Fasl-04 :
Buland Aawaaz Se Aameen Na Kehne Ka Bayaan
53/287. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Imam (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ) ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum Kaho : (آمِيْنَ) ‘Aameen’, Jis Ka Kehna Firishto’n Kee Tarah Hoga To Us Ke Saabiqa Gunaah Bakhsh Di’e Jaate Gain.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/271, Raqm-749,
Muslim Fi As-Sahih, 01/307, Raqm-410,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/354, Raqm-935,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/105, Raqm-927, 929,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/106, Raqm-1804,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/340, Raqm-797,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-305, Raqm-287.]
54/288. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hame’n Ta’leem Dete They Ki Imam Par Sabqat Na Karo, Jab Imam Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho, Aur Jab Woh (وَلَا الضَّالِّيْنَ) ‘Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum ‘Aameen’ Kaho, Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Tum Rukoo’ Karo Aur Jab Woh (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum (اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/310, Raqm-315,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/34, Raqm-1576,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/92, Raqm-2424,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-305, 306, Raqm-288.]
55/289. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Jab Imam (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ) ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe Aur Us Ke Pichhe Muqtadi Aameen Kahe Aur Aameen Padhne Waalo’n Ka Qaul Firishto’n Ke Qaul Ke Muafiq Ho Jaa’e To Namazi Ke Pichhle Tamam Gunaah Maaf Kar Di’e Jaate Hain.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/307, Raqm-410,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/449, Raqm-9803,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 02/456, Raqm-1689,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-36, Raqm-289.]
56/290. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Imam (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ) ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum (آمِيْنَ) ‘Aameen’ Kaho. Be Shak Firishte Bhi Aameen Kehte Hain Aur Imam Bhi Aameen Kehta Hai. To Jis Kee Aameen Firishto’n Ke Saath Mil Jaa’egi Us Ke Pichhle Gunaah Bakhsh Di’e Jaa’enge.”
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 01/144, Raqm-927,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-306, Raqm-290.]
57/291. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Imam (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ) ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Keh Chuke To Tum (آمِيْنَ) ‘Aameen’ Kaho Kyun Ki Jis Shakhs Ka Aameen Kehna Firishto’n Ke Aameen Kehne Kee Tarah Ho Jaa’ega Us Ke Pichhe Gunaah Maaf Farma Di’e Jaa’enge.”
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/144, Raqm-929,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-307, Raqm-291.]
58/292. “Hazrat Wa’il Bin Hujr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ) ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Padha To Kaha : (آمِيْنَ) ‘Aameen’ Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aameen Kee Aawaz Ko Past Kiya.”
رواه الترمذي وأحمد والحاكم.
وقال أبوعيسى : هذا هديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/289, Raqm-248,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/316,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/253, Raqm-2913,
Tayalisi Fi Al-Musnad : 138, Raqm-1024,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-307, Raqm-292.]
59/293. “Hazrat Aboo Wa’il RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali Aur Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Tasmiyah (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillah Hirrahma Nirrahim’ Aur Ta’awwuz (أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ) A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’ Aur Taameen (آمِيْنَ) ‘Aameen’ Buland Aawaaz Se Nahin Kehte They.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/263, Raqm-9304,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/108,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-307, 308, Raqm-293.]
60/294. “Hazrat Ibrahim Nakha’i RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain, Paanch-05 Cheezo’n Me Ikhfa Kiya Jaa’ega : Sana (سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ) , Ta’awwuz (أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ) A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’, Tasmiyah (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillah Hirrahma Nirrahim’, Taameen (آمِيْنَ) ‘Aameen’, Aur Tahmeed (اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’.”
–
[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/87, Raqm-2597,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-308, Raqm-294.]
61/295. “Hazrat Aboo Wa’il RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Umar Aur Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Tasmiyah (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillah Hirrahma Nirrahim’, Ta’awwuz (أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ) A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’ Aur Taameen (آمِيْنَ) ‘Aameen’ Buland Aawaaz Se Nahin Kehte They.”
–
[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/263, Raqm-1173,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-308, Raqm-295.]
62/296. “Imam Ibrahim Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Chaar⁴ Cheezo’n Ko Imam Se Aahista Kaha Jaa’ega : Ta’awwuz (أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ) A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’, Tasmiyah (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillah Hirrahma Nirrahim’, Taameen (آمِيْنَ) ‘Aameen’, Tahmeed (اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’.”
–
[Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 08/274, Raqm-22894,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-308, 309, Raqm-296.]