Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Hashr Me Fatimah Bint Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Aamad

Arsh Aur Farsh Har Jagah Khatone Jannat RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Sare Aqdas Par Ihtiraam Aur Taqaddus Kee Chaadar Hai. Ahle Mahshar Se Kaha Jaayega Ki Apni Nigaahein Jhukaao Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Beti Fatimah Tashrif Laa Rahi Hain.

 

5.

عن علي عليه السلام قال سمعت النبي صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يقول اذا کان يوم القيامة ناد منادٍ من وراء الحجاب يا اهل الجمع غضوا ابصارکم عن فاطمة بنت محمد صلى الله تعالى عليه وآله وسلم حتي تمر.

“Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Woh Farmate Hain Ki Mein Ne Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Yeh Farmate Huwe Suna Ki Jab Qiyaamat Ka Din Hoga To (Achaanak) Pardo’n Ke Pichhe Se Koi Munaadi I’laan Karega Aye Ahle Mahshar ! Apni Nigaahein Jhukaa Lo Fatimah Bint Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se (Woh Aa Rahi Hain) Hatta Ki Woh Guzar Jaaengi.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/153.]

 

Chashme Tasawwur! Zara Maidaane Hashr Me Chal, Makhlooqe Khuda Bargahe Khudawandi Me Haazir Hai. Nafsa Nafsi Ka Aalam Hai, Sooraj Sawa Neze Par Aag Barsa Raha Hai. Achaanak Pardo’n Ke Pichhe Se Aawaaz Aati Hai, Munaadi Dene Waala Munaadi De Raha Hai, Ahle Mahshar Se Mukhaatib Hai Ki Apni Nigaaho’n Ko Jhuka Lo, Sar Taapa Paikar Niyaaz Ban Jaao. Ki Fatimah Bint Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aa Rahi Hain Jab Tak Fatimah Salamu Allah ‘Alayha Guzar Na Jaaein Qiyamat Ke Din Kisi Ko Apni Nigaah Uthaane Kee Ijaazat Na Hogi, Roze Mahshar Yeh Izzat, Yeh Ihtiraam Yeh Taqaddus Kisi Aur Ke Hisse Me Nahin Aayegi, Yeh Maqaam Kisi Aur Ko Ata Na Hoga Sirf Aur Sirf Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Laadli Beti Is Sulook Kee Sazaawaar Thehrengi.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/73_74.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Aamade Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Par Mahabbatan Khade Ho Jaate, Haath Choomte Aur Apni Nishist Par Bitha Lete

Fasl : 09

كان النى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يقوم لفاطمة سلام الله عليها و ير حب بها و يقبل يدها و يجلسها فى مكانه عند قدومها إليه حبا لها

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Aamade Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Par Mahabbatan Khade Ho Jaate, Haath Choomte Aur Apni Nishist Par Bitha Lete

 

23_             “Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayaan Karti Hain : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Jab Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ko Aate Huwe Dekhte To Khush Aamadid Kehte, Phir Un Kee Khaatir Khade Ho Jaate, Unhein Bosa Dete, Un Ka Haath Pakad Kar Laate Aur Unhein Apni Nishist Par Bitha Lete. Aur Jab Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Apni Taraf Tashrif Laate Huwe Dekhti’n To Khush Aamadid Kehti’n Phir Khadi Ho Jaati’n Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Bosa Deti’n.”

[1_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/391, 392, Raqam-9236, 9237,

2_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/403, Raqam-6953,

3_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/367, Raqam-2967,

4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/242, Raqam-4089,

5_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 04/303, Raqam-7715,

6_Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/326, Raqam-947,

7_Dulabi Fi Az-Zurriyah At-Tahirah,/100, Raqam-184,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/40, 41, Raqam-23.]

 

 

24_             “Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayaan Karti Hain Ki Jab Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Hoti’n To Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Saiiyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ko Khush Aamadid Kehte, Khade Ho Kar Un Ka Istiqbaal Karte, Un Ka Haath Pakad Kar Bosa Dete Aur Unhein Apni Nishist Par Bitha Lete.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/167, Raqam-4732,

2_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah,/78, Raqam-264,

3_Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/08, Raqam-06,

4_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 07/101,

5_Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/467, Raqam-8927,

6_Muqri Fi Al-Rukhsat  Fi Taqbil Al-Yad,/91,

7_Asqalani Ne ‘Fat’h-ul-Bari (11/50)’ Me Kaha Hai Ki Yeh Hadith Aboo Dawud Aur Tirmidhi Ne Bayaan Kiya Hai Aur Ise Hasan Kaha Hai, Jab Ki Ibn Hibban Aur Hakim Ne Ise Sahih Kaha Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/41, Raqam-24.]

 

 

25_             “Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain : Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Jab Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khidmat Me Haazir Hoti’n To Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Khade Ho Kar Un Ka Istiqbaal Farmate, Unhein Bosa Dete, Khusha Aamadid Kehte Aur Un Ka Haath Pakad Kar Apni Nishist Par Bitha Lete. Aur Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ke Haa’n Raunaq Afroz Hote To Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Bhi Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Istiqbaal Ke Liye Khadi Ho Jaati’n Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Daste Aqdas Ko Bosa Deti’n.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/174, Raqam-4753,

2_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/85,

3_Haythami Fi Majam’-uz-Zawa’id,/549, Raqam-2223,

4_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari, 11/50,

5_Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/279,

Hakim Ne Is Riwaayat Ko Sharte Shaykhayn Par Saih Qaraar Diya Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/41, 42, Raqam-25.]