Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Yawme Aashoor

Namaze Fajr Jaan Nithaar As’haab Ne Imaame Aali Maqaam Kee Iqtida’ Me Adaa Kee, Baargaahe Khudawandi Me Karbala Waale Sar Basujood They Woh Sar Jinhein Aaj Shaam Nezo’n Par Bhi Qur’an Padhna Tha, Allah Rabb-ul-Izzat Ke Huzoor Jhuke Huwe They Mawla! Yeh Zindagi Teri Ata Kardah Hai Hum Ise Teri Raah Me Quraan Karne Ke Liye Tayyar! Yazeedi Lashkar Ne Bhi Badbakht Ibn Sa’d Se Saath Fajr Kee Namaaz Aada Kee, 10 Muharram-ul-Haraam Ka Sooraj Tuloo’ Huwa To Khoon Me Dooba Huwa Tha, Aasmaan Khoon Ke Aansoo Ro Raha Tha. Aaj Ali Asghar Ke Halqoom Me Teer Paiwast Hona Tha Khandane Rasoole Hashimi Ke Bhooke Pyaase Shehzado’n Ke Khoon Se Rege Karbala Ko Sukh Hona Tha.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/102_103.]