Blog

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 05

05.                   “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Apni Apni Qabro’n Me Hayaat Hain Aur Namaz Bhi Padhte Hain.”

          Is Hadith Ko Imam Aboo Ya’ala, Ibn Adi, Bayhaqi Aur Daylami Ne Thiqah Raawiyo’n Se Bayan Kiya Hai. Aur Imam Ibn Adi Ne Farmaya: Is Hadith Kee Sanad Me Koi Naqs Nahin Hai. Aur Imam Haythami Ne Bhi Farmaya: Imam Aboo Ya’la Ke Rijaal Thiqaat Hain. Aur Allama Shawkani Ne Farmaya: Ise Imam Bayhaqi Ne Sahih Qaraar Diya Hai Aur Hayaate Ambiya ‘Alayhim-us-Salam Par Unhone Ek Juz’an (Sahih Ahadith Kee Mukhtasar See Kitaab) Bhi Taalif Kee Hai. Isi Tarah Imam Zurqani Ne Bhi Farmaya Ki Imam Bayhaqi Ne Hayaate Ambiya ‘Alayhim-us-Salam Par Ek Nihaayat Lateef Kitaab Taalif Kee Hai Jis Me Unhone Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Marfoo’a Riwaayat Isnaade Sahih Ke Saath Bayaan Kee Hain.

                   “Imam Asqalani Fat’h-ul-Bari Me Bayan Karte Hain Ki Imam Bayhaqi Ne Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Apni Qabro’n Me Zinda Hone Ke Baare Me (Sahih Ahadith Par Mushtamil) Ek Khoobsoorat Kitab Likhee Hai Jis Me Unhone Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ki Yeh Hadith Bhi Waarid Kee Hai Ki Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Apni Qabro’n Me (Hayaate Zaahiri Kee Tarah Hee) Zinda Hote Hain Aur Salaat Bhi Ada Karte Hain. Yeh Hadith Unhone Yahya Bin Aboo Kathir Ke Tareeq Se Riwayat Kee Hai Aur Wo Sahih Hadith Ke Raawiyo’n Me Se Hain. Unhone Mustalim Bin Sa’iyd Se Riwayat Kee Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Bhi Unhen Thiqah Qaraar Diya Hai. Imam Ibn Hibban Ne Yeh Hadith Hajjaaj Aswad Se Riwayat Kee Hai Aur Wo Ibn Abi Ziyad Al-Basari Hain Aur Unhen Bhi Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Thiqah Qaraar Diya Hai. Imam Ibne Mu’iyn Ne Bhi Hazrat Thabit Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai. Imam Aboo Ya’la Ne Bhi Apni Musnad Me Isi Tareeq Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai Aur Imam Bazzar Ne Bhi Is Kee Takhreej Kee Hai Aur Imam Bayhaqi Ne Ise Sahih Qaraar Diya Hai.(01)

[Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/147, Raqm-3425,

Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 01/119, Raqm-403,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/487,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan, 02/175, 246, Raqm-787, 1033,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/211,

Suyoot Sharah Sunan An-Nasa’i, 04/110,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 06/19,

وقال:وألفت عن ذالك تأليفا سميته:انتباه الأذكياء بحياة الأنبياء،

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir,  03/184,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 05/178,،

Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 04/357,

(01) Dhakarahu Al-‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/487,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/17_20, Raqm-05.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 06

06.                   “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Shabe Me’raj) Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Par Pachaas Namazen Farz Kee To Main Un (Namazo’n) Ke Saath Waapas Aaaya Yaha’n Tak Ki Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Se Guzra To Unhone Sawaal Kiya: Allah Ta’ala Ne Aaap Kee Ummat Ke Liye Aap Par Kya Farz Kiya Hai? Main Ne Kaha: Allah Ta’ala Ne Pachaas Namazen Farz Kee Hain. Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf Waapas Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Is (Adaa’igi)Kee Taqat Nahin Rakhti. Pas Unhone Mujhe Waapas Lauta Diya. (Meri Darkhaast Par) Allah Ta’ala Ne Un Ka Ek Hissa Kam Kar Diya. Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Kee Taraf Waapas Gaya Aur Kaha Ki Allah Ta’ala Ne Ek Hissa Kam Kar Diya Hai. Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf (Phir) Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Me In Kee (Adaa’igi Kee)Taaqat Bhi Nahin Hai. Pas Main Waapas Gaya To Allah Ta’ala Ne Un Ka Ek Hissa Kam Kar Diya. Main Un Kee Taraf Aaya To Unhone Phir Kaha:  Apne Rabb Kee Taraf Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Me In Kee Adaa’igi Kee Taaqat Bhi Nahin Hai. Main Waapas Lauta To (Allah Ta’ala Ne) Farmaya: Ye (Hain To) JPaanch (Namazen) Hain Aur (Sawaab Kee I’tebaar Se) Pachaas (Ke Baraabar) Hain, Mere Haa’n Ahkaamaat Tabdeel Nahin Huwa Karte. Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Aaya To Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf Jaa’iye (Aur Mazeed Kami Ke Liye Darkhaast Kijiye) Main Ne Kaha:  Mujhe Ab Apne Rabb Se Haya Aati Hai. Phir (Jibra’il ‘Alayh-is-Salam) Mujhe Le Kar Chale Yaha’n Tak Ki Sidrat-il-Muntaha Par Pahonche Jise Mukhtalif Rango’n Ne Dhaanp Rakkha Tha, Nahin Ma’loom Ki Woh Kya Hain? Phir Mujhe Jannat Me Daakhil Kiya Gaya Jis Me Motiyo’n Ke Haar Hain Aur Us Kee Mitti Mushk(Kee Maanind Khushbudaar) Hai.”

          Yeh Hadith Muttafaque ‘Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/136, Raqm-342,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1217, Raqm-3164,

Muslim Fi As-Sahih, 01/148, Raqm-163,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/20_22, Raqm-06.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 07

07.                   “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoot Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Shabe Me’raaj Meri Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Se Mulaaqaat Hu’i. Raawi Bayaan Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ka Wasf Yoo’n Bayaan Farmaya: Woh Duble Patle, Daraaz Qad, Ghunghriyaale Baalo’n Waale Aise Aadami Hain Jaise Qabila’e Shanoo’ah Ke Log. Aap  SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Meri Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Se Bhi Mulaaqaat Hu’i. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Ka Hulya Bayaan Farmaya Ki Yeh Darmiyaana Qad, Surkh Rang Waale (Aur Aise Tar-o Taaza Hain) Goya Abhi Hamaam Se (Naha Kar) Nikle Hain Aur Main Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Se Bhi Mila Aur Main Un Kee Saari Aulaad Me Sab Se Ziyaada Un Se Mushaabeh Hoo’n.”

          Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1269, Raqm-3254,

Muslim Fi As-Sahih, 01/154, Raqm-168,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/23, Raqm-07.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 08

08.                  “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Hazrat Isa Bin Maryam ‘Alayh-is-Salam Aadil Haakim Aur Munsif Imam Ke Taur Par Zaroor Utrenge. Woh Fauri Taur Par Hajj Ya Umrah Ua Dono’n Kee Niyyat Se Chal Padenge Aur Meri Qabr Par Zaroor Aaenge, Mujhe Salaam Karenge Aur Main Unhen Zaroor Jawaab Dunga. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Raawi Se) Farmaya: Aye Mere Bhateeje! Agar Aap Ko Un Kee Ziyaarat Kee Sa’aadat Haasil Ho To Un Se Arz Karna Ki Aboo Hurayrah Ne Aap Kee Khidmat Me Salaam Arz Kiya Hai.

          Is Hadith Ko Imam Hakim, Ibn Asakir Aur Mutaqqi Hindi Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya: Is Hadith Kee Sanad Sahih Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/651, Raqm-4162,

Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 47/493,

Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 14/146, Raqm-38851,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/24, Raqm-08.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 09

09.                  “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Shabe Me’raj) Main Ne Khud Ko Hateeme Ka’ba Me Paaya Aur Quraysh Mujh Se Safare Me’raj Ke Baare Me Sawaalaat Kar Rahe They. Unhone Mujh Se Bayt-ul-Maqdis Kee Kuchh Cheezen Poochhi’n Jinhen Main Ne (Yaad’ Daast Me) Mehfooz Nahin Rakkha Tha Jis Kee Waj’h Se Main Utna Pareshaan Huwa Ki Us Se Pehle Kabhi Itna Pareshan Nahin Huwa Tha, Tab Allah Ta’ala Ne Bayt-ul-Maqdis Ko Utha Kar Mere Saamne Rakh Diya. Woh Mujh Se Bayt-ul-Maqdis Ke Muta’alliq Jo Bhi Cheez Poochhte Main (Dekh Dekh Kar) Unhen Bataata Chala Gaya Aur Main Ne Khud Ko Ambiya’ Kee Ek Jama’at Me Paaya. Main Ne Dekha Ki Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat They, Aur Woh Qabila’e Shanoo’ah Ke Logo’n Kee Tarah Ghunghriyaale Baalo’n Waale They Aur Phir Hazrat Isaa Bin Maryam ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat They Aur Urwah Bin Mas’ood Thaqafi Un Se Bohat Mushaabeh Hain, Aur Phir Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat They Aur Tumhaare Aaqa (Ya’ni Khud Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Un Ke Saath Sab Se Ziyaada Mushaabeh Hain Phir Namaz Ka Waqt Aaya, Aur Main Ne Un Sab Ambiya’ ‘Alayh-is-Salam Kee Imaamat Karaa’i. Jab Main Namaz Se Faarig Huwa To Mujhe Ek Kehne Waale Ne Kaha: Yeh Maalik Hai Jo Jahannam Ke Daaroga Hain, Inhen Salam Keejie. Pas Main Un Kee Taraf Mutawajjeh Huwa To Unhone (Mujh Se) Pehle Mujhe Salam Kiya.”

          Ise Imam Muslim Aur Nasa’i Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/156, Raqm-178,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/455, Raqm-11480,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/25, 26, Raqm-09.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 10

10.                   “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Huwe Suna, Us Waqt Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Yusoof ‘Alayhim-us-Salam Ke Awsaaf Bayaan Kar Rahe They Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhen (Me’raaj Kee Raat) Teesre Aasmaan Par Dekha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Main Ne Ek Aise Shakhs Ko Dekha Jis Kee Soorat Chaudhwi’n Raat Ke Chaand Kee Tarah Thi. Pas Main Ne Pucha: Aye Jibra’il! Yeh Kaun Hain? Unhone Arz Kiya: Yeh Aap Ke Bhaai Hazrat Yusoof ‘Alayh-is-Salam Hain. Ibn Is’haq Kehte Hain: Allah Ta’ala Ne Hazrat Yusoof ‘Alayh-is-Salam Ko Woh Husn-o Ro’b Ata Kar Rakkha Tha Jo Aalamin Me Se Aap Se Pehle Aur Na Aap Ke Baa’d Kisi Ko Ata Kiya Gaya. Yaha’n Tak Ki Kaha Jaata Tha Ki Allah Ta’ala Kee Qasam! Main Yeh Jaanta Hoo’n Ki Hazrat Yusoof ‘Alayh-is-Salam Ko Poore Husn Ka Aadha Hissa Aur Dusra Aadha Hissa (Tamaam Dunya Ke) Logo’n Ko Ata Huwa.”

          Is Hadith Ko Imam Hakim Aur Ibn Qutaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/623, Raqm-4087,

Ibn Qutaybah Fi Tawilu Mukhtalif-il-Hadith, 01/321,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/26_28, Raqm-10.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 11

11.                  “Hazrat Abdullah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Goya Main(Us Waqt Bhi) Hazrat Moosa Bin Imran ‘Alayh-is-Salam Ko Us Waadi Me Do Qitwaani Chaadaro’n Me Haalate Ihraam Dekh Raha Hoo’n.”

          Is Hadith Ko Imam Tabarani, Aboo Ya’la Aur Aboo Nu’aym Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Mundhiri Aur Haythami Ne Farmaya: Us kee Isnaad Hasan Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/142, Raqm-10225,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/308, Raqm-6487,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/27, Raqm-5093,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/118, Raqm-1740,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/221,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/204,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/28, Raqm-11.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 12

12.                   “Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Waadi’e Azraq Kee Taraf Tashreef Laae Aur Daryaaft Farmaya: Yeh Kya Hai? Sahaba’e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya: (Ya RasoolAllah!) Yeh Waadi’e Azraq Hai. To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Goya Ki Main Moosa Bin Imran ‘Alayh-is-Salam Kee Taraf Dekh Raha Hoo’n Ki Woh Us Waadi Me Allah Ta’ala Kee Kibriyaa’i Bayaan Karte Huwe Utar Rahe Hain. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ek Pahaadi Raaste Kee Taraf Tashreef Laae To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Daryaaft Farmaaya: Yeh Kaunsa Pahaadi Raasta Daudta Hai? Sahaba’e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya: Yeh Fula’n Fula’n Pahaadi Raasta Hai. To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Goya Main Hazrat Yoonus Bin Matta ‘Alayh-is-Salam Ko Surkh Ghunghriyaale Baalo’n Waali Oontni Par Baitha Huwa Dekh Raha Ho’n. Us Oontni Kee Lagaam Khajoor Kee Hai Chhaal Kee Hai Aur Aap Talbiyah Keh Rahe Hain Aur Aap Ne Oon Ka Jubba Zebe Tan Kiya Huwa Hai.”

          Is Hadith Ko Imam Hakim, Ibn Hibban, Aboo Nu’aym, Aboo Awanah Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya: Yeh Hadith Imam Muslim Kee Sharaa’it Par Sahih Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/373, 638, Raqm-3313, 4123,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/103, Raqm-6219,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/159, Raqm-12756,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/421,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 02/421, Raqm-3682,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/29, 30, Raqm-12.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 13

13.                  “Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayaan Karte Hain Ki Rawha’ Kee Raaste Par Sattar Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Hajj Kee Gharaz Se Guzar Rahe Hain Jo Oon Ke Kapde Zebe Tan Ki’e Huwe They Aur Masjide Khayf Me Sattar Ambiyya’ ‘Alayhim-us-Salam Ne Namaaz Ada Kee.”

          Is Hadith Ko Imam Hakim, Tabarani Aur Bayhaqi Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Haythami Ne Farmaya: Is Ke Rijaal Thiqah Hain.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/653, Raqm-4169,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/474, Raqm-13525,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/177, Raqm-9618,

Fakihi Fi Akhbar Makkah Fi Qadim Al-Dahr Wa Hadithih, 04/266, Raqm-2594,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/297,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/30, 31, Raqm-13.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 14

14.                  “Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Masjide Khayf Me Sattar Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ne Namaaz Ada Kee Jin Me Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Bhi Shaamil They, Goya Main (Us Waqt Bhi) Un Kee Taraf Dekh Raha Hoo’n Aur Un Par Do Qitwaani Chaadaren Thi’n Aur Haalate Ihraam Me Qabila’e Shanuwwah Ke Oonto’n Me Se Ek Oont Par Sawaar They Jis Kee Nakel Khajoor Kee Chhaal Kee Thi Jis Kee Do Rassiya’n Thi’n.”

          Is Hadith Ko Imam Tabarani, Aboo Nu’aym Aur Fakihi Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Haythami Ne Farmaya: Is Ke Rijaal Thiqaat Hain.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/452, Raqm-12283,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/10,

Ibn ‘Adi Fi Al-Kamil Fi Du’afa’-ir-Rijal, 06/58,

Fakihi Fi Akhbar Makkah Fi Qadim Al-Dahr Wa Hadithih, 04/266, Raqm-2593,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/392, Raqm-3740,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/221, 297,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/31, 32, Raqm-14.]