Aathwi’n Fasl
Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Kee Wilaayat Wa Saltanat In’aamaate Ilhaahiyya Kee Kasrat Ke Lehaaz Se Adim-ul-Mithal Hogi
١. حدثنا عبداﷲ بن نمير ثنا موسي الجهني ثني عمر بن قيس الماصر ثني مجاهد ثني فلان رجل من اصحاب النبي صلي الله عليه وآله وسلم ان المهدي لا يخرج حتي تقتل النفس الزکية فاذا قتلت النفس الزکية غضب عليهم من في السماء ومن في الارض فاتي الناس المهدي فزفوه کما تزف العروس الي زوجها ليلة عرسها و هو يملأ الارض قسطا و عدلا ويخرج الارض نباتها و تمطر السماء مطرها وتنعم امتي في ولايته نعمة لم تنعمها قط.
01. Imam Mujahid (Mash’hoor Tabe’i) Ek Sahabi RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Unhone Kaha “Nafs Zakiyyah” Ke Qatl Ke Ba’d Hee Khalifa Mahdi Ka Zahoor Hoga. Jis Waqt Nafs Zakiyyah Qatl Kar Di’e Jaa’enge To Zameen-o Aasmaan Waale Un Qaatilin Par Ghazab-Naak Honge. Ba’d Azaa’n Log (Imam) Mahdi Ke Paas Aa’enge Aur Unhe’n Dulhan Kee Tarh Aaraasta Wa Pairaasta Karenge Aur (Imam) Mahdi Zameen Ko Adal-o Insaaaf Se Bhar Denge. (Un Ke Zamana-e Khilafat Me) Zameen Apni Paidawaar Ko Uga Degi Aur Aasmaan Khoob Barsega Aur Meri Ummat Par Un Kee Wilaayat Wa Saltanat Me Us Qadr Ne’mate’n Naazil Hongi Ki Utni Ne’mato’n Se Use Pehle Kabhi Nahin Nawaaza Gaya Hoga.
Zaroori Wazaahat: Ek Nafs Zakiyyah Muhammad Bin Abd Allah Bin Husayn Bin Ali Bin Abi Talib RadiyAllahu ‘Anhum Hain Jinhone Khalifa Mansoor Abbasi Ke Khilaaf 245 Hijri Me Khurooj Kiya Tha Aur Shahid Hu’e They. Hadithe Baala Me Mash’hood “Nafs Zakiyyah” Se Muraad Yeh Nahin Hain Balki Is Naam Ke Ek Aur Buzurg Honge Jo Zahoore Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ke Zamaana Se Qabl Honge.
–
[Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 514, Raqm : 37653,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 49_50.]
٢. عن ابي هريرة رضي الله عنه ان رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم قال يکون في امتي المهدي ان قصر فسبع والافثمان والافتسع تنعم امتي فيه نعمة لم ينعموا مثلها يرسل اﷲ السماء عليهم مدرارا ولا تدخر الارض بشئ من النبات و المال کدوس يقوم الرجل فيقول يا مهدي اعطني فيقول خذه.
02. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Meri Ummat Me (Imam) Mahdi Honge Jin Ka Zamaana Agar Kam Hu’a To Saat Saal Warna Aath Ya Nau Saal Hoga. Mahdi Ke Zamaane Me Meri Ummat Is Qadr Khush’haal Hogi Ki Aisi Khush’haali Use Kabhi Na Mili Hogi. Allah Rabb-ul-Izzat Aasmaan Se (Hasbe Zaroorat) Baarish Naazil Farma’ega Aur Zameen Apni Tamaam Paidawaar Ugaa Degi. Aur Maal Khalyaan Kee Tarh Pada Hoga. Ek Aadami Uth Kar Arz Karega: Ae Mahdi Mujhe Ata Farma’e’n To Aap Irshaad Farma’enge (Apni Marzi Ke Mutaabiq) Le Lo.
–
[Tabarani, Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05 : 311, Raqm : 5406,
Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 317,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 50.]
٣. عن علي رضي الله عنه قال : ’’قلت : يا رسول اﷲ أمنا آل محمد المهدي أم من غيرنا؟ فقال : لا، بل منا، يختم اﷲ به الدين کما فتح بنا، و بنا ينقذون من الفتنة کما أنقذوا من الشرک، وبنا يؤلف اﷲ بين قلوبهم بعد عداوة الفتنة کما ألف بين قلوبهم بعد عداوة الشرک، و بنا يصبحون بعد عداوة الفتنة إخوانا کما أصبحوا بعد عداوة الشرک إخواناً في دينهم‘‘
03. Hazrat Ali RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Aap Ne Farmaya: Mein Ne (Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me) Arz Kee: Ya RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Kya (Imam) Mahdi Ham Aale Muhammad Me Se Honge Ya Hamaare Ilaawa Kisi Aur Se? To Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaya: Nahin, Balki Woh Ham Hee Me Se Honge. Allah Rabb-ul-Izzat Un Par (Saltanate) Deen Usi Tarh Khatm Farma’ega Jaise Ham Se Aaghaaz Farmaya Hai Aur Hamaare Zari’e Hee Logo’n Ko Fitna Se Bachaaya Jaa’ega Jis Tarh Unhe’n Shirk Se Najaat Ata’ Farmaa’i Ga’i Hai Aur Hamaare Zari’e Hee Allah Un Ke Dilo’n Me Fitna Kee Adaawat Ke Ba’d Un Ke Dilo’n Me Mahabbat-o Ulfat Paida Farma’ega. Jis Tarh Allah Ne Shirk Kee Adaawat Ke Ba’d Un Ke Dilo’n Me (Hamaare Zari’e) Ulfat Paid Farmaa’i Aur Hamaare Zari’e Hee Fitna (Wa Fasaad) Kee Adawat Ke Ba’d Log Aapas Me Bhaa’i-Bhaa’i Ho Jaa’enge, Jis Tarh Woh Shirk Kee Adawat Ke Ba’d Is Deen Me Bhaa’i-Bhaa’i Ban Ga’e Hain.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 61,
Tabarani, Al-Mu’jam Al-Awsat, 01 : 56, Raqm : 157,
Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 370, Raqm : 1089,
Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 371, Raqm : 1090,
Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 371,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 50_51.]