o-Taqwa Ka Faiz Haasil Kiya, Yeh Woh As’hab Hain Jo Ehsaan Ke Wasf Se Muttasaf Ho Ga’e, Jaise Hazrat Anas RadiyAllahu ‘Anhu Aur Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Aur Un Ke Ilawah Deegar Muta’akkhirin. Yeh Teeno’n Madarij Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kamaal Khatime Risaalat Se Jaari Hu’e.”


[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 02 : 08.]

           Waajeh Rahe Ki Yeh Taqsim Galba-e-Haal Aur Khusoosi Imtiyaj Kee Nishandehi Ke Li’e Hai, Warna Har Seh Aqsam Me Se Ko’i Bhi Doosri Qism Ke Khawaas Wa Kamaalaat Se Kulliyatan Khaali Nahin Hain,  Un Me Se Har Ek Ko Doosri Qism Ke Ko’i Na Ko’i Nisbat Ya Ishteraaq Haasil Hai :

۞ Saltanat Me Sayyidina Siddiqe Akbar RadiyAllahu ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khalifa Bila-Fasl Ya’ni Baraahe Raast Naa’ib Hu’e.

۞ Wilaaayat Me Sayyidina ‘Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khalifa Bila-Fasl Ya’ni Baraahe Raast Naa’ib Hu’e.

۞ Hidayat Me Jumla Sahaba-e-Kiram RadiyAllahu ‘Anhum Ajma’iyn Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khulafa’ Bila-Fasl Ya’ni Baraahe Raast Naa’ib Hu’e.

           Is Ka Matlab Yeh Huwa Ki Khatme Naubuwwat Ke Ba’d Faizaane Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Daa’imi Tasalsul Ke Li’e Musataqal Mutaale’ Qaa’im Ho Ga’e :

۞Ek Matla’ Siyaasi Wirasat Ke Li’e

۞ Doosra Matla’ Roohani Wirasat Ke Li’e

۞Teesra Matla’ Ilmi Wa Amali Wirasat Ke Li’e

۞ Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Siyaasi Wiraasat, Khlfaate Raashidah Ke Naam Se Mawsoom Hu’i.

۞ Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Roohaani Wiraasat, Wilayat Wa Imaamat Ke Naam Se Mawsoom Hu’i.

۞ Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ilmi Wa Amali Wiraasat, Hidaayat Wa Diyaanat Ke Naam Se Mawsoom Hu’i.

           Lehaaza Siyaasi Wiraasat Ke Farde Awwal Hazrat Aboo Bakr Siddiqe RadiyAllahu ‘Anhu Hu’e, Roohani Wirasat Ke Farde Awwal Hazrat ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hu’e Aur Ilmi Wa Amali Wirasat Ke Awwalin Haamilin Jumla Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Hu’e. So Yeh Sab Waarisin Wa Haamilin Apne-Apne Daa’era Me Bila Fasl Khulafa’ Hu’e, Ek Ka Doosre Ke Saath Ko’i Tazaad Yaa Ta’aaruz Nahin Hai.

           Doosri Aham Baat Yeh Hai Ki Un Manaasib Kee Haqiqat Bhi Ek Doosre Se Kai Umoor Me Mukhtalif Hain :

1.     Khilafate Zaahiri Deene Islam Ka Siyasi Mansab Hai.
Khilafate Baatini Khaalisatan Roohani Mansab Hai.

2.     Khilafate Zaahiri Intekhaabi Wa Shooraa’i Amr Hai.
Khilafate Baatini Mahaz Wa’hbi Wa Ijtebaa’i Amr Hai.

3.     Khalifa-e-Zaahiri Ka Taqarrur Awaam Ke Chunaaw Se Amal Me Aata Hai.
Khalifa-e-Baatini Ka Taqarrur Khuda Ke Chunaaw Se Amal Me Aata Hai.

4.     Khalifa-e-Zaahiri Muntakhab Hota Hai.
Khalifa-e-Baatini Muntajab Hota Hai.

5.     Yahi Waj’h Hai Ki Pehle Khalifa-e-Raaashid Sayyidina Siddiqe Akbar RadiyAllahu ‘Anhu Ka Intekhaab Hazrate ’Umar Farooqe RadiyAllahu ‘Anhu Kee Tajweez Aur Raa’e Aamma Kee Aksariyati Taa’id Se Amal Me Aaya, Magar Pehle Imaame Wilayat Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Intekhab Me Kisi Kee Tajweez Matloob Hu’i Na Kisi Kee Taa’id.

6.     Khilafat Me ‘Jamhooriyyat’ Matloob Thi, Is Li’e Huzzor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Ka E’laan Nahin Farmaya. Wilayat Me ‘Maamoriyyat’ Maqsood Thi, Is Li’e Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Waadi-e-Ghadire Khum Ke Maqam Par Is Ka E’laan Farma Diya.

7.     Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ummat Ke Li’e Khalifa Ka Intekhaab Awaam Kee Marzi Par Chhod Diya, Magar Wali Ka Intekhaab Allah Kee Marzi Se Khud Farmaya.

8.     Khilafat Zameeni Nizam Ke Sanwaarne Ke Li’e Qaa’im Hoti Hai.
Wilaayat Use Aasmaani Nizaam Ke Husn Se Nikhaarne Ke Li’e Qaa’im Hoti Hai.

9.     Khilafat Afraad Ko Aadil Banati Hai.
Wilayat Afraad Ko Kaamil Banaati Hai.

10.   Khilafat Ka Daa’iarah Farsh Tak Hai.
Wilayat Ka Daa’irah Arsh Tak Hai.

11.   Khilafat Takht Nasheeni Ke Baghair Mo’assir Nahin Hoti.
Wilayat Takht-o Saltanat Ke Baghair Bhi Mo’assir Hai.

12.   Ghaaliban Yahi Waj’h Hai Ki Khilafat Ummat Ke Supurd Hu’i.
Wilayat Itrat Ke Supurd Hu’i.

           Lehaaza Khilafat Se Mafarr Hai Na Wilayat Se, Kyun Ki Hazrat Sayyidina Aboo Bakr Siddiqe RadiyAllahu ‘Anhu Kee Khilaafat Bila-Fasl Ijma’-e-Sahaba Se Mun’aqid Hu’i Aur Tarikh Kee Shahdate Qat’i Se Saabit Hu’i Aur Hazrat Mawla ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Wilayat Bila-Fasl Khud Farmaane Mustafa SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mun’aqid Hu’i Aur Ahadithe Mutawaatirah Kee Shahadate Qat’i Se Saabit Hu’i. Khilafat Ka Suboot Ijma’-e-Sahaba Hain Aur Wilayat Ka Suboot Farmaane Mustafa SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam. Jo Khilafat Ka Inkaar Karta Hai Woh Taarikh Aur Ijtema’ Ka Inkaar Karta Hai Aur Jo Imamat Aur Wilayat Ka Inkaar Karta Hai Woh E’laane Mustafa SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Inkaar Karta Hai. Zaroorat Is Amr Kee Hai Ki Dono’n institutions Kee Haqiqat Ko Samajh Kar Un Me Tatbeeq Paida Kee Jaa’e Naa Ki Tafreeq.

           Jaan Lena Chaahi’e Ki Jis Tarh Khilafate Zaahiri, Khulafa-e-Rashideen Se Shuru’ Hu’i Aur Us Ka Faiz Hasbe Haal Ummat Ke Saaleh Hukkaam Aur Aadil Umara’ Ko Muntaqil Hota Chala Gaya, Usi Tarh Khilafate Baatini Bhi Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Shuru’ Hu’i Aur Us Ka Faiz Hasbe Haal A’imma-e-At’hare Ahle Bayt Aur Ummat Ke Awliya’-e-Kaamilin Ko Muntaqil Hota Chala Gaya. Huzoor Faateh-o Khaatim SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne….. من كنت مولاه فهذا علي مولاه (Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Yeh ‘Ali Mawla Hai)…. Aur…. علي وليكم من بعدي (Mere Ba’d Tumhaara Wali ‘Ali Hai)…. Ke E’laane Aam Ke Zari’e Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Ummat Me Wilayat Ka Faatehe Awwal Qaraar De Diya.

           Baabe Wilaayat Me Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi Rahmatullahi Ta’ala Alayh Ke Alfaz Mulaahaza Ho’n :

۔    1. و فاتحِ اوّل ازین اُمت مرحومہ حضرت علی مرتضی است کرم اﷲ تعالیٰ وجھہ۔

           “Is Ummate Marhooma Me (Faatehe Awwal) Wilayat Ka Darwaza Sab Se Pehle Kholne Waale Fard Hazrat ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain.”

[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 01 : 103]

۔     2. و سرِ حضرت امیر کرم اﷲ وجھہ در اولادِ کرام ایشان رضی اللہ عنہم سرایت کرد۔

            “Hazrat Amir KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Raaze Wilayat Aap Kee  Aulaade Kiram RadiyAllahu ‘Anhu Me Saraayat Kar Gaya.”

[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 01 : 103]

۔ 3. چنانکہ کسی از اولیاء امت نیست الا بخاندانِ حضرت مرتضیٰ رضی اللہ عنہ مرتبط است بوجہی از وجوہ۔

           “Chunaanche Awliya’-e-Ummat Me Se Ek Bhi Aisa Nahin Jo Kisi Na Kisi Tauur Par Hazrat ‘Ali KarramAllahu      Ta’ala       Waj’hah-ul-Karim         Ke Khaandaani Imamat Se (Iqtisaabe Wilaayat Ke Li’e) Wabasta Na Ho.”

[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 01 : 104]

 ۔4.  و از اُمتِ آنحضرت صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم اوّل کسیکہ فاتحِ بابِ جذب شدہ است، و دراں جا قدم نہادہ است حضرت امیر المؤمنین علی کرم اﷲ وجھہ، و لہٰذا سلاسلِ طُرُق بداں جانب راجع میشوند۔

           “Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ummat Me Pehla Fard Jo Wilaayat Ke (Sab Se A’la Wa Aqwa Tareeq) Baabe Jazb Ka Faateh Bana Aur Jis Ne Is Maqame Bulandi Par (Pehla) Qadam Rakkha Woh Amir-ul-Mu’minin Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Zaate Giraami Hai, Isi Waj’h Se Roohaaniyyat Wa Wilayat Ke Mukhtalif Tareeqo’n Ke Salaasil Aap Hee Kee Taraf Rujoo’ Karte Hain”

[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Hama’at, Safha-60.]

5.     Yahi Waj’h Hai Ki Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi Likhte Hain :

           “Ab Ummat Me Jise Bhi Bargaahe Risaalat SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Faize Wilayat Nasib Hota Hai Woh Ya To Nisbate ’Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se  Nasib  Hota  Hai   Ya  Nisbate  Ghawth-ul-A’azam Jeelani RadiyAllahu ‘Anhu Se, Is Ke Baghair Ko’i Bhi Shakhs Martaba-e-Wilaayat Par Faa’iz Nahin Ho Sakta.”

[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Hama’at, Safha-62.]

           Wazeh Rahe Ki Nisbate Ghawth-ul-‘Azam Jilani RadiyAllahu ‘Anhu Bhi Nisbate ‘Aliyy-ul-Murtaza Hee Ka Ek Baab Aur Isi Sham’a Kee Ek Kiran Hai.

6.     Is Nuqte Ko Shah Ismail Dehlwi Ne Bhi Ba-Saraahat Yu’n Likha Hai :

           “Hazrat ‘Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Li’e Shaykhayn Par Bhi Ek Guna Fazilat Saabit Hai Aur Woh Fazilat Aap Ke Farmabardaaro’n Ka Ziyadah Hona Aur Maqamaate Wilaayat Balki Qutbiyyat Aur Ghauthiyyat Aur Abdaaliyyat Aur Inhi Jaise Baaqi Khidmaat “Aap Ke Zamaane Se Le Kar Dunya Ke Khatm Hone Tak” Aap Hee Kee Wasaatat Se Hona Hai Aur Badshaho’n Kee Badshahat Aur Amiro’n Kee Imaarat Me Aap Ko Woh Dakhl Hai Jo Aalame Malakoot Kee Sair Karne Waalo’n Par Makhfi Nahin. …….. Ahle Wilayat Ke Aksar Silsile Bhi Janaabe Murtaza RadiyAllahu ‘Anhu Hee Kee Taraf Mansoob Hain, Pas Qiyaamat Ke Din Bohat Farmabardaro’n Kee Waj’h Se Jin Me Aksar Badi-Badi Shaano’n Waale Aur Umda Martabe Waale Honge, Hazrate Murtaza RadiyAllahu ‘Anhu Ka Lashkar Is Rounaq Aur Buzurgi Se Dikhaa’i Dega Ki Us Maqaam Ka Tamasha Dekhne Waalo’n Ke Li’e Yeh Amr Nihaayat Hee Ta’ajjub Ka Baa’is Hoga”

[Shah Isma’il Dehlwi, Sirati Mustaqim, 67.]

           Yeh Faize Wilaayat Ki Ummate Muhaamadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Jis Ke Manba’-o Sar-Chasma-e Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Muqarrar Hu’e Us Me Sayyida-e-Kaa’enat Hazrat Fatimat-uz-Zahra’ Salamu Allah  ‘Alayha Aur Hazrat Hasanayn Karimayn ‘Alayhim-us-Salam Bhi Aap RadiyAllahu ‘Anhu Ke Saath Shariq Ki’e Ga’e Hain, Aur Phir Un Kee Wasaatat Se Yeh Silsila-e-Wilayate Kubra Aur Ghauthiyyate Uzma Un Barah-12 A’imma-e-Ahle Bayt Me Tarteeb Se Chalaaya Gaya Jin Ke Aakhiri Fard Sayyidina Imaam Muhammad Mahdi ‘Alayh-is-Salam Hain. Jis Tarh Sayyidina Mawla ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ummate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Faatehe Wilaayat Ke Darje Par Faa’iz Hu’e, Usi Tarh  Sayyidina  Imaam  Mahdi  ‘Alayh-is-Salam  Ummate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Khaatime Wilaayat Ke Darje Par Faa’iz Honge.

7.     Is Mawzoo’ Par Hazrat Mujaddide Alfe Thani Shaykh Ahmad Sarhandi Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Kee Tehqiq Mulaahaza Farmaein :

و راہی است کہ بقربِ ولایت تعلق دارد : اقطاب و اوتاد و بدلا و نجباء و عامۂ اولیاء اﷲ، بہمین راہ واصل اندراہ سلوک عبارت ازین راہ است بلکہ جذبۂ متعارفہ، نیز داخل ہمین است و توسط و حیلولت درین راہ کائن است و پیشوای، و اصلان این راہ و سرگروہ اینھا و منبع فیض این بزرگواران : حضرت علی مرتضی است کرم اﷲ تعالے وجھہ الکریم، و این منصب عظیم الشان بایشان تعلق دارد درینمقام گوئیا ہر دو قدم مبارک آنسرور علیہ و علی آلہ الصلوۃ و السلام برفرق مبارک اوست کرم اﷲ تعالی وجھہ حضرت فاطمہ و حضرات حسنین رضی اللہ عنہم درینمقام با ایشان شریکند، انکارم کہ حضرت امیر قبل از نشاء ہ عنصرے نیز ملاذ این مقام بودہ اند، چنانچہ بعد از نشاءہ عنصرے و ہرکرا فیض و ہدایت ازین راہ میر سید بتوسط ایشان میر سید چہ ایشان نزد ن۔ قطہ منتھائے این راہ و مرکز این مقام بایشان تعلق دارد، و چون دورہ حضرت امیر تمام شُد این منصب عظیم القدر بحضرات حسنین ترتیبا مفوض و مسلم گشت، و بعد از ایشان بہریکے از ائمہ اثنا عشر علے الترتیب و التفصیل قرار گرفت و در اعصاراین بزرگواران و ہمچنیں بعد از ارتحال ایشان ہر کرا فیض و ہدایت میرسید بتوسط این بزرگواران بودہ و بحیلولۃ ایشانان ہرچند اقطاب و نجبای وقت بودہ باشند و ملاذ وملجاء ہمہ ایشان بودہ اند چہ اطراف را غیر از لحوق بمرکز چارہ نیست۔ 

           “Aur Ek Raah Woh Hai Jo Qurbe Wilaayat Se Ta’alluq Rakhti Hai : Aqtaab-o Awtaad Aur Badala Aur Nujaba’ Aur Aam Awliya’ Allah Isi Raah Se Waasil Hain, Aur Raahe Sulooq Isi Raah Se Ibaarat Hai, Balki Muta’arif Jazba Bhi Isi Me Daakhil Hai, Aur Is Raah Me Tawassut Saabit Hai Aur Is Raah Ke Waasileen Ke Peshwa Aur Un Ke Sardaar Aur Un Ke Buzurgo’n Ke Manba’-e-Faiz Hazrat ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain, Aur Yeh Azim-us-Shan Mansab Un Se Ta’alluq Rakhta Hai. Is Raah Me Goya RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Dono’n Qadame Mubarak Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Mubarak Sar Par Hain Aur Hazrat Fatiamh Salamu Allah  ‘Alayha Aur Hazrat Hasanayn Karimayn ‘Alayhim-us-Salam Is Maqaam Me Un Ke Saath Shariq Hain. Mein Yeh Samjhta Hoo’n Ki Hazrat Amir RadiyAllahu ‘Anhu Apni   Jasadi  Paida’ish  Se  Pehle  Bhi  Is  Maqam  Ke Malja-o Manba They, Jaisa Ki Aap RadiyAllahu ‘Anhu Jasadi Paida’ish Ke Ba’d Hain Aur Jise Bhi Faiz-o Hidaayat Is Raah Se Pahonchi Un Ke Zari’e Se Pahonchi, Kyun Ki Woh Is Raah Ke Aakhiri Nuqta Ke Nazdeek Hain Aur Is Maqaam Ka Markaz Un Se Ta’alluq Rakhta Hai, Aur Jab Hazrat Amir RadiyAllahu ‘Anhu Ka Daur Khatm Huwa To Yeh Azim-ul-Qadr Mansab Tarteebwaar Hazrat Hasanayn Karimayn RadiyAllahu ‘Anhuma Ko Supurd Huwa Aur Un Ke Ba’d Wohi Mansab A’imma-e-Ithna ‘Ashrah Me Se Har Ek Ko Tarteebwaar Aur Tafsil Se Tafweez Huwa, Aur Un Buzurgo’n Ke Zamane Me Aur Isi Tarh Un Ke Inteqaal Ke Ba’d Jis Kisi Ko Bhi Faiz-o-Hidayat Pahonchi Hai Unhi Buzurgo’n Ke Zari’e Pahonchi Hai, Agarche Aqtaab-o Nujba’-e-Waqt Hee Kyun Na Ho’n Aur Sab Ke Malja-o Maawa Yahi Buzurg Hain Kyun Ki Atraaf Ko Apne Markaz Ke Saath Ilhaaq Ki’e Baghair Chaarah Nahin Hai.”


[Imam Rabbani Mujaddide Alfe Thani, Maktoobat, 03 : 251, 252, Maktoob Number : 123.]

           Hazrat Mujaddide Alfe Thani Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Farmaate Hain Ki Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Bhi Kaare Wilayat Me Hazrat ‘Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Shariq Honge.

[Imam Rabbani Mujaddide Alfe Thani, Maktoobat, 03 : 251, 252, Maktoob Number : 123.]

           Khulasae Kalam Yeh Huwa Ki Maqaame Ghadire Khum Par Wilaayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Mazmoon Par Mushtamil E’laane Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Haqiqat Ko Abad Al-Aabaad Tak Ke Li’e Saabit Wa Zaahir Kar Diya Ki Wilayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Dar Haqiqat Wilaayate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hee Hai. Be’sate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ba’d Nubuwwat-o Risaalat Ka Baab Hamesha-Hamesha Ke Li’e Band Kar Diya Gaya, Lehaaza Ta-Qiyamat Faize Nubuwwate Muhaamadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ijara’ Wa Tasalsul Ke Li’e Baari Ta’ala Ne Ummat Me Naye Darwaaze Aur Raaste Khol Di’e Jin Me Kuchh Ko Martaba-e-Zaahir Se Nawaza Gaya Aur Kuchh Ko Martaba-e-Baatin Se. Martaba-e-Baatin Ka Haamil Raasta ‘Wilayat’ Qarar Paaya, Aur Ummate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Wilayate Uzma Ke Haamil Sab Se Pehle Imame Bar-Haqq Mawla ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Muqarrar Hu’e. Phir Wilayat Ka Silsila Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ki Ahle Bayt Aur Aale At’har Me A’imma-e-Ithna ‘Ashr(Barah Imamo’n) Me Jaari Kiya Gaya. Har-Chand In Ke Ilawaah Bhi Hazaaraha Nufoose Qudsiyya Har Zamaane Me Martaba-e-Wilayat Se Bahra-Yaab Hote Rahe, Qutbiyyat-o Ghauthiyyat Ke A’ala-o Arfa’ Maqamaat Par Faa’iz Hote Rahe, Ahle Jaha’n Ko Anwaare Wilaayat Se Munawwar Karte Rahe Aur Karodo’n Insano’n Ko Har Sadi Me Zulmat-o Dalaalat Se Nikaal Kar Noore Baatin Se Humkinaar Karte Rahe, Magar Un Sab Ka Faiz Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Baargaahe Wilayat Se Bil-Waasta Ya Bila-Waasta Maakhooz-o Mustafaad Tha. Wilaayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Ko’i Bhi Be-Niyaaz Aur Aazaad Na Tha. Yahi Silsila Qiyaamat Tak Jaari Rahega Taa’n Ki Ummate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Aakhiri Imaame Bar-Haqq Aur Markaze Wilaayat Ka Zahoor Hoga. Yeh Sayyidina Imam Muhammad Mahdi ‘Alayh-is-Salam Honge Jo Barahwe’n Imam Bhi Honge Aur Aakhiri Khalifa Bhi. Un Kee Zaate Aqdas Me Zaahir-o Baatin Ke Dono’n Raaste Jo Pehle Juda They Mujtama’ Kar Di’e Jaa’enge. Yeh Haamile Wilaayat Bhi Honge Aur Waarise Khilaafat Bhi, Wilayat Aur Khilaafat Ke Dono’n Martabe Un Par Khatm Kar Di’e Jaa’enge. So Jo Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Munkir Hoga Woh Deen Kee Zaahiri-o Baatini Dono’n Khilafato’n Ka Munkir Hoga.

           Yeh Mazhariyyate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Inteha Hogi, Is Li’e Un Ka Naam Bhi ‘Muhammad’ Hoga Aur Un Ka ‘Khalq’ Bhi Muhammadi (SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Hoga, Taa Ki Dunya Ko Ma’loom Ho Jaa’e Ki Yeh ‘Imaam’ Faizaane Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zaahir-o Baatin Dono’n Wirasato’n Ka Ameen Hai. Is Li’e Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jo Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Kee Takzeeb Karega Woh Kafir Ho Jaaega.”

           Us Waqt Rooe Zameen Ke Tamaam Awliya’ Ka Marje’ Aap ‘Alayh-is-Salam Honge Aur Ummate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Imaam Hone Ke Baa’is Sayyidina Isa ‘Alayh-is-Salam Bhi Aap ‘Alayh-is-Salam Kee Iqtida’ Me Namaaz Ada Farma’enge Aur Isi Tarh Ahle Jaha’n Me Aap ‘Alayh-is-Salam Kee Imamat Ka E’laan Farma’enge.

           So Ham Sab Ko Jaan Lena Chahi’e Ki Hazrat Mawla ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Hazrat Mahdi Alal Ard Wa’s-Sama’ ‘Alayh-is-Salam..…Baap Aur Beta Dono’n…..Allah Ke Wali Aur RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wasi Hain. Inhe’n Taslim Karna Har Saahibe Imaan Par Waajib Hai.

           Baari Ta’ala Hame’n In Azeem Manaabe’-e Wilayat Se Iktisaabe Faiz Kee Taufiq Marhamat Farmaein. (Aameen Bijaahi Sayyid-il-Mursaleen SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam)

      Yake Az Gulamane Ahle Bayt

      Muhammad Tahir-ul-Qadri 

18 Dhu-‘l-Hijjah, 1422 Hijri

[Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 07_18.]