Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

Harfe Aaghaaz

Harfe Aaghaaz

 

                   Ahle Ilm-o Sa’adat Ne Apne Apne Daur Kee Zaroorat Aur Taqaazo’n Ke Mutaabiq Logo’n Ke Ilm-o Fikr Aur Aqida Wa Amal Kee Hifaazat Aur Pukhtagi Ke Liye Chhote Bade Majmoo’a Haae Ahaadith Murattab Farmaae. In Majmoo’a Haae Ahadith Me Se Hee Ek Qism “Arba’iyn”  Kee Hai Jis Se Muraaf Chaalis Ahaadith Mubaraka Ka Majmoo’a Hai. Shaykh-ul-Islam Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Madda Zillooh-ul-‘Aali Ka Shumaar Asre Haazir Ke Un Jalil-ul-Qadr Muhaddithin Me Hota Hai Jinhone Daure Jadeed Ke Taqaazo’n Ke Madde Nazar Rakhte Huwe Awaam-o Khaas Dono’n Kee Ilmi Wa Fikri Rehnuma’i Aur Aqida-o Amal Kee Pukhtagi Ke Liye Aslaaf Kee Riwaayaat Ke Mutaabiq Jaha’n “Al-Minhaj-us-Sawi, Hidayat-ul-Ummah Aur Jami’-us-Sunnah”  Jaise Nihaayat Mustanad Majmoo’a Haae Ahaadith Murattab Farmaae, Wahi’n Tabligh-o Ishaa’ate Hadith Kee Fazilat Aur Us Se Haasil Hone Waale Dunyawi Wa Ukhrawi Fuyooz-o Barakaat Sametne Ke Liye Ba Soorate Arba’iyn Mukhtasar Majmoo’a Haae Ahaadith Murattab Kar Ne Kee Ilmi Riwaayaat Ko Bhi Aage Badhaaya Taa Ki Wasaa’il Wa Dharaae’ Kee Kami Aur Qillate Waqt Ke Shikaar Log Farmoodaaate Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mustaneer Ho Saken.

                   Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Isi Tarah Digar Tamam Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ka Apne Mazaaraate Mubaaraka Me Jismo’n Ke Saath Zinda Hona, Unhen Rizq Ata Kiya Jaana, Un Ka Namaz Ada Karna, Hajj Ada Karna Aur Ahwaale Ummat Par Muttalo’ Rehna Ek Aisa Amre Qat’iy Hai Jis Ke Baare Me Riwaayaat Tawaatur Kee Hadd Tak Pahonchi Hu’i Hain. Is Amr Ko Tasleem Kar Ne Me Koi Shai Maane’ Nahin Ki Sahaba’e Kiram, Tabe’iyn, Tab’a Tabe’iyn, Soofiya’, Muhaddithin, Mufassirin Aur Fuqaha’ Waghairahum Tamam A’imma’e Mutaqaddemin Wa Muta’akkhirin Ka Isi Aqida Par Ijma’ Hai.

                   Zere Nazar “Arba’iyn” Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Isi Tarah Digar Tamam Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Apne Mazaaraate Mubaaraka Me Jismo’n Ke Saath Zinda Hone, Unhen Rizq Diye Jaane, Un Ke Namaaz-o Hajj Ada Kar Ne Aur Ahwaale Ummat Par Muttalo’ Rehne Ke Hawaale Se Mustanad Dhakhira’e Hadith Se Chaalis Ahadith Mubaraka Aur Aqwaale A’imma Jam’a Ki’e Ga’e Hain. Zere Nazar Arba’iyn Shaykh-ul-Islam Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Madda Zillooh-ul-‘Aali Kee Taalif “Al-Azmatu Al-Nabawiyyah Fi Al-Khasa’is-il-Barzakhiyyah” (Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Barzakhi Khasa’ise Mubaraka)” Se Maakhooz Hai, Jis Me Mauzoo’e Zere Bahth Jam’a Kee Ga’i Ahadith Ziyaada Ta’daad Me Hain. Zeez A’imma-o Muhaddithin Kiram Ke Tauzihaat-o Tashrihaat Bhi Bit-Tafsil Darj Kee Ga’i Hain. Jab Ki Arba’iyn Haadha Me Zakhaamat Ke Khaud Se Ahaadith Kee Takhreej Aur A’imma Ke Tauzeehi Wa Tashreehi Aqwaal Kaafi Kam Kar Diye Ga’e Hain.

                   Allah Ta’ala Se Du’aa Hai Ki Hamen Kamaahaqqahoo, Farmoodaate Nabawi Se Istefaada Karne Aur Raahe Haqq Ko Pehchaan Ne Aur Us Par Bisaat Phir Chalne Kee Taufique Ata Farmaae. (Aameen Bijaahi Syyid-il-Mursaleen SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam)

(Hafiz Zahir Ahmad Al-Isnadi)

Research Scholar, Fareede Millat Research Institute

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

Al-Aayaat-ul-Qur’aniyyah

Al-Aayaat-ul-Qur’aniyyah

 

1.

فَكَيْفَ إِذَا جِئْنَا مِنْ كُلِّ أُمَّةٍ بِشَهِيدٍ وَجِئْنَا بِكَ عَلَى هَؤُلَاءِ شَهِيدًا۝

                   “Phir Us Din Kya Haal Hoga Jab Hum Har Ummat Se Ek Gawaah Laaenge Aur (Aye Habib!) Hum Aap Ko Un Par Gawaah Laaenge۝”(01)

 

2.

وَمَا أَرْسَلْنَا مِنْ رَسُولٍ إِلَّا لِيُطَاعَ بِإِذْنِ اللَّهِ وَلَوْ أَنَّهُمْ إِذْ ظَلَمُوا أَنْفُسَهُمْ جَاءُوكَ فَاسْتَغْفَرُوا اللَّهَ وَاسْتَغْفَرَ لَهُمُ الرَّسُولُ لَوَجَدُوا اللَّهَ تَوَّابًا رَحِيمًا۝

                   “Aur Hum Ne Koi Paighambar Nahin Bheja Magar Is Liye Ki Allah Ke Hukm Se Us Kee Itaa’at Kee Jaae Aur (Aye Habib!) Agar Woh Log Jab Apni Jaano’n Par Zulm Kar Bethe They Aap Kee Khidmat Me Haazir Ho Jaate Aur Allah Se Mu’aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte To Woh (Is Waseela Aur Shafaa’at Kee Bina Par) Zaroor Allah Ko Tauba Qubool Farmaane Waala Nihaayat Mehrbaan Paate۝”(02)

 

3.

وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُعَذِّبَهُمْ وَأَنْتَ فِيهِمْ وَمَا كَانَ اللَّهُ مُعَذِّبَهُمْ وَهُمْ يَسْتَغْفِرُونَ۝

                   “Aur (Dar Haqiqat Baat Yeh Hai Ki) Allah Kee Yeh Shaan Nahin Ki Un Par Azaab Farmaae Dar Haala’n Ki (Aye Habibe Mukarram) Aap Bhi Un Me (Maujood) Ho’n, Aur Na Hee Allah Aisi Haalat Me Un Par Azaab Farmaane Waala Hai Ki Woh (Us Se) Maghfirat Talab Kar Rahe Ho’n۝”(03)

 

4.

وَيَوْمَ نَبْعَثُ فِي كُلِّ أُمَّةٍ شَهِيدًا عَلَيْهِمْ مِنْ أَنْفُسِهِمْ وَجِئْنَا بِكَ شَهِيدًا عَلَى هَؤُلَاءِ وَنَزَّلْنَا عَلَيْكَ الْكِتَابَ تِبْيَانًا لِكُلِّ شَيْءٍ وَهُدًى وَرَحْمَةً وَبُشْرَى لِلْمُسْلِمِينَ۝

                   “Aur (Yeh) Woh Din Hoga (Jab) Hum Har Ummat Me Unhin Me Se Khud Un Par Ek Gawaah Uthaaenge Aur (Aye Habibe Mukarram!) Hum Aap Ko Un Sab (Ummato’n Aur Paighambaro’n) Par Gawaah Bana Kar Laaenge, Aur Hum Ne Aap Par Woh Azeem Kitaab Naazil Farma’i Hai Jo Har Cheez Ka Bada Waazeh Bayaan Hai Musalmaano’n Ke Liye Hidaayat Aur Rahmat Aur Bashaarat Hai۝”(04)

 

5.

النَّبِيُّ أَوْلَى بِالْمُؤْمِنِينَ مِنْ أَنْفُسِهِمْ وَأَزْوَاجُهُ أُمَّهَاتُهُمْ

                   “Yeh Nabiyye(Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Momino’n Ke Saath Un Kee Jaano’n Se Ziyaada Qareeb Aur Haqdaar Hain Aur Aap Kee Azwaaje(Mutahhraat) Un Kee Maaen Hain.”(05)

 

6.

وَلَا تَقُولُوا لِمَنْ يُقْتَلُ فِي سَبِيلِ اللَّهِ أَمْوَاتٌ بَلْ أَحْيَاءٌ وَلَكِنْ لَا تَشْعُرُونَ۝

                   “Aur Jo Log Allah Kee Raah Me Maare Jaaen UnhennMat Kaha Karo Ki Yeh Murda Hain, (Woh Murda Nahin) Balki Zinda Hain Lekin Tumhen (Un Kee Zindagi Ka) Shu’oor Nahin۝”(06)

 

7.

وَلَا تَحْسَبَنَّ الَّذِينَ قُتِلُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ أَمْوَاتًا بَلْ أَحْيَاءٌ عِنْدَ رَبِّهِمْ يُرْزَقُونَ۝  فَرِحِينَ بِمَا آتَاهُمُ اللَّهُ مِنْ فَضْلِهِ وَيَسْتَبْشِرُونَ بِالَّذِينَ لَمْ يَلْحَقُوا بِهِمْ مِنْ خَلْفِهِمْ أَلَّا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ۝

                   “Aur Jo Log Allah Kee Raah Me Qatl Ki’e Jaaen Unhen Hargiz Murda Khayaal (Bhi) Na Karna, Balki Woh Apne Rabb Ke Huzoor Zinda Hain Unhen (Jannat Kee Ne’mato’n Ka) Rizq Diya Jaata Hai۝ Woh (Hayaate Jaawidaani Kee) Un (Ne’mato’n) Par Farhaa’n Wa Shaadaa’n Rehte Hain Jo Allah Ne Unhen Apne Fadl Se Ata Farma Rakkhi Hain Aur Apne Un Pichhlo’n Se Bhi Jo (Taa Haal) Un Se Nahin Mil Sake (Unhen Imaan Aur Taa’at Kee Raah Par Dekh Kar) Khush Hote Hain Ki Un Par Bhi Koi Khauf Hoga Aur Na Woh Ranzeeda Honge۝”(07)

[Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/07_09,

(01) Al-Nisa’, 04: 41,

(02) Al-Nisa’, 04: 64,

(03) Al-Anfal, 08: 33,

(04) Al-Nahl, 16: 89,

(05) Al-Ahzab, 33: 06,

(06) Al-Baqarah, 02: 154,

(07) Aali Imran, 03: 169_170.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 01

Al-Ahaadith-un-Nabawiyyah

01.                   “Hazrat Aws Bin Aws RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Be Shak Tumhaare Dinio’n Me Se Jumu’ah Ka Din Sab Se Behtar Hai Is Din Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Paida Huwe Aur Isi Din Unhone Wafaat Paa’i Aur Isi Din Soor Phunka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kathrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhaara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai. Sahaba’e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Hamaara Durood Aap Ke Wisaal Ke Baa’d Aap Ko Kaise Pesh Kiya Jaaega? Kyaa Aap Ka Jasade Mubaarak Khaak Me Nahin Mil Chuka Hoga? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Nahin Aisa Nahin Hai) Allah Ta’ala Ne Zameen Par Ambiya’e Kiram(‘Alayhim-us-Salam) Ke Jismo’n Ko (Khaana Ya Kisi Bhi Qism Ka Nuqsaan Pahonchaana) Haraam Farma Diya Hai.”

                   “Ek Riwaayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Be Shak Allah Buzurg-o Bartar Ne Zameen Par Haraam Qaraar Diya Hai Ki Woh Hamaare Jismo’n Ko Khaae.”

          Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud, Nasa’i, Ibn Majah, Darimi, Ahmad Ibn Khuzaymah Aur Ibn Hibban Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya: Yeh Hadith Imam Bukhari Kee Sharaa’it Par Sahih Hai Aur Imam Wadiyashi Ne Bhi Farmaya: Ise Imam Ibn Hibban Ne Sahih Qaraar Diya Hai. Aur Imam Asqalani Ne Farmaya: Ise Imam Ibn Khuzaymah Ne Sahih Qaraar Diya Hai Aur Imam Ajlooni Ne Farmaya: Ise Imam Bayahqi Ne Jayyad Sanad Ke Saath Riwaayat Kiya Hai. Allama Ibn Kathir Ne Farmaya: Ise Imam Ibn Khuzaymah, Ibn Hibban, Daraqutni Aur Nawawi Ne Al-Adhkar Me Sahih Qaraar Diya Hai.

[Aboo Dawud As-Sunan, 01/275, Raqm-1047,

Aboo Dawud As-Sunan, 02/88, Raqm-1531.

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/91, Raqm-1374,

Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 01/519, Raqm-1666,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/345, Raqm-1085,

Darimi Fi As-Sunan, 01/445, Raqm-1572,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/08, Raqm-16207,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8697,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/118, Raqm-1733, 1734,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/190, Raqm-910,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/413, Raqm-1029,

Bazzar Fi Al-Musnad, 08/411, Raqm-3485,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/97, Raqm-4780,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/261, Raqm-589.

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/371, Raqm-634,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/248, Raqm-5789,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/109, Raqm-3029,

Jahdami Fi Fadl Al-Salah ‘Ala Al-Nabi  ﷺ, 01/37, Raqm-22,

Wadiyashi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 01/524, Raqm-661,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,11/370,

Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/190, Raqm-501,

Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/515,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/11_14, Raqm-01.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 02

02.                  “Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jumu’ah Ke Din Mujh Par Kathrat Se Durood Bheja Karo, Yeh Yawme Mas’hood (Ya’ni Meri Baargah Me Firishto’n Kee Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai. Is Din Firishte (Khusoosi Taur Par Kathrat Se Meri Baargah Me) Haazir Hote Hain, Jab Koi Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarigh Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai. Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Main Ne Arz Kiya: (Ya RasoolAllah!) Aur Aap Ke Wisaal Ke Baa’d (Kya Hoga)? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Haa’n (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baa’d Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki) Allah Ta’ala Ne Zameen Ke Liye Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Jismo’n Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai. Pas Allah Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai  Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”

          Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Sahih Sanad Ke Saath Riwaayat Kiya Hai. Imam Mundhiri Ne Farmaya: Is Imam Ibn Majah Ne Jayyid Isnaad Ke Saath Riwaayat Kiya Hai Aur Imam Manaawi Ne Bayaan Kiya Ki Imam Damiri Ne Farmaya: Is Ke Rijaal Thiqaat Hain. Imam Ajlooni Ne Bhi Ise Hadithe Hasan Kaha Hai.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/524, Raqm-1637.

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 10/328, Raqm-2582,

Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/515,

Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 04/493,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/87,

Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/190, Raqm-501.

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/14, 15, Raqm-02.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 03

03.                  “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Meri Ummat Me Se Koi Shakhs) Aisa Nahin Hai Jo Mujh Par Salaam Bheje Magar Allah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Waapas Lauta Dee Hu’i Hai. Yaha’n Tak Ki Main Har Salaam Karne Waale (Ko Us) Ke Salam Ka Jawab Deta Hoo’n.”

          Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud, Ahmad, Tabarani Aur Bayhaqi Ne Riwayat Kiya Hai. Neez Imam Asqalaani Ne Farmaya: Ise Imam Aboo Dawud Ne Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Raawi Thiqah Hain. Imam Haythami Ne Bhi Farmaya: Is Kee Sanad Me Abdullah Bin Yazeed Al-Iskandarani Raawi Ko Main Nahin Jaanta Jab Ki Mahdi Bin Ja’far Aur Deegar Tamam Raawi Thiqat Hain.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/218, Raqm-2041.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/527, Raqm-10767.

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/262, Raqm-3092, 9329.

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/245, Raqm-10050,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/217, Raqm-5181, 4161.

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/453, Raqm-526.

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,10/162,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/15, 16, Raqm-03.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 04

04.                  “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Me’raj Kee Shab Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Aaya, (Aur Haddaab Kee Ek Riwaayat Ke Mutaabiq) Surkh Teele Ke Paas Se Mera Guzar Huwa (To Main Ne Dekha Ki) Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Apni Qabr Me Khade Masroofe Salaat They.”

          Is Hadith Ko Imam Muslim, Nasa’i, Ahmad Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1845, Raqm-2375,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/215, Raqm-161_1632,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/419, Raqm-1328,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/17, Raqm-04.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 05

05.                   “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Apni Apni Qabro’n Me Hayaat Hain Aur Namaz Bhi Padhte Hain.”

          Is Hadith Ko Imam Aboo Ya’ala, Ibn Adi, Bayhaqi Aur Daylami Ne Thiqah Raawiyo’n Se Bayan Kiya Hai. Aur Imam Ibn Adi Ne Farmaya: Is Hadith Kee Sanad Me Koi Naqs Nahin Hai. Aur Imam Haythami Ne Bhi Farmaya: Imam Aboo Ya’la Ke Rijaal Thiqaat Hain. Aur Allama Shawkani Ne Farmaya: Ise Imam Bayhaqi Ne Sahih Qaraar Diya Hai Aur Hayaate Ambiya ‘Alayhim-us-Salam Par Unhone Ek Juz’an (Sahih Ahadith Kee Mukhtasar See Kitaab) Bhi Taalif Kee Hai. Isi Tarah Imam Zurqani Ne Bhi Farmaya Ki Imam Bayhaqi Ne Hayaate Ambiya ‘Alayhim-us-Salam Par Ek Nihaayat Lateef Kitaab Taalif Kee Hai Jis Me Unhone Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Marfoo’a Riwaayat Isnaade Sahih Ke Saath Bayaan Kee Hain.

                   “Imam Asqalani Fat’h-ul-Bari Me Bayan Karte Hain Ki Imam Bayhaqi Ne Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Apni Qabro’n Me Zinda Hone Ke Baare Me (Sahih Ahadith Par Mushtamil) Ek Khoobsoorat Kitab Likhee Hai Jis Me Unhone Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ki Yeh Hadith Bhi Waarid Kee Hai Ki Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Apni Qabro’n Me (Hayaate Zaahiri Kee Tarah Hee) Zinda Hote Hain Aur Salaat Bhi Ada Karte Hain. Yeh Hadith Unhone Yahya Bin Aboo Kathir Ke Tareeq Se Riwayat Kee Hai Aur Wo Sahih Hadith Ke Raawiyo’n Me Se Hain. Unhone Mustalim Bin Sa’iyd Se Riwayat Kee Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Bhi Unhen Thiqah Qaraar Diya Hai. Imam Ibn Hibban Ne Yeh Hadith Hajjaaj Aswad Se Riwayat Kee Hai Aur Wo Ibn Abi Ziyad Al-Basari Hain Aur Unhen Bhi Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Thiqah Qaraar Diya Hai. Imam Ibne Mu’iyn Ne Bhi Hazrat Thabit Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai. Imam Aboo Ya’la Ne Bhi Apni Musnad Me Isi Tareeq Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai Aur Imam Bazzar Ne Bhi Is Kee Takhreej Kee Hai Aur Imam Bayhaqi Ne Ise Sahih Qaraar Diya Hai.(01)

[Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/147, Raqm-3425,

Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 01/119, Raqm-403,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/487,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan, 02/175, 246, Raqm-787, 1033,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/211,

Suyoot Sharah Sunan An-Nasa’i, 04/110,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 06/19,

وقال:وألفت عن ذالك تأليفا سميته:انتباه الأذكياء بحياة الأنبياء،

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir,  03/184,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 05/178,،

Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 04/357,

(01) Dhakarahu Al-‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/487,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/17_20, Raqm-05.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 06

06.                   “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Shabe Me’raj) Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Par Pachaas Namazen Farz Kee To Main Un (Namazo’n) Ke Saath Waapas Aaaya Yaha’n Tak Ki Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Se Guzra To Unhone Sawaal Kiya: Allah Ta’ala Ne Aaap Kee Ummat Ke Liye Aap Par Kya Farz Kiya Hai? Main Ne Kaha: Allah Ta’ala Ne Pachaas Namazen Farz Kee Hain. Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf Waapas Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Is (Adaa’igi)Kee Taqat Nahin Rakhti. Pas Unhone Mujhe Waapas Lauta Diya. (Meri Darkhaast Par) Allah Ta’ala Ne Un Ka Ek Hissa Kam Kar Diya. Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Kee Taraf Waapas Gaya Aur Kaha Ki Allah Ta’ala Ne Ek Hissa Kam Kar Diya Hai. Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf (Phir) Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Me In Kee (Adaa’igi Kee)Taaqat Bhi Nahin Hai. Pas Main Waapas Gaya To Allah Ta’ala Ne Un Ka Ek Hissa Kam Kar Diya. Main Un Kee Taraf Aaya To Unhone Phir Kaha:  Apne Rabb Kee Taraf Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Me In Kee Adaa’igi Kee Taaqat Bhi Nahin Hai. Main Waapas Lauta To (Allah Ta’ala Ne) Farmaya: Ye (Hain To) JPaanch (Namazen) Hain Aur (Sawaab Kee I’tebaar Se) Pachaas (Ke Baraabar) Hain, Mere Haa’n Ahkaamaat Tabdeel Nahin Huwa Karte. Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Aaya To Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf Jaa’iye (Aur Mazeed Kami Ke Liye Darkhaast Kijiye) Main Ne Kaha:  Mujhe Ab Apne Rabb Se Haya Aati Hai. Phir (Jibra’il ‘Alayh-is-Salam) Mujhe Le Kar Chale Yaha’n Tak Ki Sidrat-il-Muntaha Par Pahonche Jise Mukhtalif Rango’n Ne Dhaanp Rakkha Tha, Nahin Ma’loom Ki Woh Kya Hain? Phir Mujhe Jannat Me Daakhil Kiya Gaya Jis Me Motiyo’n Ke Haar Hain Aur Us Kee Mitti Mushk(Kee Maanind Khushbudaar) Hai.”

          Yeh Hadith Muttafaque ‘Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/136, Raqm-342,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1217, Raqm-3164,

Muslim Fi As-Sahih, 01/148, Raqm-163,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/20_22, Raqm-06.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 07

07.                   “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoot Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Shabe Me’raaj Meri Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Se Mulaaqaat Hu’i. Raawi Bayaan Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ka Wasf Yoo’n Bayaan Farmaya: Woh Duble Patle, Daraaz Qad, Ghunghriyaale Baalo’n Waale Aise Aadami Hain Jaise Qabila’e Shanoo’ah Ke Log. Aap  SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Meri Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Se Bhi Mulaaqaat Hu’i. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Ka Hulya Bayaan Farmaya Ki Yeh Darmiyaana Qad, Surkh Rang Waale (Aur Aise Tar-o Taaza Hain) Goya Abhi Hamaam Se (Naha Kar) Nikle Hain Aur Main Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Se Bhi Mila Aur Main Un Kee Saari Aulaad Me Sab Se Ziyaada Un Se Mushaabeh Hoo’n.”

          Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1269, Raqm-3254,

Muslim Fi As-Sahih, 01/154, Raqm-168,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/23, Raqm-07.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 08

08.                  “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Hazrat Isa Bin Maryam ‘Alayh-is-Salam Aadil Haakim Aur Munsif Imam Ke Taur Par Zaroor Utrenge. Woh Fauri Taur Par Hajj Ya Umrah Ua Dono’n Kee Niyyat Se Chal Padenge Aur Meri Qabr Par Zaroor Aaenge, Mujhe Salaam Karenge Aur Main Unhen Zaroor Jawaab Dunga. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Raawi Se) Farmaya: Aye Mere Bhateeje! Agar Aap Ko Un Kee Ziyaarat Kee Sa’aadat Haasil Ho To Un Se Arz Karna Ki Aboo Hurayrah Ne Aap Kee Khidmat Me Salaam Arz Kiya Hai.

          Is Hadith Ko Imam Hakim, Ibn Asakir Aur Mutaqqi Hindi Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya: Is Hadith Kee Sanad Sahih Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/651, Raqm-4162,

Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 47/493,

Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 14/146, Raqm-38851,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/24, Raqm-08.]