Fasl : 21
Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Aye Allah! Jo In Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakh Aur Jo In Ko Dost Rakkhe Too Use Dost Rakh
79 “Umm-il-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayan Karti Hain Ki Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Bint RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Pehlu Me Uthaaye Hu’e Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Paas Aa’in Aur Aap Ke Haath Me Patthar Kee Haandi Thi Jis Me Hasan Ke Liye Garm Saalan Tha. Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Ne Jab Use Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saamne La Kar Rakkha To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Puchha : Aboo-‘l-Hasan (Ali) Kaha’n Hai To Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Ne Jawaab Diya : Ghar Me Hain. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Unhein Bulaaya Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ, Hazrat Ali, Hazrat Fatimah Aur Hasanayn Karimayn سَلاَمُ الله عَلَيْهِمْ Baith Kar Khaana Tana’wul Farmaane Lage. Ummi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Kehti Hain : Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Mujhe Na Bulaaya. Is Se Pehle Kabhi Aisa Na Huwa Tha Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Meri Mawjoodagi Me Khaana Khaaya Ho Aur Mujhe Na Bulaaya Ho. Phir Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Khaane Se Faarig Hu’e To Un Sab Ko Apne Kapde Me Le Liya Aur Farmaya : Aye Allah! Jo In Se Adaawat Rakkhe Too Un Se Adaawat Rakh Aur Jo In Ko Dost Rakkhe Too Use Dost Rakh.”
–
[1-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/383, Raqam-6915,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/166,
3-Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/149, Raqam-396,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/67, 68, Raqam-79.]