Doosri Fasl
Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Daure Khilafat Aa’e Baghair Qiyamat Bapa Nahin Hogi
١. قال الامام الحافظ ابو عيسي محمد بن عيسي بن سورة الترمذي رحمة اﷲ تعالي في جامعه
حدثنا عبيد بن اسباط بن محمد ن القرشي نا ابي ناسفيان الثوري عن عاصم بن بهدلة عن زر عن عبداﷲ رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم لا تذهب الدنيا حتي يملک العرب رجل من اهل بيتي يواطي اسمه اسمي.
و في الباب عن علي و ابي سعيد و ام سلمة و ابي هريرة رضي الله عنه
01. Imam Hafiz Aboo Isa Muhammad Bin Isa Bin Sawrah Tirmidhi Rahmatullahi ‘Alayh Apni Kitab “Jami’ Tirmidhi” Me Farmate Hain:
Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Dunya Us Waqt Tak Khatm Na Hogi Yaha’n Tak Ki Mere Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs Arab Ka Baadshaah Ho Jaa’e Jis Ka Naam Mere Naam Ke Mutaabiq (Ya’ni Muhammad Hoga).
–
[Tirmidhi, Al-Jami Al-Sahih, 04 : 505, Raqm : 2230,
Bazzar, Al-Musnad, 05 : 204, Raqm : 1803,
Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 488, Raqm : 8364,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 22.]
٢. عن عبداﷲ رضي الله عنه عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال يلي رجل من اهل بيتي يواطي اسمه اسمي قال عاصم و حدثنا ابو صالح عن ابي هريرة رضي الله عنه لو لم يبق من الدنيا الا يوما لطول اﷲ ذالک اليوم حتي يلي. هذا حديث حسن صحيح
02. Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Mere Ahle Bayt Se Ek Shakhs Khalifa Hoga Jis Ka Naam Mere Naam Ke Muwaafiq Hoga. Hazray Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Ek Riwaayat Me Hai Ki Agar Dunya Ka Ek Hee Din Baaqi Reh Jaa’ega To Bhi Allah Ta’ala Usi Ek Din Ko Itna Daraaz Farma Dega Yaha’n Tak Ki Woh Shakhs (Ya’ni Mahdi ‘Alayh-is-Salam) Khalifa Ho Jaa’ega.
–
[Tirmidhi, Al-Jami Al-Sahih, 04 : 505, Raqm : 2231,
Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 01 : 376, Raqm : 3571,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 22_23.]
.٣. عن ام سلمة رضي اﷲ عنها قالت سمعت رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يقول المهدي من عترتي من ولد فاطمة
03. Ummi Al-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu ‘Anha Farmati Hain, Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmaate Hu’e Suna ki Mahdi Meri Nasl Aur Fatimah (RadiyAllahu ‘Anha) Kee Aulad Se Hoga.
–
[Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 107, Raqm : 4284,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 23.]
٤. عن ابي نضرة قال کنا عند جابر بن عبداﷲ رضي اﷲ عنهما فقال يوشک اهل الشام ان لا يجبي اليهم دينار ولا مدي قلنا من اين ذالک قال من قبل الروم ثم أسکت هنية ثم قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يکون في آخر امتي خليفة يحثي المال حثيا ولا يعده عدا قال قلت لابي نضرة و ابي العلاء أتريان انه عمر بن عبدالعزيز فقالا لا.
04. Aboo Nadrah Taabe’i Bayan Karte Hain Ki Hazrat Jabir Bin Abd Allah RadiyAllahu ‘Anhuma Kee Khidmat They Ki Unhone Farmaya: Qarib Hai Ki Woh Waqt Jab Ahle Shaam Ke Paas Na Dinaar Laa’e Ja Sakenge Aur Na Hee Ghalla, Ham Ne Poochha Yeh Bandish Kin Logo’n Kee Jaanib Se Hogi? Hazrat Jabir RadiyAllahu ‘Anhu Ne Farmaya: Roomiyo’n Kee Taraf Se. Phir Thodi Der Khaamosh Reh Kar Farmaya: RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Irshaaad Hai: Meri Ummat Ke Aakhiri Daur Me Ek Khalifa Hoga (Ya’ni Khalifa Mahdi) Jo Maal Labaalab Bhar-Bhar Ke Dega, Aur Use Shumaar Nahin Karega.
Is Hadith Ke Raawi Al-Jurayri Kehte Hain Ki Mein Ne (Apne Shaykh) Aboo Nadrah Aur Aboo Al-‘Ala’ Se Daryaaft Kiya. Kya Aap Hazaraat Kee Raa’e Me Hadithe Paak Me Mazkoora Khalifa Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz Hain? To Un Dono’n Hazaraat Ne Farmaaya: Nahin, Yeh Khalifa, Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz Ke Ilaawah Honge.
–
[Muslim, Al-Sahih, 04 : 2234, Raqm : 2913,
Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 03 : 317, Raqm : 1446,
Ibn Hibban, Al-Sahih, 15 : 75, Raqm : 6682,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 23_24.]
٥. عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم لا تقوم الساعة حتي تملأ الارض ظلما و جورا و عدوانا ثم يخرج من اهل بيتي من يملأها قسطا و عدلا.
قال ابو عبداﷲ رحمة اﷲ عليه صحيح علي شرطهما و وافقه الذهبي
05. Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Qiyamay Qaa’im Nahin Hogi Yaha’n Tak Ki Zameen Zulm-o Jor Aur Sarkashi Se Bhar Jaa’egi, Ba’d Aza’n Mere Ahle Bayt Se Ek Shakhs (Mahdi) Paida Hoga Jo Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Dega. (Matlab Yeh Hai Ki Khalifa-e Mahdi Ke Zahoor Se Pehle Qiyaamat Nahin Aa’egi).
–
[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 600, Raqm : 8669,
Haythami, Mawarid Al-Zam’an, 01 : 464, Raqm : 1880,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 24_25.]
٦. عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه قال قال رسولا المهدي منا اهل البيت اشم الأنف اقني اجلي يملأ الارض قسطا و عدلا کما ملئت جورا و ظلما يعيش هکذا و بسط يساره و اصبعين من يمينه المسبحة والابهام و عقد ثلاثة.
قال ابو عبداﷲ الحاکم صحيح علي شرط مسلم
06. Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Mahdi Meri Nasl Se Honge. Un Kee Naak Sutwaa’n Wa Buland Aur Peshaani Raushan Aur Nooraani Hogi. Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Denge Jis Tarh (Is Se Pehle Woh) Zulm-o Ziyaadati Se Bhar Ga’i Hogi Aur Ungliyo’n Par Shumaar Kar Ke Bataaya Ki (Woh Khilaafat Ke Ba’d) Saat Saal Tak Zinda Rahenge.
–
[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 600, Raqm : 8670,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 25.]
٧. عن علي رضي الله عنه عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال لو لم يبق من الدهر الا يوم لبعث اﷲ رجلا من اهل بيتي يملأ هاعدلا کما ملئت جورا.
رجال هذا السند کلهم رجال الصحاح الستة غير فطر فانه من رواة البخاري والأربعة خلا مسلم.
07. Hazrat Ali RadiyAllahu ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwaayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Agar Dunya Ka Sirf Ek Din Baaqi Reh Jaa’ega (To Allah Ta’ala Usi Ko Daraaz Farma Dega Aur) Mere Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs (Mahdi) Ko Paida Farma’ega. Jo Dunya Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Denge Jis Tarh Woh (Un Se Pehle) Zulm Se Bhari Hogi.
–
[Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 107, Raqm : 4283,
Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 513, Raqm : 37648,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 25_26.]