Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

al-Āyāt al-Qurʻānīyah

 

Bismi Allāh al-Raḥmān al-Raḥīm

al-Āyāt al-Qurʻānīyah

١۔                       إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا۝

                “Bas Allāh yehī chāhtā hai ki ae (Rasūl ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke) Ahle Bait! Tum se har qism ke gunāh ka mail (aur shak-o naqṣ kī gard tak) dūr kar de aur tumheṅ (kāmil) ṭahārat se nawāz kar bilkul pāk ṣāf kar de۝”(01)

٢۔                         قُل لَّا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا الْمَوَدَّةَ فِي الْقُرْبَى

                “Farmā dijī’e: maiṅ is (tablīhe risālat) par tum se ko’ī ujrat nahīṅ māngtā magar (merī) qarābat (aur Allāh kī qurbat) se maḥabbat (chāhtā hūṅ).”(02)

٣۔                         وَيُطْعِمُونَ الطَّعَامَ عَلَى حُبِّهِ مِسْكِينًا وَيَتِيمًا وَأَسِيرًا۝

                “Aur (apnā) khānā Allāh kī maḥabbat meṅ (ḳhẉud us kī ṭalab-o ḥājat hone ke bā-wujūd is̲āran) mohtāj ko aur yatīm ko aur qaidī ko khilā dete haiṅ۝”(03)

٤۔                         الَّذِينَ يُنفِقُونَ أَمْوَالَهُم بِالَّيْلِ وَالنَّهَارِ سِرًّا وَعَلاَنِيَةً فَلَهُمْ أَجْرُهُمْ عِندَ رَبِّهِمْ وَلاَ خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلاَ هُمْ يَحْزَنُونَ۝

                “Jo log (Allāh kī rāh meṅ) shab-o roz apne māl poshīdā aur ẓāhir ḳharch karte haiṅ to un ke li’e un ke Rabb ke pās un kā ajr hai aur (roze qiyāmat) un par na ko’ī ḳhauf hoga aur na ranjīdā honge۝”(04)

٥۔                         وَالَّذِينَ آمَنُواْ وَهَاجَرُواْ وَجَاهَدُواْ فِي سَبِيلِ اللّهِ وَالَّذِينَ آوَواْ وَّنَصَرُواْ أُولَـئِكَ هُمُ الْمُؤْمِنُونَ حَقًّا لَّهُم مَّغْفِرَةٌ وَرِزْقٌ كَرِيمٌ۝

                “Aur jo log īmān lā’e aur unhone hijrat kī aur Allāh kī rāh meṅ jihād kiyā aur jin logoṅ ne (rāhe Ḳhudā meṅ ghar-bār aur waṭan qurbān kar dene wāloṅ ko) jagah dī aur (un kī) madad kī, wohī log ḥaqīqat meṅ sachche musalmān haiṅ, in hī ke li’e baḳhshish aur ʻizzat kī rozī hai۝”(05)

[Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/07_08,

(01) al-Aḥzāb, 33: 33,

(02) al-Shūrá, 42: 23,

(03) al-Insān, 76: 08,

(04) al-Baqarah, 02: 274,

(05) al-Anfāl, 08: 74.]