Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-01 : ﴾Iman, Islam Aur Ehsan﴿

Islam Ka Bayan

Fasl-04 :

Islam Ka Bayan

22/22.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Islam Kee Bunyaad Panch-05 Cheezo’n Par Hai : Yeh Gawaahi Dena Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Yeh Kee Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Allah Ta’ala Ke Rasool Hain, Aur Namaz Qaa’em Karna, Zakaat Ada Karna, Hajj Karna Aur Ramzan Ke Roze Rakhna.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/21, Raqm-08,

Muslim Fi As-Sahih, 01/45, Raqm-16,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/05, Raqm-2609,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/107, Raqm-5001,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-106, Raqm-22.]

23/23.       “Hazrat Samurah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Namaz Qaa’em Karo, Zakaat Ada Karo, Hajj Aur Umrah Karo, Istiqaamat Ikhtiyaar Karo, Tumhe’n Istiqaamat Dee Jaa’egi.”

رواه الطبراني في معاجمه الثلاثة بإسناد حسن.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/99, Raqm-136,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/298, Raqm-2034,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/216, Raqm-6897,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/301, Raqm-1115,

وقال : رواه الطبراني قي الثلاثة وإسناده جيد إن شاء الله تعالى،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/45,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/205,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-106, 107, Raqm-23.]

24/24.       “Hazrat ‘Umar Bin Marrataljohni RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bayan Kiya Ki Qabeela Qaza’a Ke Ek Shakhs Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Ho Kar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se ‘Arz Kiya : Ya Rasool Allah ﷺ! Aap Is Baare Me Kya Farmate Hain Agar Mein Gawaahi Doo’n Kee Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Aap Allah Ta’ala Ke (Sachche) Rasool Hain, Pancho’n Namaze Padhoo’n, Maahe Ramzan Ke Roze Bhi Rakhooh’n Aur Is Maah Me Qiyaam Bhi Karoo’n Aur Zakaat Bhi Ada Karoo’n? To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Jo Shakhs Is Haalat Me Faut Ho Jaa’e Woh (Qiyaamat Ke Din) Siddiqo’n Aur Shaheedo’n Me Se Hoga.”

رواه ابن جزيمة وابن حبان والبيهقي.

[Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/340, Raqm-2212,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/223, Raqm-3438,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/308, Raqm-3617,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/145, 302, Raqm-531, 1120,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/64, Raqm-1505,

وقال : رواه البزار بإسناد حسن وابن خزيمة وابن حبان،

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/23, Raqm-2558,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/208,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/46,

وقال : رواه البزار ورجال الصحيح،

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/36, Raqm-19,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-107, Raqm-24.]

25/25.       “Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bayan Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Panch-05 Kam Aise Hain Jinhe’n Jo Shakhs Bhi Iman Kee Haalat Me Sar Anjaam Dega Woh Jannat Me Daakhil Ho Jaa’ega. Jo Shakhs Wuzoo, Rukoo’, Sujood Aur Awqaat Ka Khayaal Rakh Kar Paanch-05 Waqt Kee Namaz Kee Paabandi Kare Aur Ramzan Ke Roze Rakkhe Aur Agar Istita’at Ho To Baitullah Ka Haj Kare Aur Zakaat Ada Kare Ke Apne Nafs Kee Pakeezagi Ka Saamaan Kare Aur Amaanat Ada Kare.”

رواه أبو داود والطبراني بإسناد حسن.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/116, Raqm-429,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 2/56, Raqm-772,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/148, 300, Raqm-544, 1105,

وقال : رواه الطبراني في الكبير بإسناد جيد،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/47,

وقال : رواه الطبراني بإسناد جيد،

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/215,

Maqrizi Fi Mukhtasar Kitab Al-Witr, 01/32, Raqm-14,

وقال : إسناده حسن.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-107, 108, Raqm-25.]

26/26.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Bayan Kiya Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Namaz Qayam Kee, Zakaat Ada Kee Baitullah Ka Haj Kiya, Ramzan Ke Roze Rakkhe Aur Mehman Nawazi Kee Woh Jannat Me Daakhil Hoga.”

رواه الطبراني والبيهقي.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/136, Raqm-12692,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/92, Raqm-9593,

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/274,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/301, Raqm-1116,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/252, Raqm-3914,

وقال : رواه الطبراني في الكبير وله شواهد،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/45,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-108, 109, Raqm-26.]

27/27.       “Hazrat Usaama Bin Zayd Bin Haarisa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Jihaad Ke Liye Huraqa Kee Taraf Rawàna Kiya Jo Qabeela Jahaina Kee Ek Shaakh Hai. Hum Sub’h Waha’n Pahonch Ga’e Aur Unhe’n Shikast Dee. Mein Ne Aur Ek Ansaari Ne Mil Kar Us Qabeele Ke Ek Shakhs Ko Ghair Liya, Jab Hum Us Par Ghaalib Aa Ga’e To Us Ne Kaha :  ﻻَ إِلَهَ إِلَّااللهُ Ansaari To (Us Kee Zabaan Se) Kalima Sun Kar Alag Ho Gaya Lekin Mein Ne Use Neja Maar-Maar Kar Halaak Kar Daala. Jab Hum Waapas Aa’e To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Bhi Is Waaqiye Kee Khabar Ho Chuki Thi. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Usaama! Tum Ne Use Kalima Padhne Ke Baa’d Qatl Kiya Hai?
Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya Rasool Allah ﷺ! Us Ne Jaan Bachaane Ke Liye Kalima Padha Tha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Phir Farmaya : Tum Ne Use Kalima Padhne Ke Baa’d Qatl Kiya? Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baar-Baar Yeh Kalima Dohra Rahe They Aur Mein Afsos Kar Raha Tha Ki Kaash Aaj Se Pehle Islam Na Laaya Hota.”

Muttafaque ‘Alayh

“Ek Aur Riwayat Me Hai : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Usaama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bula Kar Daryaft Kiya Ki Tum Ne Use Qatl Kyun Kiya?
‘Arz Kiya : Ya Rasool Allah ﷺ! Us Ne Musalmano’n Ko Takleef Dee, Chand Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ka Naam Le Kar Bataya Ki Fula’n Fula’n Ko Us Ne Shaheed Kiya Hai. Mein Ne Us Par Hamla Kiya Jab Us Ne Talwaar Dekhi To Fauran Kaha, ﻻَ إِلَهَ إِلَّااللهُ Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Ne Use Qatl Kar Diya? ‘Arz Kiya : Jee Huzoor! Farmaya : Jab Qiyaamat Ke Din ﻻَ إِلَهَ إِلَّااللهُ Ka Kalima Aa’ega To Tum Us Ka Kya Jawaab Doge? ‘Arz Kiya : Ya Rasool Allah ﷺ! Mere Liye Isteghfaar Keeji’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Phir Farmaya : Jab Qiyaamat Ke Din ﻻَ إِلَهَ إِلَّااللهُ Ka Kalima Aa’ega To Tum Us Ka Kya Jawaab Doge? Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baar-Baar Yahi Kalima Dohraate Rahe, Ki Jab Qiyaamat Ke Din ﻻَ إِلَهَ إِلَّااللهُ Ka Kalima Aayaega To Us Ka Kya Jawaab Doge?”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1555, Raqm-4021,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2519, Raqm-6478,

Muslim Fi As-Sahih, 01/97, Raqm-94, 97,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/208,210, Raqm-63, 65,

وقال ابن منده: هذا حديث مجمع على صحته،

Bazzar Fi Al-Musnad, 07/63, Raqm-2612,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/87, Raqm-626,

Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj, 01/171, Raqm-277,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,12/195,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 12/04,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 04/547,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-109, 110, Raqm-27.]

28/28.       “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Kisi Shakhs Ne Islam Qubool Kar Liya Aur Us Ka Islam Khoob Nikhara To Allah Ta’ala Us Kee Tamaam Guzishta Khataaye Mu’af Farma Deta Hai Aur Phir Is Ke Baa’d Us Ka Badla Hai, Us Kee Har Neki Ka Badla Das-10 Guna Se Saat Sau-700 Guna Tak Hai Aur Buraa’i Ka Sirf Usee Ke Barabar Hai Aur Agar Allah Ta’ala Chaahe To Us Se Bhi Darguzar Farma De.”

رواه البخاري والنسائي.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/24, Raqm-41,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/105, Raqm-4998,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-110, 111, Raqm-28.]

29/29.       “Hazrat Adee Bin Hatim Taa’i RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaahe Aqdas Me Haazir Hua To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Adee Bin Hatim! Islam Qubool Kar Lo, Salamati Me Rahoge. Mein Ne ‘Arz Kiya : Islam Kya Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Is Baat Kee Gawaahi Do Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Mein Allah Ta’ala Ka Rasool Hoo’n Aur Taqdeer Par Iman Laawo, Khwaah Bhali Ho Ya Buri, Sheeri’n Ho Ya Talkh.”

رواه ابن ماجه وتلطبراني.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/34, Raqm-87,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/81, Raqm-182,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/76,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/199,

Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 01/14, Raqm-30,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-111, Raqm-29.]

30/30.       “Hazrat Mu’awiya Bin Haidah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Unhone ‘Arz Kiya :  Ya Rasool Allah ﷺ! Us Zaat Kee Qasam Jis Ne Aap Ko Haqq Ke Saath Mab’oos Farmaya Hai! Mein Us Waqt Tak Aap Ke Paas Nahin Aaya Jab Tak Mein Ne Apni In Ungaliyo’n Ke Barabar Qasam Na Khaa Lee Ki Mein Aap Ke Paas Nahin Aaunga, Woh Koun See Cheez Hai Jis Ke Saath Allah Ta’ala Ne Aap Ko Mab’oos Farmaya? Farmaya : Islam! ‘Arz Kiya : Islam Kya Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Ki Too Apna Dil. Allah Ta’ala Ke Supurd Kar De Aur Apna Rukh Allah Ta’ala Kee Taraf Kar Le Aur Yeh Ki Too Farz Namaz Ada Kar Aur Farz Zakaat Ada Kar, Yeh Dono’n (Namaz Wa Zakaat) Do² Madadgar Bhai Hain. Allah Ta’ala Kisi Aise Shakhs Kee Tawbah Qubool Nahin Farmata Jis Ne Islam Laane Ke Baa’d Shirk Kiya.”

رواه ابن وأحمد والطبراني

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/376, 377, Raqm-160,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/03, Raqm-20022,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/426, Raqm-1036,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/32,

Maruzi Ta’zeem Qadr-us-Salah, 01/410, Raqm-403,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/37, Raqm-28,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-111, 112, Raqm-30.]

31/31.       “Hazrat Aboo Ayyoob Ansaari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya : ˝Ya Rasool Allah ﷺ! Mujhe Aisa Amal Bataaye Jis Ko Anjaam Dene Se Mein Jannat Me Daakhil Ho Sakoo’n. (Us Shakhs Ko Aage Badhte Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mukhatib Dekh Kar) Logo’n Ne Kehna Shuru Kar Diya Ki Ise Kya Ho Gaya Hai? Kyun Is Tarah Baat Kar Raha Hai? Is Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshad Farmaya : Kuchh Nahin Hua. Ise Mujh Se Kaam Hai. Ise Kehne Do Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Shakhs Ko Mukhatib Kar Ke Farmaya : Allah Kee Ibadat Karo, Us Ke Saath Kisi Ko Shareek Na Thahraawo, Namaz Qaa’em Karo, Zakaat Ada Karo Aur Rishtedaro’n Se Meljol Aur Husne Sulook Karo.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/505, Raqm-1332,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2231, Raqm-5637,

Muslim Fi As-Sahih, 01/42, Raqm-13,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/445, Raqm-5880,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/38, Raqm-3246,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/418, Raqm-23596,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/139, Raqm-3925,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/267, Raqm-126,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-112, 113, Raqm-31.]

32/32.       “Hazrat Talha Bin ‘Ubayd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Najd Ka Rehne Waala Ek Shakhs Is Haal Me Haazir Hua Ke Us Ke Baal Bikhare Hu’e They. Us Kee Gungunaahat To Sunaa’i Deti Thi Lekin Baat Samajh Me Nahin Aati Thi, Hatta Ki Jab Woh Qareeb Aaya To Ma’loom Hua Ki Islam Ke Baare Me Poochh Raha Hai, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Din Aur Raat Ke (Chaubis Ghanto’n) Me Paanch Namazein (Farz Hain). Us Ne Sawal Kiya : Kya In Ke Ilaawah Ko’i Aur Namaz Bhi Mujh Par Farz Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Farz) Nahin Hai, Ha’n, Agar Tum Nafl Namaz Ada Karna Chaaho To Kar Sakte Ho. Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Maahe Ramzan Ke Roze (Farz Hain). Sa’il Ne Daryaft Kiya : Kya Ramzan Ke Ilaawah Ko’i Aur Roze Bhi Mujh Par Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Farz) Nahin Hain, Albatta Agar Tum Nafl Rakhna Chaaho To Rakh Sakte Ho, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Zakaat Ke Baare Me Bhi Bataaya, Us Shakhs Ne Daryaft Kiya : Kya Mujh Par Is Ke Ilaawah Bhi Ko’i Adaayagi Zaroori Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Farz) Nahin Hai Albatta Tum Raza Kaaraana Taur Par Kuchh (Sadqa) Dena Chaaho To De Sakte Ho. Raawi Kehte Hain : Phir Woh Shakhs Waapas Jaane Ke Liye Mud Gaya Aur Kehta Jaata Tha : Bakhuda! Mein Na To Is Me Ko’i Izaafa Karoo’nga Aur Na Kisi Qism Kee Kamee Karoo’nga. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Us Shakhs Kee Yeh Baat Sun Kar) Farmaya : Woh Falaah Pa Gaya, Agar Us Ne Apni Baat Sach Kar Dikhaayi.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/25, Raqm-46,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/669, Raqm-1792,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/951, Raqm-2532,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2551, Raqm-6556,

Muslim Fi As-Sahih, 01/40, Raqm-11,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/18, Raqm-391,

Nasa’i Fi As-Sunan, 01/226, Raqm-458,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/118, Raqm-5028,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/175, Raqm-423,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/234,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/11, Raqm-1724,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-113, 114, Raqm-32.]

33/33.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Ek Dehaati Haazir Hua, Aur Us Ne ‘Arz Kiya : Ya Rasool Allah ﷺ! Meri Aise Amal Kee Taraf Rahnumaa’i Farmaa’e Jise Anjaam Dene Se Mein Jannat Me Daakhil Ho Jaoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Kee Ibadat Is Tarah Karo Ki Ibadat Me Allah Ta’ala Ke Saath Kisi Ko Us Ka Shareek Na Banawo. Farz Namazein Aur Muqarrarah Zakaat Ada Karo Aur Ramzan Ke Roze Rakho. Us A’raabi Ne Kaha : Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai! Mein In Ahkaam Me Ko’i Izaafa Nahin Karoo’nga. Pas Jab Woh Shakhs Waapas Jaane Ke Liye Muda To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Kisi Jannati Ko Dekhne Kee Sa’adat Haasil Karna Chaahe To Ise Dekh Le.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/506, Raqm-1333,

Muslim Fi As-Sahih, 01/44, Raqm-14,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/12,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/17, Raqm-04,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/207,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-114, 115, Raqm-33.]