Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Aur Jibra’il عَلَيْهِ السَّلَام Ka Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Daad Dena

Fasl : 38

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Aur Jibra’il عَلَيْهِ السَّلَام Ka Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Daad Dena

 

125            “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Se Riwayat Karte Hain Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saamne Hasanayn Karimayn سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Kushti Lad Rahe They Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Farma Rahe They : Hasan Jaldi Karo. Sayyidah Fatimah عَلَيْهِمَا السَلَام Ne Kaha : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! Aap Sirf Hasan Ko Hee Aisa Kyun Farma Rahe Hain? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Jawaab Diya : Kyun Ki Jibra’il Amin Husayn Ko Jaldi Karne Ka Keh Kar Daad De Rahe They.”

[1-Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/171, Raqam-196,

2-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 02/77, Raqam-1726,

3-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 02/26,

4-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/134,

5-Ibn ‘Adi Fi Al-Kamil Fi Du’afa’-ir-Rijal, 05/18, Raqam-1191,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/111, Raqam-125.]

 

 

126            “Muhammad Bin Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saamne Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Kushti Lad Rahe They Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Farma Rahe They : Hasan Jaldi Karo. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Se Sayyidah Fatimah Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! Aap Hasan Kee Madad Farma Rahe Hain Lagta Hai Woh Aap Ko Husayn Se Ziyadah Pyaara Hai? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : (Nahin) Jibra’il Husayn Kee Madad Kar Rahe They Is Liye Mein Ne Chaaha Ki Hasan Kee Madad Karoo’n.”

[1-Haythami Fi Musnad Al-Harith, 02/910, Raqam-992,

2-Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/465,

3-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/134,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/111, 112, Raqam-126.]

 

 

127            “Hazrat Abd Allah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Mawjoodagi Me Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Aik Doosre Ko Pakadne Me Koshaa’n They Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Farmane Lage Hasan Jaldi Karo! Hasan Pakad Lo To Ummi-‘l-Mu’minin Aaishah Siddiqua رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Aap Chhote Ke Muqaabale Me Bade Kee Madad Farma Rahe Hain. Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : (Is Liye Ki) Jibra’il Amin (Pehle Se Hee) Husayn Ko Hausalah Dilaate Hu’e Pakad Lo, Pakad Lo Keh Rahe They.”

[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 13/223,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/112, Raqam-127.]