(١١) بَابٌ فِي قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم : مَنْ أَحَبَّ عَلِيًّا فَقَدْ أَحَبَّنِي وَمَنْ أَبْغَضَ عَلِيًّا رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ فَقَدْ أَبْغَضَنِي
Baab-11 :
Hubbe Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hubbe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hai Aur Bughze Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bughze Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hai
107: “Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Farmate Hain Ki Aik Martaba Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Hazrat Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Haath Pakde Aur Farmaya : Jo Mujh Se Mahabbat Karega Aur In Dono’n Se Aur In Dono’n Ke Waalid (Ya’ni Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Aur Dono’n Kee Waalida (Ya’ni Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha) Se Mahabbat Karega Woh Qiyaamat Ke Din Mere Saath Mere Darja Me Hoga.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/641, Al-Hadith Raqam-3733,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/77, Al-Hadith Raqam-576,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/77, Al-Hadith Raqam-576,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/163, Al-Hadith Raqam-960,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/45, Al-Hadith Raqam-421,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/99, Al-Hadith Raqam-107.]
108: “Hazrat Amr Bin Sas Aslami RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Ki As’haabe Hudaybiyah Me Se They Bayaan Karte Hain Ki Mein Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Hamraah Yaman Kee Taraf Rawaana Huwa. Saafar Ke Dauraan Unhone Mere Saath Sakhti Kee Yaha’n Tak Ki Mein Apne Dil Me Un Ke Khilaaf Kuchh Mahsoos Kar Ne Laga, Pas Jab Mein (Yaman Se) Waapas Aaya To Mein Ne Un Ke Khilaaf Masjid Me Shikaayat Ka Izhaar Kar Diya Yaha’n Tak Ki Yeh Baat Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tak Pahunch Gayi Phir Aik Din Masjid Me Daakhil Huwa Jab Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sahaba-E-Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Majma’ Me Tashreef Farma They. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujhe Bade Ghaur Se Dekha Yaha’n Tak Ki Jab Mein Baith Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Amr! Khuda Kee Qasam Too Ne Mujhe Aziyyat Dee Hai. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Aap Ko Aziyyat Dene Se Mein Allah Kee Panaah Maangta Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Haa’n Jo Ali Ko Aziyyat Deta Hai Woh Mujhe Aziyyat Deta Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/483,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/131, Al-Hadith Raqam-4619,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/129,
Ahmad Bin Hanbal Aydan Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/579, Al-Hadith Raqam-981,
Bukhari Fi At-Tarikh Al-Kabir, 02/307_3060,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/100, 101, Al-Hadith Raqam-108.]
109: “Hazrat Abd Allah Jadali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Khidmat Me Haazir Huwa To Unhone Mujhe Kaha : Kya Tumhaare Andar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Gaali Dee Jaati Hai? Mein Ne Kaha Allah Kee Panaah Yaa Mein Ne Kaha Allah Kee Zaat Paak Hai Yaa Isi Tarah Ka Koi Kalimah Kaha To Unhone Kaha Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Hai Ki Jo Ali Ko Gaali Deta Hai Woh Mujhe Gaali Deta Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/323, Al-Hadith Raqam-26791,
Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/130, Al-Hadith Raqam-4615,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/133, Al-Hadith Raqam-8476,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/130,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/101, Al-Hadith Raqam-109.]
110: “Hazrat Ibn Abi Malikah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Ahle Shaam Se Aik Shakhs Aaya Aur Us Ne Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Haa’n Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Bura Bhala Kaha, Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Us Ko Aisa Kehne Se Man’a Kiya Aur Farmaya : Aye Allah Ke Dushman Too Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Taklif Dee Hai. (Phir Yeh Aayat Padhi: ) ﴾Be Shak Woh Log Jo Allah Aur Us Ke Rasool Ko Taklif Dete Hain Allah Tabarak Wa Ta’ala Dunya Wa Aakhirat Me Un Par La’nat Bhejta Hai Aur Allah Ne Un Ke Liye Aik Zillat Aamez Azaab Tayyaar Rakkha Hai.﴿ Phir Farmaya : Agar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Zindah Hote To Yaqinan (Too Is Baat Ke Zariye) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Aziyyat Ka Baa’is Banta.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Al-Mustadrak Me Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Sahih-ul-Isnaad Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/121, 122, Al-Hadith Raqam-4618,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/101, 102, Al-Hadith Raqam-110.]
111: “Hazrat Aboo Abd Allah Jadali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Aik Ghulam Ke Saath Hajj Kiya Pas Madinah Ke Paas Se Guzra To Mein Ne Logo’n Ko Ikattah (Kahin Jaate Hu’e) Dekha, Mein Bhi Un Ke Pichhe Pichhe Chal Diya. Woh Saare Umm-il-Mu’minin Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Khidamt Me Haazir Hu’e Pas Mein Ne Un Ko Aawaaz Dete Hu’e Suna Ki Aye Sabib Bin Rab’iy! Aik Rookhe Aur Sakht Mizaaj Aadami Ne Jawaab Diya Haa’n Meri Maa’n! To Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Kya Tumhaare Qabila Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Gaaliya’n Dee Jaati Hain? Us Aadami Ne Arz Kiya : Yeh Kaise Ho Sakta Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Kya Hazrat Ali Bin Abi Talib Ko Gaali Dee Jaati Hai? To Us Ne Kaha Hum Jo Bhi Kehte Hain Us Se Hamaari Muraad Dunyaawi Garaz Hoti Hai. Pas Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmaate Hu’e Suna : Jis Ne Ali Ko Gaali Dee Us Ne Mujhe Gaali Dee Aur Jis Ne Mujhe Gaali Dee Us Ne Allah Ko Gaali Dee.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Al-Mustadrak Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/121, Al-Hadith Raqam-4616,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/130,
Aur Haythami Ne Kaha Ki Is Ke Rijaal Sahih Hai,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 42/532,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 42/266, 266, 267, 268, 533,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/102, 103, Al-Hadith Raqam-111.]
112: “Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Riwayat Me Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Meri (Ya’ni Ali Kee) Taraf Dekh Kar Farmaya Aye Ali! Too Dunya Wa Aakhirat Me Sardaar Hai. Tera Mahboob Mera Mahboob Hai Aur Mera Mahboob Allah Ka Mahboob Hai Aur Tera Dushman Mera Dushman Hai Aur Mera Dushman Allah Ka Dushman Hai Aur Us Ke Liye Barbaadi Hai Jo Mere Baa’d Tumhaare Saath Bughz Rakkhe.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Imam Bukhari Aur Imam Muslim Kee Sharaa’it Par Sahih Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/138, Al-Hadith Raqam-4640,
Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 05/325, Al-Hadith Raqam-8325,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/103, 104, Al-Hadith Raqam-112.]
113: “Hazrat Ammar Bin Yaasir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Liye Farmate Hu’e Suna (Aye Ali) Mubarakbad Ho Use Jo Tujh Se Mahabbat Karta Hai Aur Teri Tasdiq Karta Hai Aur Halaakat Ho Us Ke Liye Jo Tujh Se Bughz Rakhata Hai Aur Tujhe Jhutlaata Hai.”
Is Hadith Ko Hakim Aur Aboo Ya’la Ne Riwayat Kiya Hai Aur Hakim Ne Kaha Yeh Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/145, Al-Hadith Raqam-4657,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/178, 179, Al-Hadith Raqam-1602,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/337, Al-Hadith Raqam-2157,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/104, Al-Hadith Raqam-113.]
114: “Hazrat Salman Farsi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya : Tujh Se Mahabbat Karne Waala Mujh Se Mahabbat Karne Waala Hai Aur Tujh Se Bughz Rakhne Waala Mujh Se Bughz Rakhne Waala Hai.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/239, Al-Hadith Raqam-6097,
Bazzar Fi Al-Musnad, 06/488,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/132,
Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 05/316, Al-Hadith Raqam-8304,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/104, 105, Al-Hadith Raqam-114.]
115: “Hazrat Husayn Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Mein Ne Apne Naana Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Ki Aboo Bakr Aur Umar Ko Gaali Na Do Pas Be Shak Woh Dono’n Awwalin Wa Aakhirin Me Se Adhed Umr Jannatiyo’n Ke Sardaar Hain Siwaa’e Nabiyo’n Aur Mursaleen Ke Aur Hasan Aur Husayn Ko Bhi Gaali Na Do Be Shak Woh Nau Jawaan Jannatiyo’n Ke Sardaar Hain Aur Ali Ko Gaali Na Do Pas Be Shak Jo Ali Ko Gaali Deta Hai Woh Mujhe Gaali Deta Hai Aur Jo Mujhe Gaali Deta Hai Woh Allah Ko Gaali Deta Hai.”
Ise Ibn Asakir Ne Apni Tarikh Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/131, 132,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 30/178, 179,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/105, Al-Hadith Raqam-115.]
116: “Imam Husayn Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayaan Karte Hain Dar Haala’n Ki Woh Apne Baal Pakde Hu’e They Ki Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Mujhe Bataaya Dar Haala’n Ki Woh Apne Baal Pakde Hu’e They Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujhe Bataaya Dar Haala’n Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apne Mooe Mubaarak Pakde Hu’e They Ki Jis Shakhs Ne Tujhe (Aye Ali) Baal Baraabar Bhi Aziyyat Dee To Us Ne Mujhe Aziyyat Dee Aur Jis Ne Mujhe Aziyyat Dee Us Ne Allah Ko Aziyyat Dee Aur Jis Ne Allah Ko Aziyyat Dee Pas Us Par Allah Kee La’nat Ho.”
Ise Ibn Asakir Ne Apni Tarikh Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 54/308,
Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 12/349, Al-Hadith Raqam-25351,
Nayshaboori Fi Sharaf Al-Mustafa, 05/505, Al-Hadith Raqam-2486,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/106, Al-Hadith Raqam-116.]