Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Farmaane Siddiqe Akbar Wa Farooqe A’zam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma : Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Mere Aur Tamaam Mominin Ke Mawla Hain

(٦) بَابٌ فِي قَوْلِ سَيِّدِنَا أَبِي بَکْرٍ الصِدِّيْقِ وَ سَيِّدِنَا عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا : عَلِيٌّ مَوْلَايَ وَ مَوْليَ کُلِّ مُؤْمِنٍ

Baab-06 :

Farmaane Siddiqe Akbar Wa Farooqe A’zam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma : Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Mere Aur Tamaam Mominin Ke Mawla Hain

 

65:              “Hazrat Bara’ Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Safar Par They, (Raaste Me) Hum Ne Ghadir Khum Me Qayam Kiya. Waha’n Namaz Ke Liye Adhaan Dee Gayi Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye Do Darakhto’n Ke Neeche Safaa’i Kee Gayi, Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaze Zohr Ada Kee Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : Kya Tumhein Ma’loom Nahin Ki Mein Kul Momino’n Kee Jaano’n Se Bhi Qareeb Tar Hoo’n? Unhone Arz Kiya : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tumhein Ma’loom Nahin Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Bhi Qareeb Tar Hoo’n? Unhone Arz Kiya : Kyoo’n Nahin! Raawi Kahta Hai Ki Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai. Aye Allah! Use Too Dost Rakkh Jo Ise (Ali Ko) Dost Rakkhe Aur Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe.” Raawi Kahta Hai Ki Is Ke Baa’d Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mulaqat Kee Aur Un Se Kaha : “Aye Ibn Abi Talib! Mubarak Ho, Aap Sub’h Wa Shaam (Ya’ni Hamesha Ke Liye) Har Momin Wa Mominah Ke Liye Mawla Ban Ga’e Hain.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/281,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/78, Al-Hadith Raqam-16167,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/66, 67, Al-Hadith Raqam-66.]

 

 

66:             “Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jis Ne Atthaarah Dhi-‘l-Hij Ko Roza Rakkha Us Ke Liye Saath (60) Mahino’n Ke Rozo’n Ka Thawaab Likkha Jaa’ega, Aur Yeh Ghadir Khum Ka Din Tha Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : Kya Mein Mominin Ka Waali Nahin Hoo’n? Unhone Ne Arz Kiya : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Ali Mawla Hai. Is Par Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mubarak Ho! Aye Ibn Abi Talib! Aap Mere Aur Har Musalman Ke Mawla Thahre. (Is Mauqa Par) Allah Ta’ala Ne Yeh Aayat Naazil Farmaa’i : ﴾Aaj Mein Ne Tumhare Liye Tumhara Deen Muqammal Kar Diya.﴿”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Awsat” Me Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/324,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 08/290,

Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/176, 177,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/464,

Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 11/139,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/67, 68, Al-Hadith Raqam-66.]

 

 

67:              “Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Aik Aadami Ne Aap Ke Saath Kisi Mu’aamale Me Jhagda Kiya To Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Mere Aur Tere Darmiyan Yeh Baitha Huwa Aadami Faisla Karega… …Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Taraf Ishaarah Kiya…. .To Us Aadami Ne Kaha : Yeh Bade Pet Waala (Hamaare Darmiyan Faisla Karega)! Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apni Jagah Se Utthey, Use Girebaan Se Pakda Yaha’n Tak Ki Use Zameen Se Oopar Utha Liya, Phir Farmaya : Kya Too Jaanta Hai Ki Too Jise Haqeer Gardaanta Hai Woh Mere Aur Har Musalman Ke Mawla Hain.”

Ise Muhibb-ud-Deen Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/68, 69, Al-Hadith Raqam-67.]

 

 

68:             “Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Un Ke Paas Do Baddoo Jhagda Karte Hu’e Aa’e. Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya : Aye Aboo Al-Hasan! In Dono’n Ke Darmiyan Faisla Farma De’n. Pas Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Un Ke Darmiyan Faisla Kar Diya. Un Me Se Aik Ne Kaha Ki (Kya) Yahi Hamaare Darmiyan Faisla Karne Ke Liye Rah Gaya Hai? (Is Par) Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Kee Taraf Badhe Aur Us Ka Girebaan Pakad Kar Farmaya : Too Halaak Ho! Kya Too Jaanta Hai Ki Yeh Kaun Hain? Yeh Mere Aur Har Momin Ke Mawla Hain (Aur) Jo In Ko Apna Mawla Na Maane Woh Momin Nahin.”

Ise Muhibb-ud-Deen Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128,

Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/126,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/69, Al-Hadith Raqam-68.]

 

 

69:             “Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jis Ke Mawla Hain Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Us Ke Mawla Hain.”

Ise Muhibb-ud-Deen Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128,

Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/178,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/69, 70, Al-Hadith Raqam-69.]

 

 

70:              “Hazrat Saalim Se Riwayat Hai Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Sawaal Kiya Gaya : (Kya Waj’h Hai Ki) Aap Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Aisa (Imtiyazi) Bartaao Karte Hain Jo Aap Deegar Sahaba-E-Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se (Umooman) Nahin Karte? (Is Par) Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Jawaaban) Farmaya : Woh (Ali) To Mere Mawla (Aaqa) Hain.”

Ise Muhibb-ud-Deen Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128,

Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/178,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/70, Al-Hadith Raqam-70.]

 

 

71:              “Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Jab Hazrat Aboo Bakr Siddiq Aur Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Hadithe Wilaayat Suni To Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Kehne Lage : Aye Ibn Abi Talib! Aap Har Momin Aur Mominah Ke Mawla Ban Ga’e Hain.”

Ise Manawi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Manawi Fi Fayd-ul-Qadir, 06/218,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/70, Al-Hadith Raqam-71.]