Fasl : 17
Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Jis Ne In Dono’n Se Muhabbat Kee Woh Qiyamat Ke Din Mere Saath Hoga
64 “Hazrat Ali Bin Abi Talib كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ka Haath Pakda Aur Farmaya : Jis Ne Mujh Se Aur In Dono’n Se Muhabbat Kee Aur In Ke Waalid Se Aur In Kee Waalidah Se Muhabbat Kee Woh Qiyaamat Ke Din Mere Saath Mere Hee Thikaane Par Hoga.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Hai.
–
[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahi, 05/641, Raqam-3733,
2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/77, Raqam-576,
3-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/693, Raqam-1185,
4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,n 03/50, Raqam-2654,
5-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/45, Raqam-421,
6-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 13/287, Raqam-7255,
7-Doolabi Fi Adh-Dhurriyat-ut-Tahirah, 01/120, Raqam-234,
8-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 06/228,
9-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/258, Raqam-528,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/57, Raqam-64.]
65 “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Mein, Fatimah, Hasan, Husayn Aur Jo Hum Se Muhabbat Karte Hain Qayamat Ke Din Aik Hee Maqaam Par Jama’ Honge, Hamaara Khaana Peena Bhi Iktha Hoga Taa’n Ki Log (Hisaab Wa Kitaab Ke Baa’d) Juda-Juda Kar Diye Jaaeinge.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/41, Raqam-2623,
2-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 13/227,
3-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/174,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/58, Raqam-65.]
66 “Hazrat Abd Allah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Marfu’an Hadith Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Mein Darakht Hoo’n, Fatimah Is Kee Tehni Hai, Ali Is Ka Shigoofa Aur Hasan Wa Husayn Is Ka Phal Hain Aur Ahl-E-Bayt Se Muhabbat Karne Waale Is Ke Patte Hain, Yeh Sab Jannat Me Honge, Yeh Haque Hai Haque Hai.”
–
[1-Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/52, Raqam-135,
2-Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli ﷺ Wa Dhaw-ish-Sharaf,/99,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/58, Raqam-66.]